Rab kare tere naseb chamakta

Rab kare tere naseb chamakta dikhaye da,

Ankhen jo band kar to MADINA dekhi da,

Aajda jahan kare wahan QABA dekhi da,

Uthe jo ankhe to GUNBAD-KHIZRA dikhai da.


iss pyar k kehney kya

iss pyar k kehney kya kahiye har kissey mein alaihda baat nikli, kanhi hassi mein janazey uthey kanhi aansoun mein barat nikli, wo soye rahe ghair kee bahoon mein raat bhar, aur hamari\"parali\" p jaghtey raat nikli


Ret par naam likha nahi

Ret par naam likha nahi karte,

kyuki wo naam tika nahi karte,

Maana ki patthar dil hai hum,

magar patthar par likha naam mita nahi karte...!


Kitny HAMDARD mily,DOST mily,YAR mily.Sub

Kitny HAMDARD mily,DOST mily,YAR mily.Sub OBARTY hoay SORAJ k PARISTAR mily.Zindagi tu hamain BAZAR me kiun lay aie.Hum to YOSUF b nahi k koi KHAREDAR milay!


Aik aas lgana chahty hain,Tere

Aik aas lgana chahty hain,Tere dar pe aana chahty hain,Kuch nazre karam hum pe b ho,Hum sar ko jhukana chahty hain,Keya do gy hamy sari khushiyn,Daman ko phelana chahtey hain,Tairey kandhey pe sar rakh kar sanam,Gam apna suonana chahtey hain,Sab zakham dekha kar apne tumhey,Sath apney rulana chahtey hain.


Aj phir yad teri ae

Aj phir yad teri ae ha Aj phir rat cut na paye gi Aj phir nain meray barsain gayAj phir nend roth jaye gi Aj phir dil tujhy pukaray ga Aj phir aas toot jaye gi


Mujy aksar sitaron sy yehi

Mujy aksar sitaron sy yehi awaz aati ha,

Kisi k hijar ma neendain ganwa k kuch nhi milta, Jigar ho jaye ga chulni yi aankhain khoon royin gi,

Wasi ba faiz logon sy nibha kr kuch nhi milta.


muqadr k sitaron par, zamane

muqadr k sitaron par, zamane k isharon par, kabhi veran shehron me, kabhi heeran ankhon mein,tere yaad chupke se koi sargoshi karti hai, ye ankhain bheeg jati hain ,to ansu toot girte hain, hum palkon ko jhukate hain, bazahir muskurate hain, faqat itna hi kehte hain, mujhe tum yaad aatay ho ,mujhe tum yaad aatay ho.


Wo jo un se paary

Wo jo un se paary un se parry un se parry bathy hain, Wo ya samajh bathy hain k hum un pe mary bathy hain, Hum tu un pe marry bathy hain, Jo un se parry bathy hain...


Her subah aata hai aapki

Her subah aata hai aapki yaad lekar, her saam jata hai aapki yaad me hame rula kar. Hame to intezar hai wo subah ki jo aayega aapko saath lekar aur wo saam ki jo jayega aapko mere paas chhod kar.


DIL LAGHANE KA IRADHA THA...

DIL LAGHANE KA IRADHA THA... !!!

MAGAR......

TUNE Tho TODA Hey BEWAFA !!!!!!

MERA TO BASH DIL TUTA RE.........

TERA TO KISMAT FUTA !!!!!


Mohabat hum b krlain gay, Ye

Mohabat hum b krlain gay,

Ye ghalti tum b kr laina,

Chalo tumhi se kr lain gay,

Kisi se tum b kr lena...

Tumhain hum dost kehte hain,

Tu nadir mashwara dain gay,

Mohabbat tum ne kerni hai??

Chalo hum hi se kr laina.....


Khawaboon ki tarah tha na

Khawaboon ki tarah tha na khayaloon ki tarah tha

wo Elm-e-Riazi Ky Sawalon Ki Tarah Tha

Ulja hwa aysa ky kabhi hal na howa

sulja howa eysa kay mesaloon ki tarah tha


Rastoon main na betho key

Rastoon main na betho key hawa tang kary gi

bechry howy logon ki sada tang kary gi

mat toot key chaho agaz-e-safar main

bechry ga to har ek ada tang kary gi


chat pay betha ek kabutar. thoda

chat pay betha ek kabutar.

thoda dana dede....

teri nai taang uthai....

mere nana choode...

bolo tararara


Mohabbat har kissi ke bass

Mohabbat har kissi ke bass ki baat nehi hoti,

Yeh to Hukme Parwardigharr hota hai..


YAAD KARTA HON TUMHEIN Yaad Karta

YAAD KARTA HON TUMHEIN

Yaad Karta Hoon Tumhein Yaad Aati Hi Nahi

Kaise Aaye Woh Cheez Jo Jati Hi Nahi...

Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai...

Judai ka pata hota agar pyaar se pehlay

To maut ki duva mangte hum deedar se pehle...

Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye

wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye...

Manzilon pe aake lutay hain dilon ke karvaan

Kashtiyan sahil pe aake dobti hain pyar ki...

Benaam Sa Ye Dard...Thehar Q Nahi Jata

Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata...

Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein

Kya Baat Hai Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata...

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein

Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...

Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha

Jatay Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai

Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...


Na guzarna Eid ko kisi

Na guzarna Eid ko kisi Mazzid ke samne se, log chand samajhkar apna roza na tod de...aur naraaz ho kar khuda tumse..kahi khubsurat log banana na chhod de...


Har sagar k do kinare

Har sagar k do kinare hote hain

kuch log jaan se bhi pyare hote hain

yeh zarory nahi har koi pas ho apne

zindagi main yadoon k bhi share hote hain


Jub seena ghum se bhojal

Jub seena ghum se bhojal ho or yaad kisi ki ati ho,

Tab kamre main band ho jan or chupke chupke ro lena,

Janb ankh main ansoo ajayen or yaad main kisi ki bhar ayen,

Phir khud ko dhokha mat dena or chupke chupke ro lena,

yeh duniya zalim duniya hai, yeh baat buhat phalaaye gi,

tum samne sab ke chup rehna or chupke chupke ro lena,

Jab ehsaas ho apni ghalti ka or preshan ho apni ghalti per,

Tu samne sab k khush rehna or chupke chupke ro lena..


mein sahil pe likhi hui

mein sahil pe likhi hui ebaarat nahein

jo lehroon sey mit jaati hai

mein baarish ki baarasti boond nahein

jo baras kar tham jati hai

mein khuaab nahein

jisey dekhaa aur bhula diya jaye

mein shama nahein

jisey phoonka aur bhuja diya jaye

mein hawa ka jhonka nahein

jo aya aur guzar gaya

mein chaand bhi nahein

jo raat k baad dhal jaata hai

mein to woh ehsaas hoon jo

tujh mein lahoo bun kar gardish karay

mein to woh rang hoon jo

teray dil par

chahray aur kabhi naa utray

mein to woh parwana hoon jo

jalta rahay aur fana naa hoga

khuaab, ibaaarat, hawak ki tarhaan

chaand, boond, shama ki tarhaan

meray mitnay ka sawaal hi nahein

KIYON K MEIN TO MOHABBAT HOON

AUR MOHABBAT KO KOI ZAWAAL NAHEIN


Kabhi jo ehsaas ho tum

Kabhi jo ehsaas ho tum ko k tum acha nahi kerte,

Jo mujh ko yon rulate ho,

Laho mera jalate ho,

Agar is aag main jal ker,

Main ik din rakh ho jaon,

Mujhe dil se bhula dena samandar main baha dena,

Magar itna yaad rakhna tum,

Khuda se yeh dua kerna,

K jo acha lage tum ko,

Wo tum jaisa na ho hergiz,

Warna tum b rooge,

Mujhe jaise rulate ho.


Wo silsily wo shoq wo

Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi rahi...

Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi...


Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...

Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi rahi...


Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...

Phir yon hua k dard main shidt nahi rahi...


Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...

Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi...


Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...

Khud apne ap se b mohabbat nahi rahi...


Suna hei log aap ko

Suna hei log aap ko aankh bher k dekhtay hein,

To aap k sheher mein kuch din ther k dekhtay hein,

Suna hei rbt hei ap ko khrab halon se,

Soo apnea p ko brbad ker k dekhtay hein,

Suna hei drd ki gahk hei chshm e naaz aap ki,

Soo hum bhi aap ki gali se guzer k dekhtay hein,

Suna hei aap ko bhi sher o shairi se shugaf,

Tu hum bhi mujze apne huner k dekhtay hein,

Suna hei aap bolo to baton se phool jhertay hein,

Ye baat hei to chalo aap se baat ker k dekhtay hein,

Suna hei raat mein aap ko chand tkta rehta hei,

Sitaray baam e falk se uter k dekhtay hein,

Suna hei din mein aap ko titliyan stati hein,

Suna hei raat ko jugnu ther k dekhtay hein,

Suna hei chsher hei aap ki gzaal si aankhein,

Suna hei aap ko hiran dsht bher k dekhtay hein,

Suna raat se berh ker hein kaklein aap ki,

Suna hei shaam ko sayae guzer k dekhtay hein,

Suna hei aap ki syaa chshmtli qyamat hei,

Soo aap ko surma frosh aah bher k dekhtay hein,

Suna hei aap k labon ko chho ker gulaab jltay hein,

Soo hum bhaar pe ilzam dher k dekhtay hein,

Suna hei aina tmsaal hei jabien aap ka,

Jo sada dil hein ap ko bn sanwer k delkhtay hein,

Bs ek nigah se luta hei kafla dil ka,

Soo rah rwan e tmna bhi drr k dekhtay hein,

Suna hei aap k shbistan se mutsil hei behisht,

Maseeh udher k jalway bhi idher dekhtay hein,

Rukay to gerdishein aap ka tuwaf kerti hein,

Chlay to zmana aap ko tehar k dekhtay hein,

Khaniya hi sahi sb mubalgay hi sahi,

Ager aap khuwaab ho to taabeer ker k dekhtay hein,

Ab aap k shehar mein tehraein ya kooch ker jaein,

ALI aao sitaray safer k dekhtay hein!


hum apko kaise samjhae ap

hum apko kaise samjhae ap mere lie kja hai

mere jine ka maqsad hai meri saanson ki wajah hai


hum apko kasie samjhae apke lie tarapta kjun hai dil apke lie rota kjun hai meri rag rag apko pukarti kju nai


hum apko kaise samjhae apki ruh meri ruh se aise milti kjun hai jaise hum judwa hon


hum khud nahin jaante to hum apko kaise samjhae


Sabse Aana Jaana Rakha Mera Ghar

Sabse Aana Jaana Rakha

Mera Ghar Veerana Rakha


Hamne Ek Khawahish Rakhi

Tumne Ek Bahaana Rakha


Tere Saath gaye lamho ka

hamne naam khazana rakha


Tum mein batao kya rakha tha

Hum mein batao kya na rakha


Tere bina ab kya jeena hai

Kehne Ko Hai Zamana Rakha


Kaisa Kaafirana rakha

Tujh bin koi khuda na rakha


koi deewana kehta hai koi paagal

koi deewana kehta hai

koi paagal samaj taa hai

magar dharti ki bachani ko

bus baadal samaj taa hai

mai tuj se dur kaisa hoon

tu muj se dur kaisa hai

yai mera dil samaj taa hai

yaa tera dil samaj taa hai


Humne bhi kisi se Pyar

Humne bhi kisi se Pyar kiya tha, Thoda sanhi Beshumar kiya tha, Magar badal gayi zindgi meri jab, Ushne kaha arey pagal maine to mazak kiya tha.


aa raatan tahna kyo hundi

aa raatan tahna kyo hundi ha...

kismat to saareya nu shikayai kyo hundi ha...

kite mile rabb te zaroor puchna...

jisnu paa nahi sakde ose naal mohabbat kyo hundi ha...


Waqt to waqt hey, guzar

Waqt to waqt hey, guzar jata hey, judai ka durd dil mein utar jata hey, Lafzon mein tery pyar ka amrit ghula huwa, bun ke naghma meri saanson se bikhar jata hey.


Muhabbat rooh main utra hua

Muhabbat rooh main utra hua mosam hai so jana

taulaq khatam karnay say muhabbat kam nahi hoti.

Bohat kuch tum say b barh kar muyassar tha muyassar hai

najanay phir b kyun teri zarurat kam nahi hoti


Kaash hum sms hote ek

Kaash hum sms hote ek klik main tumare pass hote bhale tum hume delete kar date per kuch pal ke liye hum tumare pass to hote.


dosti Zindgi jene ka paigam

dosti Zindgi jene ka paigam hoti hai, Dosti sab Risto se Mahan hoti hai. Bina Dodti ke jina bahut Muskil ho jaata hai, Kyoki Ek Dost me Dusare dost ki Jaan hoti hai.


dete ho kyu ye dard

dete ho kyu ye dard bus humi ko kya samjoge tum in ankho ki nami ho u to hoge lakho dewane is chand k chand kya mehsus karega 1 tare ki kami ko


Masoom Mohabbat ki Masoom Ada

Masoom Mohabbat ki Masoom Ada Rakhna,,,

Hoton ko na ho jumbish izhar Bhi ho jaye,,,

Ehsas ke jhokon se Chilman ko hata dena,,,,

Parda bhi rahe qayam DEEDAR bhi ho jaye,,,,,,


Yeh Yaad Hai Apki ya

Yeh Yaad Hai Apki ya "Yaado" main aap ho,,

Ye Kwab hai apke ya "Kwabon" Mai Aap ho,,

hum nahi jante hume bas itna bata do, Hum "Jaan" hai apki ya Jaan "Humari" 'AAP' ho.


khual kar kabhi dil ki

khual kar kabhi dil ki baat nahi hoti.. pass rah kar bi mulaqat nahi hoti.... jab kabi dekh loon teri sharmili ankhan.. phir meri khusi ki taab nahi hoti...


Jisay tha samjha sahara zindagi

Jisay tha samjha sahara zindagi ka.

Tha woh ek khwab meri bay khudi ka.


Dard uska tha or trap merya dilki,

Hua Hay yeh hissa aaj bay hisi ka.


Mat hanso halat-e-zar per meri,

Kuch tou andaza kro meri bay basi ka,


Kehtay thay keh mat dil laga Abid..!

Dekha hay tunay anjam dillagi ka..???


Jisay tha samjha sahara zindagi ka.

tha woh ek khwab meri bay khudhi ka.


Dard uska tha or trap meray dilki,

hua hay yeh hissa aaj bay hisi kay.


Mat hanso halat-e-zar per meri.

Kuch tou andaza kro meri bay basi ka.


Kehtay thay keh mat dil laga Abid...!

Dekha hay tunay anjam dil lagi ka..???


Ban k ahsas meri dharkan

Ban k ahsas meri dharkan k pass rehtey ho,

Tasweer ban k meri anchoon k pass rehtey ho,

Aaj poochna aik sawal tum se door ho kar,

kya tum b mere bina uddas rehtey ho!!!?


Na phulo ki Tammna hai Na

Na phulo ki Tammna hai

Na kaliyo per marte hai

Bus ek bholi si surat hai

Jise hum pyaar karte hai


thaqdeer banane wale tho neh

thaqdeer banane wale tho neh kami tho na ki ab kis ko kiya mila yeh tho muqadar ki baat hai 


Zindagi jaise ek sazaa si

Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai,

Gham ke sagar mein kuch is kadar kho gayi hai,

Tum aajao waapis yeh guzaarish hai meri,

Shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi hai


Bin sawan barsat nahi hoti, Suraj

Bin sawan barsat nahi hoti,

Suraj dube bina raat nahi hoti,

Kya kare ab kuch aisi halat hai ki,

Aapki yaad aaye bina din ki

shuruwaat nahin hoti.


Roz kisi ka intezar hota

Roz kisi ka intezar hota hai,

roz ye dil bekarar hota hai,

kaash ke koi samajh pata k

chup rehne walon ko b kisi se

pyar hote hai.....


Yaadon ki dhund me aapki

Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,

Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,

Aap karib ho to apnapan hai,

Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.


Yaadon ki dhund me aapki

Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,

Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,

Aap karib ho to apnapan hai,

Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.


*~*~* DuA*~*~* Maine kaha ke mere

*~*~* DuA*~*~*

Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo

Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo

Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa

Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo...

Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain

Us ne kaha ke raat ko socha na karo

Maine kaha ke raat ko neend nahi aati

Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine kaha ke dost nahi denge saath mera

Us ne kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo ..

Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain

Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine kaha ke tere milne ki umeed hai

Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai ..

Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi

Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo...


Zindagi Ek Gift Hai (Kabol

Zindagi Ek Gift Hai (Kabol Kijiye)

Zindagi Ek Ehsas Hai (Mehsos Kijiye)

Zindagi Ek Piyas Hai( Pyar Dijiye)

Zindagi Ek Milan Hai (Muskura Dijiye)

Zindagi Ek Judaai Hai (Saber Kijiye)

Zindagi Ek Aanso Hai (Pee Lijiye)

Zindagi Akhir Zindagi Hai ( Jee Lijiye)


Us nay tora woh taluq jo

Us nay tora woh taluq

jo meri zaat se tha

us ko ranj na jane

meri kis baat se tha

la-taluq raha logon ki tarah who b

jo achi tarah waqif meri her bat se tha


Teri mohabbat ke zazbaat mein

Teri mohabbat ke zazbaat mein pighal gaye yaara....

mere dil ke kaagaz pe sirf naam hai tumhara...

ek waqt aisa laga ki sahil se door ho gaye um.....