jism-o-jaaN par guzar gayiiN

jism-o-jaaN par guzar gayiiN sadiyaaN

mujh ko paamaal kar gayiiN sadiyaaN

vaqt kii tez aaNdhiyoN meN kahiiN

gard ban kar bikhar gayiiN sadiyaaN

raf’atoN se giraa thaa ek lamhaa

pastiyoN meN utar gayiiN sadiyaaN

thii ajab inquilaab-e-vaqt kii maar

ek do pal meN mar gayiiN sadiyaaN

ham khaRe dekhte rahe “Makhmoor”

sa’atoN meN guzar gayii sadiyaaN


ishq bekaar, muhabbat barbaad shoalaa-e-dil kii

ishq bekaar, muhabbat barbaad

shoalaa-e-dil kii haraarat barbaad

maiN use bhuul na paayaa ab tak

saal-haa saal kii mehnat barbaad

ko’ii suntaa hii nahiiN qissaa-e-dard

harf barbaad, hikaayat barbaad

vo hai naaraaz abhii tak mujh se

minnateN zaa’yaa, samaajat barbaad

us pe khultaa hii nahiiN haal meraa

saarii tashriih-o-vazaahat barbaad

kaun barbaad karegaa mujh ko

maiN huuN Khud apnii ba-daulat barbaad

ab bhii haiN uskii galii ke phere

baarish, sang-e-malaamat barbaad

ab bhii aabaad haiN yaadeN uskii

ehtimaam-e-Gham-o-furqat barbaad

be-talab us ne talab kii puurii

ho gayii saarii ibaadat barbaad

maut ko bhii tuu parakh kar dekh

ziist barbaad, nihaayat barbaad

haasil-e-jazb-e-vafaadaarii “SaaMer”

zaa’yaa, bekaar, akaarat, barbaad


kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se

vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se

kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se

vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se

nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii

vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se

bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa

vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se

tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa

ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-qade se

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,


Yehi Wafaa ka silaah hai,

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se

Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko

Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha

Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana

Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi


muhabatoon main adawatein kaisi chahna

muhabatoon main adawatein kaisi

chahna kisi ko to phir shikayetein kaisi

jab tumhara uss per eitbar hay itna

to zara zara si baat per wazahetein kaisi


Ab kis se kahein aur

Ab kis se kahein aur Kon sunay Jo HaalTtumharay baad huwa

Is Dil ki Jheel si Aankhon mei Ek Khawab boht Barbaad huwa

Yeh Hijr Hawa b Dushman hai Us Naam ke saaray rango ki

Woh Naam jo Mere Honton per Khushboo ki tarah Aabaad huwa

Is Shehr mei Kitnay Chehre they Kuch Yaad nahin Sub Bhool gaye

Ek Shakhs Kitabon jesa tha Woh Shakhs Zubaani Yaad huwa

Woh Apne Gaaun ki Galiyaan thi, Dil Jin mei Nachta Gaata tha

Ab is se Farq nahin parhta Naashad huwa ya Shaad huwa

Be-Naam Sataayish rehti thi, In Gehri Sanwali Aankhon mei

Aisa to kabhi socha bhi na tha, Dil Ab jitna Be-Daad hua


Tum kia ho Duniya ki

Tum kia ho Duniya ki nazar main

aik aam insan

ya ziada say ziada achay ya buray per

meri nazar main tum seep may moti hou

tum lehro ki shararat ho

tum thandi dhoup ki hararat hou

tum barisho ki sada hou

tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou

tum dharkano ki awaz hou

tum sada ho mairay piyar ki

tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki

tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say

kiun kay tum khas ho

sansou ki saaz hou... 


Ab kiya likhein hum kagaz

Ab kiya likhein hum kagaz per

Ab likhne ko kiya baki hai

Ik dil tha su wo tuth giya

Ab lutne ko kiya baki hai

Ik shaks ko hum ne caha tha

Ik reet pe naqsh banaya tha

In reet ke zarun ko hum ne

Phir apne dil main sajaya tha

Wo reet tu kab ki bikhar gay

Wo naqsh kahan ab baki hai

Ab kiya likhein hum kagaz per

Ab likne ko kiya baki hai

Hum jin ko apni nazmoon ka

Unwan banaya karte the

Lafzun ka bana kar taj mehal

Kagaz par sajaya karte the

Wo hum ko akela choor gay

Sab rishtoon se mun murr gay

Ab rishte sare sune hain

Wo piyar kahan ab baki hai

Ab kiya likhein hum kagaz per

Ab likne ko kiya baki hai

,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,


Ker lea hai faisla kehna

Ker lea hai faisla kehna ossay

abb na hoga rabta kehna ossay

jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH

kho gaya woh Rasta kehna ossay

teri YADEEN DIL se ruksat ho gain

ho chuka yeh saneha kehna ossay

abb na dekhay ga tumhara rasta

dil ko may samjha chuka kehna ossay

cheen se sone na dega Ghum tujhi

raat bher abb jagna kehna ossay

aashna bun ker na milna rah may

Dosti ek khuwab tha kehna ossay

moer k pechay dekhtay hum bhi nahi

soch ker munh phairna kehna ossay


Aey Kaash… woh phool si muskurahat

Aey Kaash…

woh phool si muskurahat merey liye hoti

woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata

woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan

woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main

aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta

jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi

mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti


Main bhool jaon tumhain ab

Main bhool jaon tumhain ab yahi munasib hai

magar bhulana bhi chahoon to kis tarah bhoolon

Keh , tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin

yahan to dil ka ye aalam hai kya kahoon, kambhakht


Bhula saka na ye, wo silsila jo tha hi nahin

wo ik khyal jo awaaz tak gaya hi nahin

wo aik baat jo main keh nahin saki tum se

wo aik rabta jo hum main kabhi raha hi nahin


mujhay hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahi


agar hai dil ka yeh aalam to koi samjhaye

tumhain bhulana bhi chahoon to kis tarah bhoolon


Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaaab nahi


Kaho ab kya kahoon tum

Kaho ab kya kahoon tum se

Batao kya likhoon tum ko

Mujhey tamheed dou koi

Mujhey umeed dou koi

Naya ek lafz hou koi

Jahan se baat chal niklay

Meri mushkil ka hal niklay

Batao lehja kaisa hou

Ke tum se baat karni hai

Mujhey thora ujaala dou

Basar ek raat karni hai

Apni roshan aankhoon ko agar kholo tu main likhoon

Kaho ab kya iraada hai

Ke betaabi ziyaada hai

Mujhey ek baat karni hai

Mujhey izhaar karna hai

Meri kahani mera qissa hou tum

Meri sansoon ka hissa hou tum 


GHUM KI RAFTAAR BARHA DI

GHUM KI RAFTAAR BARHA DI TU NAY

Jurm kaya tha jo saza di tu nay


Aaj tanhaiyon ka saathi hoon

Meri haalat kaya bana di tu nay


Kitna khamosh pur sakoon sa tha

Kis qadar aag laga di tu nay


Ab teri simt kahan say aaon

Kaisi deewar utha di tu nay


Hum nay apno say chupaye thi wohi

Baat dunya ko bata di tu nay…… 


Itna toota hoon ki choonay

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,

Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !


Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,

Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !


Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,

Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !


Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,

Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !


Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,

Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga !


Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,

Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga


Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Mein aksar tumhein Yad Ata Rahonga,

Kabhi Khuwab Bankar ,Kabhi Yad Bankar,

Mein Nendiein Tumhari Churata Rahonga,

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Kabhi Jee Raha hoon , Kabhi Mar Raha hoon,

Mujhe Na Pata Mein kya Kar Raha hoon,

Kabhi Bhujh Raha hoon, Kabhi Jal Raha hoon,

Kadam Rokte Hein Magar Chall raha hoon,

Mein yoon hi chalonga milo na milo tum

Mein Awaz dekar Bullata Rahonga,

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Sataigi Gi jab jab Tumhein Bekrari,

Tumhien yad aigi Muhabat Hamari,

Sunoge kahen jo Muhabat ki batien,

Tumhien Yad aigien wo Din wo Ratein,

Guzari jo Tum ne Banhoone mein Meri,

Mein Sub Yad tum ko Dillata Rahonga

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Mein aksar tumhein Yad Ata rahonga,

Kabhi Khuwab Bankar ,Kabhi yad Bankar,

Mein Nendiein Tumhari Churata Rahonga,

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Mein aksar tumhein Yad Ata rahonga,


chupkay chupkay jal jatey hain loog

chupkay chupkay jal jatey hain

loog mohabat karne waley !


purwa sang nikal jatey hain

loog mohabat karne waley !


ankhon ankhon chal partey hain taaroon ki qandeel liye

chaand k sath he dhal jatey hain

loog mohabat karne waley !


dil main phool khila detey hain

loog mohabat karne waley !


aag main raag jaga detey hain

loog mohabat karne waley !


khowab khushi k boo jatey hain

loog mohabat karne waley !


zakhm dilon k dhoo jatey hain

loog mohabat karne waley !


titli titli lehratey hain pholoun ki umeed liye

ik din khushbu ho jatey hain

loog mohabat karne waley !


jhoonka hain bechain hawa ka

loog mohabat karne waley !


sab ronaqon ko bhool kar

sab ronaqon ko bhool kar socha main karta hon tumhain

ab raat din shaam o sehar socha main karta hon tumhain


mere dil sad-e-chaak main jab khowahishain dam tour dain

kuch deeep rakh k baam pe socha main karta hon tumhain


na doston ki yaad hai na dushmanon ka khoof kuch

khud se ho k bekhabar socha main karta hon tumhain


zinda rehna sikhaya hai in sochon ne

k mout se bhi bekhatar socha main karta hon tumhain ...


Apni tanhai mere naam pe

Apni tanhai mere naam pe abaad karay...

Kaun hoga jo mujhe is tarha yaad karay?

Dil ajab sheher, keh jis per bhi khulla dar iska...

Woh musaafir issay her simt se barbaad karay!

Apne qatil ki zehaanat se pareshaa.N hoo.N mai

Roz eik maut naye tarz ki ijaad karay!

Uski Muthi mai bohat roz raha mera wujood,

Mere saahir se kaho ab mujhay azaad karay!


Ab Agar Aao To Jaane

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana


Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain

Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain

Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana


Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai

Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai

Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana


Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi

Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

....................................................


Baat Din Ki Nahi, Ab

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...

Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai...


Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye...

Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai...


Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo...

Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai...


Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein...

Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai...


oos ki ankhoon mein moohabbat

oos ki ankhoon mein moohabbat ka sitara ho ga,

aik din aye ga woh shakhs hamara ho ga,

tum jahan merey leye sipeyan chunti ho gi,

woh kissi aur he duniya ka kinara ho ga,

zindagi ab k mera naam na shamil karna ,

gar yeh teh hai k yehe khel dobara ho ga,

jes k honey sey merey sans chala kerti thi,

kis tarha os k baghar apana guzara ho ga,

yeh jo achanak ojala sa ho jata hai,

dil ney chupkey sey tera naam pukara ho ga,

ishq karna hai to din raat osey suchana hai,

aur kuch zehan mein aya to kahsara ho ga,

koon rota hai yahan raat k sanatoon mein,

merey jeysa he koi hejar k mara ho ga,

mujh ko maloom hai joonhe mein kadam rekhoon ga,

zindagi tera koi aur kinara ho ga,

kaam mushkil hai mager jeet he loon ga oos ko,

merey moola ka wasi joonhe estara ho ga...!!!!


terey jessa mera bhi haaal

terey jessa mera bhi haaal tha ,

na sakoon tha na karar tha,

yehe omar thi marey hum nasheen ,

k kisi sey mujh ko bhi piyaar tha.

mein samajh raha hoon terey kasak,

tera mera dard hai mush tarak,

essi gham ka tu bhi aseer hai,

essi doakh ka mein bhi sikaar tha.

woh saroor essa saroor tha,

woh khomar essa khomar tha

kabhi lamha bhar ki bhi guftagu,

mere os k saath na ho saki,

mujhey forsatein na mil sakein ,

woh hawa k roat per sawar tha,

hum ajeeb tarz k loag thy,

k hamarey aur bhi roag thy,

mein khezaoon mein oss ka tha montarzar,

ossey intazarey bahar tha,

essey phar kar tum na samajh sakey,

k mere kitab k roop mein kohe karz tha kisi saal ka,

kahe rutjaghoon ka odar tha..........................

-¦- `v´ -¦-


*¤*.¸¸.·´¨`»*«´¨`·.¸¸.*¤*


*¤*.¸¸.·´¨`»* * SaaMer* *«´¨`·.¸¸.*¤*


*¤*.¸¸.·´¨`»*«´¨`·.¸¸.*¤*


Zindagi Main Hai Dhoka Is

Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi

Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi

Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai

Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi

Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar

Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi

Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar

In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi

Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna

Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi

Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya

Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi


Tujhe Ishq Ho tujhay ishq

Tujhe Ishq Ho tujhay ishq ho Khuda karay

koi tujh ko us sa juda karay teray hont hansna bhol jaain

tere ankhain purnam raha karain

tu us ki batain suna karay

tu us ki batain kia karay tu us ko dekh k ruka karay

woh tujh ko dakh k ruka karay

tujhay hijar ki woh jhari lagay

tu milan ki har pal dua karay tujhay ishq ho phir yakin ho

usay tasbeeho pay parha karay main kahoo ishq sab dhong hai

tu nahi nahi kia karay yah dua hai atish ishq main

tu bhi mare tarah jala karay

na naseeb ho hansna tujhay

tera dil main dard raha karay teray samnay tera ghar jalay

tera bas chalay na bhuja sakay tere lab sa niklay yahi dua

k na dil kisi ka jala karay


Kabhi kabhi dil yeh chahta

Kabhi kabhi dil yeh chahta hai

tumhari shamon ka haal poochon

sawaal poochon

ke fiker e farda main kaisi guzri

younhi kabhi mera naam aaya tumhare honton pe ek pal ko

mrri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bi raston main

kabhi kisi din tumhari subha ke dar pe jagi sadaye dastak

kabhi ibbadat ki kayfiat main tumhein mera bi gumaan guzra

tumhare sehan e dua se mera bi dheyaan guzra

kabhi tumhare badan pe bi shab e azaab ban ker thehr gayi thi

kabhi kabhi dil yeh chahta hai'sawal pochon

mager main chup hoon

hamarey dermiyaan yeh ju deewar e ajnabeeyat hai yeh gannimet

iisi main tukeere hurf o lub hai

yehin pe tarq o talb ki hadd hai


Muhabbat ki aziyyat ko kabhi

Muhabbat ki aziyyat ko kabhi pehchaan paaw to,

mujhe bhi khabr ker dena,

ke tum se door reh ker bhi,

tumhaary naam ki khushboo,

meri her saans se ik aas ka rishta bandhaati hai!!!

Muhabbat toot bhi jaaye,

muhabbat rooth bhi jaaye,

muhabbat mit nahi sakti...

Dilo'n ke teher jaaney se,

judaai ke zamaaney se,

muhabbat chup to sakti hai,

muhabbat mar nahi saktii!!!


mujhay har kaam say pehlay sahar

mujhay har kaam say pehlay

sahar say shaam say pehlay

ye he ek kaam karna hai

tumhara naam layna hai

tum he ko yaad karna hai

kay jab bhi dard peena hai

kay jab bhi zakhm seena hai

mujhay jab jaam layna hai

tumhara naam layna hai

tumhee ko yaad karna hai

tumhareyaad hai dil mein

kay ik sayyad hai dil mein

koi barbaad hai dil mein

issay aabaad karna hai

tumhara naam layna hai

tumhee ko yaad karna hai ..


.....................&quo t;Yeh Dil Mahobbat Karta Q

....................."Yeh Dil Mahobbat Karta Q Hai

"Yeh Dil Mahobbat Karta Q Hai

Jo Karta Hai Tu Phir Tarapta Q Hai


Jo Beth Gaya Hai Dil Main Pyar Ka Dard Ban Key

Woh Ankhoon Key Rastey Nikalta Q Hai


Main Terey Sath Hun Har Rah Main Mujhsey Kehte The Woh

Tu Phir Aaj Yeh Rasta Mujhey Sunsan Lagta Q Hai

Main Dharkan Hon Us Key Dil Ki Woh Kehte The Mujhsey

Phir Aaj Us Ka Dil Merey Bina Dharakta Q Hai


Woh Mere Nahi Hai Yeh Janta Hon Main Phir Bhi

Kisi Or Key Sath Dekh Key Us Ko Dil Machalta Q Hai


Yeh Dil Bhi Ajeeb Hota Hai Dostoon

Kabhi Kehta Hai Ja Tham Ley Us Key Hathoon Ko

Phir Reh Reh Key Sambalta Q Hai


woh kaysa shaks hy hr

woh kaysa shaks hy hr roz saza dyta hy..

...phir hasata hy wo itna k bhulaa dyta hy,


kabhi jo ro dy to mujh ko bhi bhol jata hy.

..or phir bhol k mujh ko bhi rula dyta hy


,os pochon k bata kon dost hy tera..

.naam sargoshi main mera hi suna dyta hy,


khud hi kehta hy na dohrao purani yadain..

..main na dihraon to phir khud hi suna dyta hy


kisi kitab mein tha na

kisi kitab mein tha na dastan mein tha

ajeeb soz merey zakhmoon ki zuban mein tha

zameen ne mujhay gaud le lia warna

sitara saaz ne rakha tu asman mein tha

mein sabz bakht k soya hua tha manzil per

utha tu dasht e musafit k darmyan mein tha

mein pukarta kis ko sadayien kia deta

mein chhat per pohncha tu darya merey makan mein tha ...


apane haathon se yun chehare

apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho

mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho

tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa

pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho

ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho

dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum

mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho

roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho

milane aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho


Dil Ki Batain , Bata

Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,

Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,

Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,

Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,

Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,

Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,

Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,

Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,

Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,

Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,

Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen,

Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,

Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen. .... 


agar talaash karuun koii mil

agar talaash karuun koii mil hii jaayegaa

magar tumhaarii tarah kaun mujhe chaahegaa

tumhein zaruur koii chaahatoun se dekhegaa

magar vo aankhein hamaarii kahaan se laayegaa

naa jaane kab tere dil par naii sii dastak ho

makaan Khaalii huaa hai to koii aayegaa

main apanii raah mein diivaar ban ke baiThaa huuN

agar vo aayaa to kis raaste se aayegaa

tumhaare saath ye mausam farishtoun jaisaa hai

tumhaare baad ye mausam bahut sataayegaa


Donon jahaan teri mohabbat mein

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke

Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke


Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain

Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke


Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din

Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke


Duniya ne teri yaad se begaana kar diya

Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke


Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz

Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke


Zikr-E-Shab-E- Firaq say weh'shat usay

Zikr-E-Shab-E- Firaq say weh'shat usay bhi thi,

Meri tarhan kisi se Mohabbat usay bhe the....

Mujh ko showk tha naye chehroon ki deed ka,

Rasta bhool kar chalnay ki Adat ussay bhe the....

Mujh'say bichar kay zamanay bhar say ghul mill gaya woh shaks,

Warna zamanay bhar say adawat ussay bhe thee...

Tanha howa safar main to mujh per khul yeh raaz

Saaye say payaar dhoop say nafrat ussay bhe thi....

Woh mujh say barh kar zabt ka aadi tha jee gaya,

Warna har aik sans qayamat ussay bhi thi....

Mohsin main youn bhi keh na saka Hal-E-Dil ussay,

Dar'paish aik taza musibat ussay bhi thi...!!!


tere baare mein jab sochaa

tere baare mein jab sochaa nahiin thaa

main tanhaa thaa magar itanaa nahiin thaa


terii tasviir se karataa thaa baaten

mere kamare mein aaiinaa nahiin thaa


samandar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa

main jab seharaa mein thaa pyasaa nahiin thaa


manaane ruuthane ke khel mein ham

bichhar jaayenge ye sochaa nahiin thaa


sunaa hai band kar li us ne aaNkhen

kaii raaton se vo soyaa nahiin thaa


;;aik pal ki zindagi mei

;;aik pal ki zindagi mei ji li uamria sari

;;kon jane anne wali ghari mein hum ho na houn


;;tm se bi kr li dosti ki tamna poori hm ne

;;tere jaisa dost meri zindagi mei phir ho na ho


;;raste hain pur khatar har taraf hai andhera

;;is nadheree mein phr jalti shamma ka sahr phir ho na ho


;;mere tasawar mei shamil khushian sabki hazar hain

;;in khousioun ke sang jeene ka samey sang mere phr ho na ho


;;apne har rang ko dia meine dunya mein baant

;;kon janne ane wali ghari in rangoun mei hm ho na houn


;;;;;;;; kia maloom ye zindagi sand mery ho na ho ;;;;;;;


tum sab jo meri baat

tum sab jo meri baat suno

ik kissa tumhein sunaata hoon

ye kissa nahi zamanay ka

ye kissa hai parwaanay ka

jo pal pal jeeta marta tha

jo pyar bohot hi karta tha

har baat usay maloom to thi

ek baat magar wo bhula betha

shamma ko haasil karnay mein

khud apna aap ganwa betha

youn ishq ki had se guzarnay mein

parwanay k jal marnay mein

ab jaagti hai na soti hai

shamma ab har pal roti hai 


yun dil ko her ik

yun dil ko her ik shaks pe wara nahee kertay

ankon may her ik aks utara nahee kertay

honee hay to ik bar he ho jayee yah muhabat

yah bhool hay asi k dubara nahee kertay

acha huaa may nay hee fakat dekha magar yun

mahfil may kisi ko b ishara nahee kertay

mil jayee sar-e rah jo bichra huaa koi

chup chap hee taktay hain pukara nahee kertay

kuee piar ki bazi say ho is darja gureezah

kahtay hain k dil haar k hara nahee kertay

kajal say bhee ab kam koi lay na sahalee

yun dard say ankon ko sanwara nahee kertay


Tumhien jana ijazat hai koi

Tumhien jana ijazat hai

koi bhi faisla ker lo

tum apnay hoslon mein jab koi thakawat si pao

uljh jao masyal mein

wafa ko na nibha pao

kisi pyarey se chehray ki haseen akhoon mein kho jao

ijazat hai tumhein jana

agar uss pal jo tum chaho

koi bhi faisla ker lo hmaray muntamir thehro

ya hum ko alvida keh do

tumhain jana ijazat hai 


who muddaton ke baad sar

who muddaton ke baad sar e raah mil gaya

aisa laga ke jaise koi zakhm chil gaya

uske to jaise paaon zameen ne pakar lie

aur mai Kisi shajar ki tarah jar se hil gaya

uske bhi lafz jaise muqqaffil se hogai

mere bhi lab pe jaise koi hurf sil gaya

uske bhi dil ke rung nigahon tak aagaye

mujh mai bhi qaafla sa chala taaba dil gaya

lamhe ke jaise waqt mai girhain si par gai

manzar ke jaise aankh kle parde pe sil gaya

who jis pe indmaal ki muddat guzar chuki

andar kahin who zakhm rag e jaan se mil gaya

phoolon ne jaise jhank lia tha mera wujood

dil ka har ek rung darkhtoon pe khil gaya

dhundhli si kuch widaa ki tasveer hai saud

manzar kashi ke waqt koi aks hil gaya


mohabbat ke anokhe the sabhi

mohabbat ke anokhe the sabhi andaaz kya karte

rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraaz kya karte

sanam tujh se mohabbat ka bhala aghaaz kya karte

labon per baat aayi per na thi awaaz kya karte

mere ahbaab kya karte mere damsaaz kya karte

mujhe jab dard hi tha raaz chaara saaz kya karte

hujoome shehar hum kho gaye kuch chain paane ko

akele mein sataati thi teri awaaz kya karte

dil e nazuk humara usne pal mein tor daala tha

use bhaati thi toote kaanch ki awaaz kya karte

hum uske saamne chup saadh ker baitha kiye phir bhi

jafakaari se pesh aayea voh heela saaz kya karte

saja ker sau tabasum aek gham tumse chupaati thi

magar anmol ke tum jaanker voh raaz kya karte


Socha nahi acha Bura, Dekha

Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi

Manga Khuda se raat-din, Tere siwa Kuch bhi nahi

Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe

Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch bhi nahi

Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar

Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch bhi nahi

Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak

Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch bhi nahi

Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga

Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch bhi nahi .....


Teri yadon se kya nahi

Teri yadon se kya nahi seekha?

Teri yadon se kya nahi seekha?

Be sabab tow na thein teri yadein

Teri yadon se kya nahi seekha

Zabt ka hosla berha lena

Aansoun ko kahin chupa lena

Kanpti dolti sadaon ko

Chup ki chader se dhanp ker rakhna

Be sabeb bhi kabhi kabhi husna

Mozo-e-guftugu badal dena

Besabab tow nahi teri yadein

Teri yadon se kya nahi seekha 


dhoondtey kia ho in aankhon

dhoondtey kia ho in aankhon main kahani meri

khud main gumm rehna to aadat hai purani meri

bheer main tumhen mil jaonga asani se

khoya khoya rehna hai nishani meri

maine ik baar kaha tha k boht piyasa hon

tab se mash-hoor hoi tashnah-dahani meri


Hawa Jab Teez Chalti Hai Tumhari

Hawa Jab Teez Chalti Hai

Tumhari Yaad Aati Hai..

Jab Pattey Sar-Saratey Hain

Aur Ziker Tumhara Hota Hai....


Kabhi Bholey Sey Shab Ko

Meray Dil Main A Ker Dekho

Hai Aik Mahfil Sajji Hoti

Aur Ziker Tumhara Hota Hai...


Tumhin Kesay Bataoon Kitni Chahat

Main Nay Ki Hai Tum Sey

Kay Jab Bhi Aansoo Chhalaktey Hain

Aur Ziker Tumhara Hota Hai......

Kabhi Chanda Ko Main Dekhon

Kabhi Tarey Main Gintta Hoon

Kabhi Chandni Muskurati Hai

Aur Ziker Tumhara Hota Hai....


Zamana Hai Bohat Zalim

Kahin Yeh Cheen Na Lay Tum Ko

Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon

Aur Ziker Tumhara Hota Hai... 


kitni bechain hai ye sanse

kitni bechain hai ye sanse meri

bina tere bohat roti hain ye aankhein meri


aake lag ja gale ke ab raha jai na

dil bholane se bhi nahi bholta woh batien teri


kab se meri aankho ko neend aati he nahi

bahain mangti hai mujh se ratain teri


tu chala jata hai tu jaan nikal jati hai

tere aane se lot aati hai ye sanse meri


kab talk ye lamha judayi ka rolaiga mujh ko

dil laga betha hai sene se bas ab yaadein teri


meri rooh main basker tum ja paoge kaha tak jaana

lot ke le ayegi phir paas tumhe wafaye meri


jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi

tum ko bola rahi hai ye bahein meri


kitni bechain hai ye sanse meri

bina tere bhut roti hai ye aankhein meri


aaine mein ek noor dikhta

aaine mein ek noor dikhta tha mujhko zahir

jara nazdeek se dekha to do aasoon tapak pade


intezaar to unka ro ro ke kiya humne

milne ka waqt aaya to woh bhi bilak pade


kitna ajeeb manzar dikhta hai ulfat mein

aakhon se gira paani aur armaa sulag pade


jab gham-e-ishq ko humne khamoshi bana liya

kuchh bache the khwab woh bhi sisak pade


uss ne kaha thaa apna bana k choron gee...

youn hee tu kiya,apna bana k chor diya....


mein kia hoon .....mein koon

mein kia hoon .....mein koon hoon......ye ni batana chahta....

wo kehte hein na k.....


Log kehte hain dukh baantne se kam hota hai

woh kehte hain sukh baantne se badhta hai

lekin ye dil apne dukh baantna hi nahin chahta

kehta hai...

woh doosron ko apne dukhon se dukhi karna nahin chahta


but mein tu usey itna hee kahon ga k.....


tare bare main sooch sooch kar sara din

guzaar detaa hun........

kabhi soocha hai ye zalim ...

ye raat kase guzarti hogi...... 


Aisi waisi nahin pariyon jaisi

Aisi waisi nahin pariyon jaisi thi wo

Machalti ghataon ki badliyon jaisi thi wo

Shokh rang manchali tabiyat se bharpoor

Chaman chaman phirti titliyon jaisi thi wo

Ek ehsas-e-tazgee ek mehek ka gumaan

Ek shayar ki ghazal kaliyon jaisi thi wo

Waasta na raha zindgi mein dukhon se

Hamesha ko haasil khushiyon jaisi thi wo