Tum door ho to kia

Tum door ho to kia hay.

Teri khushbo meray sath hay, Tera lehja meray sath hay,

Teri Batain meri hamsafar, Teri Yadain meri rahguzar.

Tum Door ho to kia hay.

Har Lamha meray pas ho, Meray jenay ki tum aas ho,

Meri zindagi meri justaju, meri dharkan meri arzoo.

Tum door ho to kia hay.

Sath tera saya hay, Dil ko ye samjhaya hay,

Jo apny hain wo bhola nahi kartay, Bhed dil k kbhi khola nai karty.

Tum Door ho to kia hay.......


sakoon bhi khawab howa neend

sakoon bhi khawab howa neend bhi hai kam kam phir...

qareeb aanay laga doriyoon ka mousam phir...

bana rahi hai teri yaad mujko silk_e_gohar

paro gae meri palkoon main aaj shabnam phir...

who narm lehjay main kuch keh raha hai phir mujsay

chira hai payar kay komal suroon main madham phir...

tujay manaoon kay apni ana ki baat sunoon

ulaj raha hai miaray faisloon ka raisham phir...

na uski baat main samjoon na who meri nazrain

muaamlat_e_zuban ho chalay hain mabham phir...

who aik lamha kay jab saray rang aik howay

kisi bahanay daikha na aisa sangam phir...

bohot azeez hain aankhain meri usay,laikin

who jatay jatay inhain kar gaya hai purnam phir..


MENE USKO TOOT K CHAAHA

MENE USKO TOOT K CHAAHA DIL KA SHEESHA TOOT GAYA

AANKH ABHE LAGNAY NA PAAI THI SAPNA MERA TOOT GAYA

PEHLAY PEHAL TO DIL KO USKI YAADON NAY BEHLAYEY RAKHA

OR PHIR DHEERAY DHEERAY YE YAADON KA SILSILA BHE TOOT GAYA

PEHLAY DIL PHIR USKI DOORI OR PHIR SAANSAIN TOOT GAIEN

IK NAATA KIYA TORA TU NAY, JANAY KIYA KIYA TOOT GAYA ..........


In guzarti shamon mein kesi beqarari

In guzarti shamon mein

kesi beqarari hai,

In guzarti shamoon mein

aik aik pal bhari hai,

Dil ub k lagta hai

hum sey rooth jaye ga,

Tum sey jo aik ta'aluq hai

woh bhi toot jaye ga,

hum udas kitne hain...........

Yun to aik arsay sey

tum sey door rehtey hain,

yun to aik arsay sey

yeh azab sehtey hain,

lakin ub judai ki

talkhiyan naye se hain,

teh-dar-teh,rooh main

khamoshiyan, naye se hain

hum udas kitne hain...........

tum talak pohanchne ka

na tha ikhtiyar pehle bhi,

is qadar hi mushkil tha

intezar pehle bhi.......

bin merey ghar sara

pur-malal rehta hai,

kuch to tum bhi likh bhejo,

kesa haal rehta hai,

tum to jante ho gay

hum udas kitne hain........ 


roz sochta houn k kia

roz sochta houn k kia karoun

roz wo hi baat bhool jata houn

tumhe bhoolnay ki kasak karta houn

To apna hi wajood bhool jata houn

Us sheher say na janay ab dil ghabrata hai mera

Jahan say meri galio ka rasta teri ower jata hai

Ajnabi sheher hai basera mera kuch din k lye

Tanha houn mai yahan kuch din kay lye

Apnai sheher ki yaadain hain abhi taza

Phir bhi lot janay ko dil nahi chahata

Jahan say guzer hay tera wahan

ab basnay ko dil nahii chahata


log har morh pe ruk

log har morh pe ruk ruk ke sambhalate kyuuN hain

itanaa Darate hain to phir ghar se nikalate kyuuN hain

mai.n na juganuu huuN diyaa huuN na ko_ii taaraa huuN

raushanii vaale mere naam se jalate kyuuN hain

niind se meraa ta'alluq hii nahiin barason se

Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuuN hain

mo.D hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye

aur sab log yahiin aake phisalate kyuu hain


lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher

lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher Gazal kaa lagataa hai

sharm se cheharaa laal gulaabii phuul kamal kaa lagataa hai

dil ko najar se Takaraaye bhii ek zamaanaa biit gayaa

choT magar hai itanii taazaa haadasaa kal kaa lagataa hai

beKhud ho kar mast havaaye.n aise kab laharaatii thii.n

ye jaaduu to halkaa halkaa us aa.Nchal kaa lagataa hai

ham samajhe the bhuul gaye hai.n vo chaahat kaa afasaanaa

aaj magar phir dard saa dil me.n halkaa halkaa lagataa hai...........


Humein bhi shaam hi sy

Humein bhi shaam hi sy ghair leti hay pareshaani

Parindon ki tarha hum bhi gharo ko lot aaty hein

Tawaqqa thi kay koi lott kar aay gaa jeety jee

Magar ye lotna orr mott aa jaana achaanak hay

Smander sy kabhi poocho tumhein ro kr bataay ga

Koii esa nahin thaa jo talaatum ko samajh paata

Tumhein apnay kisi sukh ka nasha hoga magar yaro

Humein bhi naaz hay apny dukhon ki dilrubaai kaa

Meri deewangi wo dekhh aai hay kay Farhat jee

Tamanna ki musaafat ab musaafat hi nahin lagti


ham unheN vo hameN bhulaa

ham unheN vo hameN bhulaa baiThe

do guneh-gaar zahar khaa baiThe

haal-e-Gham kah ke Gham baRhaa baiThe

teer maare the teer khaa baiThe

aandhioN jaao ab karo aaraam

ham Khud apnaa diyaa bujhaa baiThe

jee to halkaa hu’aa magar yaaroN

ro ke lutf-e-Gham gaNvaa baiThe

be-sahaaroN kaa hauslaa hii kyaa

ghar meN ghabraaye, dar pe aa baiThe

uTh ke ek be-vafaa ne de dii jaan

rah gaye saare baa-vafaa baiThe

jab se bicchRe vo, muskuraaye na ham

sabne chheRaa to lab hilaa baiThe

hashr kaa din abhii hai duur “Khumar”

aap kyuN zahidoN meN jaa baiThe


Tum takaluf ko b ahkhlas

Tum takaluf ko b ahkhlas samajtay ho Fraz,

Dost hota nahe her haat milanay wala.


Her kisi ko chahna mayri

Her kisi ko chahna mayri fitrat main nahe,

Ik tum say muhabbat mujay virsa main milli ha.


kal bhicharna hai to ahd_e_wafa

kal bhicharna hai to ahd_e_wafa soch ke bandh,

abhi aaghaz_e_muhabbat se gaya kuch bhi nahin,

men to is waste chup hoon ke tamasha na bane,

too samjhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahin


Chaand to nikla hai magar

Chaand to nikla hai magar yeh raat na hai pehli si,

Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na hai pehli si,

Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se,

Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si.


Jis ki ankhain muj ko

Jis ki ankhain muj ko andar say b parh sakti hoin,

Koi chayhra to mayray shahar main asa la dy.


kya khoob shairee hai khiltee es

kya khoob shairee hai

khiltee es se zindagee hai


sms jo aap ne hai baija

hai ye phoolon kee kali hai


jo bhii ghar se jaataa

jo bhii ghar se jaataa hai

ye kah kar hii jaataa hai

“dekho, mujh ko bhuul na jaanaa

maiN phir lauT ke aauuNgaa

dil ko acche lagne vaale

laakhoN tuhfe laauuNgaa

naye naye logN kii baateN

aa kar tumheN sunaauuNgaa”

lekin aaNkheN thak jaatii haiN

vo vaapis nahiiN aataa hai

log bahut haiN aur vo akelaa

un meN gum ho jaataa hai


udaasii ke chehre paRhaa mat

udaasii ke chehre paRhaa mat karo

Ghazal aaNsuuoN se likhaa mat karo

bahar-haal ye aag hii aag haiN

chiraaGoN ko aise chhuaa mat karo

du’aa aaNsuuoN meN khilaa phuul hai

kisii ke liye bad-du’aa mat karo

tumheN log kehne lageN be-vafaa

zamaane se itnii vafaa mat karo

agar vaaqaii tum pariishaaN ho

kisii aur se tazkiraa mat karo

Khuda ke liye chaaNdni raat meN

akele akele phiraa mat karo


din ek sitam, ek sitam

din ek sitam, ek sitam raat karo ho

wo doast ho dushman ko bhi tum maat karo ho

ham khaaq-nashiiN, tum suKhan-aaraa-e-sar-e-baam

paas aa ke milo, duur se kyaa baat karo ho

hamko jo milaa hai, wo tumhiiN se tau milaa hai

ham aur bhulaa deiN tumheiN, kyaa baat karo ho !

daaman pe ko’ii chhiiNt, na Khanjar pe ko’ii daag

tum qatl karo ho ke karamaat karo ho

bakne bhi do Ajiz ko, jo bole hai so bake hai

deewaana hai, deewaane se kyaa baat karo ho


farz karo ham ahl-e-wafaa hoN,

farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN

farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN

farz karo ye jii kii biptaa jii se joR (?) sunaayii ho

farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho

farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN

farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN

farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho

farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho

farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho

farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho


vo niiNd kii tarah narm

vo niiNd kii tarah narm sabzaa

KhvaaboN kii tarah ramiidaa shabnam

phuuloN kii tarah shaGhuftaa chehre

Khushbuu kii tarah latiif baateN

kirnoN kii tarah javaaN tabassum

shoale kii tarah dahaktii Khvaahish

taaroN kii tarah chamaktii aaGhosh

saaGhar kii tarah chalakte siine

sab qaafilaa-e-’adam ke raahii

vaadii-e-’adam meN chal rahe haiN

taariikiyoN ke khile haiN parcham

lamhoN ke chiraaGh jal rahe haiN

har laamhaa hasiin aur javaaN hai

har lamhaa faroGh-e-jism-o-jaaN hai

har lamhaa aziim-o-jaavidaaN hai


jism-o-jaaN par guzar gayiiN

jism-o-jaaN par guzar gayiiN sadiyaaN

mujh ko paamaal kar gayiiN sadiyaaN

vaqt kii tez aaNdhiyoN meN kahiiN

gard ban kar bikhar gayiiN sadiyaaN

raf’atoN se giraa thaa ek lamhaa

pastiyoN meN utar gayiiN sadiyaaN

thii ajab inquilaab-e-vaqt kii maar

ek do pal meN mar gayiiN sadiyaaN

ham khaRe dekhte rahe “Makhmoor”

sa’atoN meN guzar gayii sadiyaaN


ishq bekaar, muhabbat barbaad shoalaa-e-dil kii

ishq bekaar, muhabbat barbaad

shoalaa-e-dil kii haraarat barbaad

maiN use bhuul na paayaa ab tak

saal-haa saal kii mehnat barbaad

ko’ii suntaa hii nahiiN qissaa-e-dard

harf barbaad, hikaayat barbaad

vo hai naaraaz abhii tak mujh se

minnateN zaa’yaa, samaajat barbaad

us pe khultaa hii nahiiN haal meraa

saarii tashriih-o-vazaahat barbaad

kaun barbaad karegaa mujh ko

maiN huuN Khud apnii ba-daulat barbaad

ab bhii haiN uskii galii ke phere

baarish, sang-e-malaamat barbaad

ab bhii aabaad haiN yaadeN uskii

ehtimaam-e-Gham-o-furqat barbaad

be-talab us ne talab kii puurii

ho gayii saarii ibaadat barbaad

maut ko bhii tuu parakh kar dekh

ziist barbaad, nihaayat barbaad

haasil-e-jazb-e-vafaadaarii “SaaMer”

zaa’yaa, bekaar, akaarat, barbaad


kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se

vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se

kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se

vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se

nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii

vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se

bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa

vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se

tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa

ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-qade se

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,


Yehi Wafaa ka silaah hai,

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se

Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko

Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha

Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana

Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi


muhabatoon main adawatein kaisi chahna

muhabatoon main adawatein kaisi

chahna kisi ko to phir shikayetein kaisi

jab tumhara uss per eitbar hay itna

to zara zara si baat per wazahetein kaisi


Ab kis se kahein aur

Ab kis se kahein aur Kon sunay Jo HaalTtumharay baad huwa

Is Dil ki Jheel si Aankhon mei Ek Khawab boht Barbaad huwa

Yeh Hijr Hawa b Dushman hai Us Naam ke saaray rango ki

Woh Naam jo Mere Honton per Khushboo ki tarah Aabaad huwa

Is Shehr mei Kitnay Chehre they Kuch Yaad nahin Sub Bhool gaye

Ek Shakhs Kitabon jesa tha Woh Shakhs Zubaani Yaad huwa

Woh Apne Gaaun ki Galiyaan thi, Dil Jin mei Nachta Gaata tha

Ab is se Farq nahin parhta Naashad huwa ya Shaad huwa

Be-Naam Sataayish rehti thi, In Gehri Sanwali Aankhon mei

Aisa to kabhi socha bhi na tha, Dil Ab jitna Be-Daad hua


Tum kia ho Duniya ki

Tum kia ho Duniya ki nazar main

aik aam insan

ya ziada say ziada achay ya buray per

meri nazar main tum seep may moti hou

tum lehro ki shararat ho

tum thandi dhoup ki hararat hou

tum barisho ki sada hou

tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou

tum dharkano ki awaz hou

tum sada ho mairay piyar ki

tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki

tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say

kiun kay tum khas ho

sansou ki saaz hou... 


Ab kiya likhein hum kagaz

Ab kiya likhein hum kagaz per

Ab likhne ko kiya baki hai

Ik dil tha su wo tuth giya

Ab lutne ko kiya baki hai

Ik shaks ko hum ne caha tha

Ik reet pe naqsh banaya tha

In reet ke zarun ko hum ne

Phir apne dil main sajaya tha

Wo reet tu kab ki bikhar gay

Wo naqsh kahan ab baki hai

Ab kiya likhein hum kagaz per

Ab likne ko kiya baki hai

Hum jin ko apni nazmoon ka

Unwan banaya karte the

Lafzun ka bana kar taj mehal

Kagaz par sajaya karte the

Wo hum ko akela choor gay

Sab rishtoon se mun murr gay

Ab rishte sare sune hain

Wo piyar kahan ab baki hai

Ab kiya likhein hum kagaz per

Ab likne ko kiya baki hai

,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,


Ker lea hai faisla kehna

Ker lea hai faisla kehna ossay

abb na hoga rabta kehna ossay

jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH

kho gaya woh Rasta kehna ossay

teri YADEEN DIL se ruksat ho gain

ho chuka yeh saneha kehna ossay

abb na dekhay ga tumhara rasta

dil ko may samjha chuka kehna ossay

cheen se sone na dega Ghum tujhi

raat bher abb jagna kehna ossay

aashna bun ker na milna rah may

Dosti ek khuwab tha kehna ossay

moer k pechay dekhtay hum bhi nahi

soch ker munh phairna kehna ossay


Aey Kaash… woh phool si muskurahat

Aey Kaash…

woh phool si muskurahat merey liye hoti

woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata

woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan

woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main

aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta

jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi

mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti


Main bhool jaon tumhain ab

Main bhool jaon tumhain ab yahi munasib hai

magar bhulana bhi chahoon to kis tarah bhoolon

Keh , tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin

yahan to dil ka ye aalam hai kya kahoon, kambhakht


Bhula saka na ye, wo silsila jo tha hi nahin

wo ik khyal jo awaaz tak gaya hi nahin

wo aik baat jo main keh nahin saki tum se

wo aik rabta jo hum main kabhi raha hi nahin


mujhay hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahi


agar hai dil ka yeh aalam to koi samjhaye

tumhain bhulana bhi chahoon to kis tarah bhoolon


Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaaab nahi


Kaho ab kya kahoon tum

Kaho ab kya kahoon tum se

Batao kya likhoon tum ko

Mujhey tamheed dou koi

Mujhey umeed dou koi

Naya ek lafz hou koi

Jahan se baat chal niklay

Meri mushkil ka hal niklay

Batao lehja kaisa hou

Ke tum se baat karni hai

Mujhey thora ujaala dou

Basar ek raat karni hai

Apni roshan aankhoon ko agar kholo tu main likhoon

Kaho ab kya iraada hai

Ke betaabi ziyaada hai

Mujhey ek baat karni hai

Mujhey izhaar karna hai

Meri kahani mera qissa hou tum

Meri sansoon ka hissa hou tum 


GHUM KI RAFTAAR BARHA DI

GHUM KI RAFTAAR BARHA DI TU NAY

Jurm kaya tha jo saza di tu nay


Aaj tanhaiyon ka saathi hoon

Meri haalat kaya bana di tu nay


Kitna khamosh pur sakoon sa tha

Kis qadar aag laga di tu nay


Ab teri simt kahan say aaon

Kaisi deewar utha di tu nay


Hum nay apno say chupaye thi wohi

Baat dunya ko bata di tu nay…… 


Itna toota hoon ki choonay

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,

Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !


Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,

Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !


Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,

Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !


Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,

Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !


Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,

Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga !


Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,

Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga


Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Mein aksar tumhein Yad Ata Rahonga,

Kabhi Khuwab Bankar ,Kabhi Yad Bankar,

Mein Nendiein Tumhari Churata Rahonga,

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Kabhi Jee Raha hoon , Kabhi Mar Raha hoon,

Mujhe Na Pata Mein kya Kar Raha hoon,

Kabhi Bhujh Raha hoon, Kabhi Jal Raha hoon,

Kadam Rokte Hein Magar Chall raha hoon,

Mein yoon hi chalonga milo na milo tum

Mein Awaz dekar Bullata Rahonga,

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Sataigi Gi jab jab Tumhein Bekrari,

Tumhien yad aigi Muhabat Hamari,

Sunoge kahen jo Muhabat ki batien,

Tumhien Yad aigien wo Din wo Ratein,

Guzari jo Tum ne Banhoone mein Meri,

Mein Sub Yad tum ko Dillata Rahonga

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Mein aksar tumhein Yad Ata rahonga,

Kabhi Khuwab Bankar ,Kabhi yad Bankar,

Mein Nendiein Tumhari Churata Rahonga,

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum,

Mein aksar tumhein Yad Ata rahonga,


chupkay chupkay jal jatey hain loog

chupkay chupkay jal jatey hain

loog mohabat karne waley !


purwa sang nikal jatey hain

loog mohabat karne waley !


ankhon ankhon chal partey hain taaroon ki qandeel liye

chaand k sath he dhal jatey hain

loog mohabat karne waley !


dil main phool khila detey hain

loog mohabat karne waley !


aag main raag jaga detey hain

loog mohabat karne waley !


khowab khushi k boo jatey hain

loog mohabat karne waley !


zakhm dilon k dhoo jatey hain

loog mohabat karne waley !


titli titli lehratey hain pholoun ki umeed liye

ik din khushbu ho jatey hain

loog mohabat karne waley !


jhoonka hain bechain hawa ka

loog mohabat karne waley ! 


sab ronaqon ko bhool kar

sab ronaqon ko bhool kar socha main karta hon tumhain

ab raat din shaam o sehar socha main karta hon tumhain


mere dil sad-e-chaak main jab khowahishain dam tour dain

kuch deeep rakh k baam pe socha main karta hon tumhain


na doston ki yaad hai na dushmanon ka khoof kuch

khud se ho k bekhabar socha main karta hon tumhain


zinda rehna sikhaya hai in sochon ne

k mout se bhi bekhatar socha main karta hon tumhain ...


Apni tanhai mere naam pe

Apni tanhai mere naam pe abaad karay...

Kaun hoga jo mujhe is tarha yaad karay?

Dil ajab sheher, keh jis per bhi khulla dar iska...

Woh musaafir issay her simt se barbaad karay!

Apne qatil ki zehaanat se pareshaa.N hoo.N mai

Roz eik maut naye tarz ki ijaad karay!

Uski Muthi mai bohat roz raha mera wujood,

Mere saahir se kaho ab mujhay azaad karay!


Ab Agar Aao To Jaane

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana


Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain

Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain

Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana


Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai

Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai

Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana


Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi

Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

....................................................


Baat Din Ki Nahi, Ab

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...

Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai...


Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye...

Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai...


Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo...

Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai...


Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein...

Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai...


oos ki ankhoon mein moohabbat

oos ki ankhoon mein moohabbat ka sitara ho ga,

aik din aye ga woh shakhs hamara ho ga,

tum jahan merey leye sipeyan chunti ho gi,

woh kissi aur he duniya ka kinara ho ga,

zindagi ab k mera naam na shamil karna ,

gar yeh teh hai k yehe khel dobara ho ga,

jes k honey sey merey sans chala kerti thi,

kis tarha os k baghar apana guzara ho ga,

yeh jo achanak ojala sa ho jata hai,

dil ney chupkey sey tera naam pukara ho ga,

ishq karna hai to din raat osey suchana hai,

aur kuch zehan mein aya to kahsara ho ga,

koon rota hai yahan raat k sanatoon mein,

merey jeysa he koi hejar k mara ho ga,

mujh ko maloom hai joonhe mein kadam rekhoon ga,

zindagi tera koi aur kinara ho ga,

kaam mushkil hai mager jeet he loon ga oos ko,

merey moola ka wasi joonhe estara ho ga...!!!!


terey jessa mera bhi haaal

terey jessa mera bhi haaal tha ,

na sakoon tha na karar tha,

yehe omar thi marey hum nasheen ,

k kisi sey mujh ko bhi piyaar tha.

mein samajh raha hoon terey kasak,

tera mera dard hai mush tarak,

essi gham ka tu bhi aseer hai,

essi doakh ka mein bhi sikaar tha.

woh saroor essa saroor tha,

woh khomar essa khomar tha

kabhi lamha bhar ki bhi guftagu,

mere os k saath na ho saki,

mujhey forsatein na mil sakein ,

woh hawa k roat per sawar tha,

hum ajeeb tarz k loag thy,

k hamarey aur bhi roag thy,

mein khezaoon mein oss ka tha montarzar,

ossey intazarey bahar tha,

essey phar kar tum na samajh sakey,

k mere kitab k roop mein kohe karz tha kisi saal ka,

kahe rutjaghoon ka odar tha..........................

-¦- `v´ -¦-


*¤*.¸¸.·´¨`»*«´¨`·.¸¸.*¤*


*¤*.¸¸.·´¨`»*«´¨`·.¸¸.*¤*


Zindagi Main Hai Dhoka Is

Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi

Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi

Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai

Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi

Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar

Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi

Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar

In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi

Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna

Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi

Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya

Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi


Tujhe Ishq Ho tujhay ishq

Tujhe Ishq Ho tujhay ishq ho Khuda karay

koi tujh ko us sa juda karay teray hont hansna bhol jaain

tere ankhain purnam raha karain

tu us ki batain suna karay

tu us ki batain kia karay tu us ko dekh k ruka karay

woh tujh ko dakh k ruka karay

tujhay hijar ki woh jhari lagay

tu milan ki har pal dua karay tujhay ishq ho phir yakin ho

usay tasbeeho pay parha karay main kahoo ishq sab dhong hai

tu nahi nahi kia karay yah dua hai atish ishq main

tu bhi mare tarah jala karay

na naseeb ho hansna tujhay

tera dil main dard raha karay teray samnay tera ghar jalay

tera bas chalay na bhuja sakay tere lab sa niklay yahi dua

k na dil kisi ka jala karay


Kabhi kabhi dil yeh chahta

Kabhi kabhi dil yeh chahta hai

tumhari shamon ka haal poochon

sawaal poochon

ke fiker e farda main kaisi guzri

younhi kabhi mera naam aaya tumhare honton pe ek pal ko

mrri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bi raston main

kabhi kisi din tumhari subha ke dar pe jagi sadaye dastak

kabhi ibbadat ki kayfiat main tumhein mera bi gumaan guzra

tumhare sehan e dua se mera bi dheyaan guzra

kabhi tumhare badan pe bi shab e azaab ban ker thehr gayi thi

kabhi kabhi dil yeh chahta hai'sawal pochon

mager main chup hoon

hamarey dermiyaan yeh ju deewar e ajnabeeyat hai yeh gannimet

iisi main tukeere hurf o lub hai

yehin pe tarq o talb ki hadd hai 


Muhabbat ki aziyyat ko kabhi

Muhabbat ki aziyyat ko kabhi pehchaan paaw to,

mujhe bhi khabr ker dena,

ke tum se door reh ker bhi,

tumhaary naam ki khushboo,

meri her saans se ik aas ka rishta bandhaati hai!!!

Muhabbat toot bhi jaaye,

muhabbat rooth bhi jaaye,

muhabbat mit nahi sakti...

Dilo'n ke teher jaaney se,

judaai ke zamaaney se,

muhabbat chup to sakti hai,

muhabbat mar nahi saktii!!!


mujhay har kaam say pehlay sahar

mujhay har kaam say pehlay

sahar say shaam say pehlay

ye he ek kaam karna hai

tumhara naam layna hai

tum he ko yaad karna hai

kay jab bhi dard peena hai

kay jab bhi zakhm seena hai

mujhay jab jaam layna hai

tumhara naam layna hai

tumhee ko yaad karna hai

tumhareyaad hai dil mein

kay ik sayyad hai dil mein

koi barbaad hai dil mein

issay aabaad karna hai

tumhara naam layna hai

tumhee ko yaad karna hai ..


....................&quo t;Yeh Dil Mahobbat Karta Q

....................."Yeh Dil Mahobbat Karta Q Hai

"Yeh Dil Mahobbat Karta Q Hai

Jo Karta Hai Tu Phir Tarapta Q Hai


Jo Beth Gaya Hai Dil Main Pyar Ka Dard Ban Key

Woh Ankhoon Key Rastey Nikalta Q Hai


Main Terey Sath Hun Har Rah Main Mujhsey Kehte The Woh

Tu Phir Aaj Yeh Rasta Mujhey Sunsan Lagta Q Hai

Main Dharkan Hon Us Key Dil Ki Woh Kehte The Mujhsey

Phir Aaj Us Ka Dil Merey Bina Dharakta Q Hai


Woh Mere Nahi Hai Yeh Janta Hon Main Phir Bhi

Kisi Or Key Sath Dekh Key Us Ko Dil Machalta Q Hai


Yeh Dil Bhi Ajeeb Hota Hai Dostoon

Kabhi Kehta Hai Ja Tham Ley Us Key Hathoon Ko

Phir Reh Reh Key Sambalta Q Hai


woh kaysa shaks hy hr

woh kaysa shaks hy hr roz saza dyta hy..

...phir hasata hy wo itna k bhulaa dyta hy,


kabhi jo ro dy to mujh ko bhi bhol jata hy.

..or phir bhol k mujh ko bhi rula dyta hy


,os pochon k bata kon dost hy tera..

.naam sargoshi main mera hi suna dyta hy,


khud hi kehta hy na dohrao purani yadain..

..main na dihraon to phir khud hi suna dyta hy


kisi kitab mein tha na

kisi kitab mein tha na dastan mein tha

ajeeb soz merey zakhmoon ki zuban mein tha

zameen ne mujhay gaud le lia warna

sitara saaz ne rakha tu asman mein tha

mein sabz bakht k soya hua tha manzil per

utha tu dasht e musafit k darmyan mein tha

mein pukarta kis ko sadayien kia deta

mein chhat per pohncha tu darya merey makan mein tha ...