jab dosti ki dastaan waqt

jab dosti ki dastaan waqt sunayega,

hum ko bhi koi shaks yaad ayega ,

tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko ,

jab AAp ke saath guzra waqt yaad ayega


Kabhi badli hui takdir nazar

Kabhi badli hui takdir nazar ati hai,

yado ki bas ek zanjir nazar ati hai ,

pade bhi to kya pade

yaar- mujhe mobile me bhi teri tasveer nazar ati hai, 


Baadal kitne khushnaseeb hai, Door

Baadal kitne khushnaseeb hai,

Door rahkar bhi zameen par baraste hai,

Hum kitne badnaseeb hai,

Paas rahkar bhi milne ko taraste hai.


Dosti ka pehala pegam aapke

Dosti ka pehala pegam aapke naam,

Zindagi ki akhari sham aapke naam.

Iss safar main humsafar hain hum dono,

Is dosti ko nibhana hain aapka kaam


is kadar hamari chahat ka

is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.

Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,

Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,

Yu yaad na karke saza na dijiye.


Khuda se thoda raham khareed

Khuda se thoda raham khareed lete,

Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.

Agar kahi bikti khushiya meri,

To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.


Jam pe jam pine se

Jam pe jam pine se kya fayda,

Sham ko pi subah utar jayegi.

Arey do boond dosti ke pi le,

Zindagi saari nashe mein guzar jayegi


Fiza mein mehekti ek shaam

Fiza mein mehekti ek shaam ho tum,

Pyar mein chalakta jam ho tum.

Seene main chupaye phirte hai hum yaad tumahari,

Meri zindagi ka dusra naam ho tum.


Vaade pe o aitbaar nahi

Vaade pe o aitbaar nahi karte,

Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.

Darta hai dil unki ruswai se,

Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte. 


Har kadam par imtihaan leti

Har kadam par imtihaan leti hai zindagi,

Har waqt naya sadma deti hai zindagi.

Hum jindagi se kya shikwa kare,

Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi. 


Kaash who nagme hame sunaye

Kaash who nagme hame sunaye na hote,

Aaj unko sun kar aansu aye na hote.

Agar isi tarah bhool hi jaana tha,

To itni gehrai se dil me samaye na hote. 


Har khushi kam hai, Tera

Har khushi kam hai,

Tera gum bhulane ke liye,

Ek tera gum hi kaafi hai,

Mujhe umr bhar rulane ke liye


Dil Ki Basti Bikhar Gayi

Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti

Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote

Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna

Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote


Unke Bewafai Par Wafa Hum

Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge

Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge

Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin

Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge


Mere Jineke Liye Tera Armaan

Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .

Dil Ke Kalam Se Likhi Ye ! Dastaan Hi Kafi Hai.

Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,

Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai


Ittefaq se hum mile, Ittefaq

Ittefaq se hum mile,

Ittefaq se aap hume pasand aaye,

Ittefaq se hum dost bane,

Humari dosti ab ittefaq nahi,

Zindagi ki khoobsurat hakikat hai. 


Yun durr reh! kar duriyon

Yun durr reh! kar duriyon ko badaya nahi karte,

Apne deewano ko sataya nahi karte,

Har waqt bas jise tumhara khyal ho,

Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.


Jamane se nahi to tanhai

Jamane se nahi to tanhai se darta hu,

Pyar se nahi to ruswai se darta hu,

Milne ki umang bahot hoti hai dil me,

Lekin milne ke baad teri judai se darta hu. 


Hum to dil deneko taiyar

Hum to dil deneko taiyar baithe hai,

Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,

Par hai re meri futi kismat,

Koi dil leneko hi taiyar nahi.


Bekabu hai dil fir bhi

Bekabu hai dil fir bhi jiya ja raha hu,

Khali hao botal fir bhi piya ja raha hu,

Majburi to dekho is dil ki.

Reply nahi mil raha fir bhi msg kiya ja raha hu.


Wo ruthe is kadar ki

Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,

Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,

Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,

Likh diya naam to fir mitaya na gaya.


Tumse doori ka ehsaas jab

Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,

Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,

Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,

Ae dost tu dil ke aur paas ! aane laga.. 


Ham tere dil mein rahenge

Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,

Tere lab pa khilenge muskaan bankar,

Kabhi hamein apne se juda na samajhna,

Hum tere saath challenge aasmaan bankar. 


Haqiqat samjho ya afsana, Begana

Haqiqat samjho ya afsana,

Begana kaho ya deewana,

Suno is dil ka fasana,

Teri d! osti hai mere jeene ka bahana..


Kuch nasha to aapki baat

Kuch nasha to aapki baat ka hai

Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai

Hame aap yuhi sharabi na kahiye,

Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai. 


Chand adhura hai sitaro ke

Chand adhura hai sitaro ke bina,

gulshan adhura hai bahaaro ke bina,

samundar adhura hau kinaro ke bina,

jeena adhura hai tum jaise yaaro ke bina!!! 


Kalam uthayi hai lafs nahi

Kalam uthayi hai lafs nahi milta,

jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta,

firte hain vo jamaane ki talaash mein,

bas humare liye unhe waqt nahi milta!!! 


Dil mein umeedo ki shamma

Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi hai,

humne apni alag duniya basa rakhi hai,

is umeed ke saath ki a! ayega SMS aapka,

humne mobile par nazrein jama rakhi hain... 


Main uski yaad mein ban

Main uski yaad mein ban gaya baraf ka gola

aur vo boli ki Thanda matlab Coca Cola


Chaand ko garoor hai ki

Chaand ko garoor hai ki uske pass noor hai to kya hua

Mujhe bhi garoor hai ki mera dost Langoor hai 


Har karz dosti ka ada

Har karz dosti ka ada kaun karega,

jab hum hi na rahenge to dosti kaun karega,

Aey khuda mere doston ko salamat rakhna,

varna mere jeene ki dua kaun karega.


Raat hogi to chand duhai

Raat hogi to chand duhai dega,

Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,

Ye mohabbat hai zara sochke karna,

Ek aansoo bhi gira to sunai dega.


Ansoon ko ankhon ki dehleez

Ansoon ko ankhon ki dehleez par laya na karo,

Apne dil ki halat kisi ko bataya na karo,

Log muthi bhar namak liye ghumtey hain,

Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo.


Do pal ki bhi khushi

Do pal ki bhi khushi na mili to kya hua,

umr bhar gam ke sahare ji lenge,

Kya hua jo hamari girlfriend nahi,

hum aapki girlfriend ke sahare ji lenge.


Bahut dur magar bahut paas

Bahut dur magar bahut paas rehte ho,

Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,

Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho??


Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton

Chand lamhon ki zindagani hai,

nafraton se jiya nahi karte,

lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi,

dost to aab yaad kiya nahi karte.


Sawaal paani ka nahi, Pyaas

Sawaal paani ka nahi, Pyaas ka hai,

Sawaal maut ka nahi, Saans ka hai,

Dost to duniya mein bahut hain magar,

Sawaal dosti ka nahi aitmaad ka hai.


Khuda se maine ek dua

Khuda se maine ek dua mangi,

dua me apni maut mangi,

Phir khuda ne kaha maut to tujhe me de du

par usko kya kahu jisne teri lambi umar mangi.


Heer kahe Raanjhe se, O Sun

Heer kahe Raanjhe se,

O Sun Mere raanjhnaa!

Heer kahe Raanjhe se,

O Sun Mere Raanjhnaa!

Jhuthe bartanon Ko Tum,

Ragad- Ragad Kar Maanjhnaa!


Ek ajnabi se mujhe itna

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,

Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,

Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,

Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai. 


koi sham aati hai teri

koi sham aati hai teri yaad le kar

koi sham jati hai teri yaad de kar

mujhe us sham ka intezar hai

jo aaye tujh ko apne sath le kar


har sham ke baad "RAAT"

har sham ke baad "RAAT" aati hai

har baat ke baad aapki "YAAD" aati hai

"CHUP" rah ke bhi dekh lia maine

"KHAMOSHION" se b aapki awaz aati hai 


Dil ki hasrat zuban par

Dil ki hasrat zuban par aane lagi, tum ko dekha aur zindagi muskarane lagi, ye meri dosti ki intaha thi ya meri chahat, ab har surat main surat teri nazar aane lagi, I MISS U


sabhi log to kabhi bhi

sabhi log to kabhi bhi achey nahi rehtey,

jinn sey such seekha ho woh bhi suchey nahi rehtey,

kyun aisa hai k eiatbaar ki tooti dehleez par,

jo buhat hi apney hoon apney nahin rehtey


E Khuda Aaj Ye Faisla

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,

Use Mera ya Mujhe Uska Karde.

Bahut Dukh Sahe He Maine,

Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.

Bahot Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,

Judai Ke Safar Ko Kum Karde.

Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,

Use Utna Kareeb Karde.

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,

To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde