If you have a girlfriend, boyfriend, wife, husband...a secret lover. Then these cute love messages  and love quotes are for you. Romantic text messages galore find the perfect message to send to your lovers Mobile Phone.

Suraj ki kirne, taaron ki

Suraj ki kirne, taaron ki bahaar.

Chand ki chandni, apno ka pyaar.

Har ghadi ho khushaal.

ussi tarhan Mubarak ho aapko Eid ka yeh tyohaar!

"EID MUBARAK"


Aapki har ada mein hai

Aapki har ada mein hai sharaarat sanam.. baaton mein hai bepanaah Mohabbat sanam... Na karo fikr lambi

judaai ki mere sanam... Juda hokar bhul jaaye...Aisi nahi humaari Mohabbat Sanam *Gham-e-Yaad


Bewfa Tum kabhi na the

Bewfa Tum kabhi na the lekin

ye bhi Sach hai k Bewafaa se rahe

In chiragon mai Tel hi kam tha

kyon gilaa phir Hamein Hawa se rahe


Mehfil tu ajnabi thi,tum bhi

Mehfil tu ajnabi thi,tum bhi howay para-ay.

Manzil pay aa gaya hoon,Manzil nazar na aa-ay.

Mian hushi ko dhoondta tha,Mujhay dard mil gaya hai.

Mera jurm hai Mohabbat,teri berukhi saza hai.

Mumkin nahin Dil ko teri yaad bhool jaa-ay.

Mehfil to ajnabi thi,tum bhi howay para ay


Mujhay ghair tum nay samjha,yeh

Mujhay ghair tum nay samjha,yeh sitam bhi kam nahin hai.

main shareekay zindagi hoon,tu sharikay gham nahin hai.

Abh aisi zindagi say behtar hai mooot aa-ay

Mehfil to ajnabi thi ,tum bhi howay para-ay. 


Apnay ehsaas say chhoo kar

Apnay ehsaas say chhoo kar mujhay sandal kar doo.

Main kay sadyoon se adhoora hoon,Mukaamil kar do.

Na tumhain hoosh rahay aur na mujhay hoosh rahay.

Iss qadar toot kay chahoo,Mujhay pagal kar doo.

Tum hatheli ko meray piyar ki mehndi say rangoo.

Apni ankhoon main meray naam ka kajil kar doo.

Dhoop hi dhoop hoon main,Toot kay barsoo mujh per

Isqadar barsoo meri rooh main jul thal kar doo.

Tum chupaa loo mera Dil ooot main apni dil ki .

Aur mujhay meri nigahoon say bhi aujhal kar doo.

MASLAA HOON TU NIGAHAIN NA CHURAOO MUJH SAY.

APNI CHAHAT SAY ,TAWAJOO SAY MUJHAY HAL KAR DOO.

MUJH PAY CHHA JAOO KISI AAG KI SOORAT JANAAN .

AUR MERI ZAAT KO SOOKHA HOWA JUNGLE KAR DOO. 


Mujh ko piyare hain meri

Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari Ankhain .

Meri Ankhon ki thandak hain,Teri yeh Qatil Ankhain.

Ho gaya hoon behoosh iss hoosh ki Dunya main

Jabh say daikhe hain main nay ,Teri yeh Qatil Ankhain.

Mian iss Hisaar say nikloon too kuchh aur soochun.

Meray diloo dimaagh pay havi hain ,Teri yeh Qatil Ankhain.

Mujh ko lay-jaatin hain ik ajeeb se dunya main .

Jabh bhi daikhta hoon ,Teri yeh Qatil Ankhain.

Shayed kay aa-jaay qarar meray pagal dil koo.

wagarna mujhay jeenay nahin dain ge,Teri yeh Qatil Ankhain.

Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari Ankhain.

shayed kay mil jain mujhay ,Teri yeh Qatil Ankhain. 


NA SHABOO ROOZ HI BADLAY HAIN NA HAAL ACHHA HAI.

KISS BAREHMAN NAY KAHA THA KAY YEH SAAL ACHA HAI.

LAZATAIN QURBOO-O-JUDAEE KI HAIN APNI APNI.

MUSTAQIL HIJAR HI ACHA NA WISAAL ACHA HAI.

DOOSTI APNI JAGA,PER YEH HAQEEQAT HAI FARAZ.

TERI GHAZLOON SAY KAHIN ,TERA GHAZAAL ACHHA HAI.


CHALI HAI SHEHAR MAIN KAISI

CHALI HAI SHEHAR MAIN KAISI HAWAA UDAASI KI.

SABHI NAY OOORH RAKHI HAI,RADA UDASSI KI.

LIBAASAY GHUM MAIN GHAM MAIN TU WOH AUR BAN GAYA QATIL.

SAJI HAI KAISI ,KISI PER QABA UDAASI KI.

KHIYAALAY YAAR KA BADAL AGAR KHILAA BHI KABHI.

TOO DHOOP PHAIL GAYEE JA-BA-JA UDAASI KI.

FARAZ NAY TUJHAY DAIKHA TOO KIS QADAR HUSH THA.

PHIR USS KAY BAAD CHALI WOH HAWA UDAASI KI.


Udaasioon ka sabab jo likhna,

Udaasioon ka sabab jo likhna,

to ye bhi likhna

kay chand taaray,

shahaab ankhien badal gaye hain

wo zinda lamhay jo teri raahon mein

tere anay kay muntazir thay

wo thak kay raahon mien dhel gaye hain

wo teri yaadien, khayal tere,

wo ranj tere, milaal tere

wo teri ankhein, sawal tere

wo tum say mere tamaam

rishtay bichar gaye hain,

ujadh gaye hian

udaasioon ka sabab jo likna

to ye bhi likhna

leraztay hoonton pe larhkharhti,

dua kay soraj

peghal gaye hain

tamaam sapnay he jal gaye hain

baad marnay ke tum meri kahani likna

kese hoi bardaad meri jawani likhna

ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese

bahta raha meri ankhoon say pani likna


Aapki Yaad Main Sab Kuch

Aapki Yaad Main Sab Kuch Bhula Baithe Hai,

Charag Khusiyon Ke Bujaye Baithe Hai,

Hum To Marenge Aapki Bahome,

Ye Maut Se Bhi Shart Laga Baithe Hai


Khawb dekhe bhi nahi aur

Khawb dekhe bhi nahi aur tut gaye,

Wo hamse mile bhi nahi aur ruth gaye,

Hum gate rahe aur duniya soti rahi,

Ek barish hi thi jo sath roti rahi"


ess katilo ke karva main

ess katilo ke karva main ek fakir bhi hai,

dosto aur dusmano ki bheed main hamara zameer bhi hai,

kab tak rahuinga zinda ye to bas rab he jaane,

aapki duaion aur bas hamari apni takdeer he hai 


Mehfil main kuch to sunana

Mehfil main kuch to sunana padta hai,

Gham chupakar muskurana padta hai,

kabhi unke hum bhi the dost,

Aaj kal unhe yaad dilana padta hai...


Zindagi mein sada muskuratey raho fasley

Zindagi mein sada muskuratey raho

fasley kam karo dil milatey raho

dard kaisa bhi ho gham na karo

raat kali sahi aankh nam na karo

Sitarey bano jagmagatey raho.


Bolti hai Dosti chuprehta hai

Bolti hai Dosti chuprehta hai pyar

Hasti hai dosti Rulata hai Pyar

Milti hai dosti bicharta hai pyar

Phir najane log kyon karte hain pyar 


aansuon ko palkon pe laaya

aansuon ko palkon pe laaya na kijiye..

dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye...

log mutthi mein namak liye firte hain..

apne har jakhm dikhaya na kijiye!


Pyaar kamjor dil se kiya

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,

Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,

Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega Door hone ke baad kaun kise yaad aayega

Jee lo ye pal jab humsath hai kal ka kya pata, waqt kahan le jayega


Ek pal mein jo aakar

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye yeh hawa ka woh jhoka hai ..

Aur kuch nahi Pyar kahti hai duniya jise .. ek rangeen dhokha hai

Aur kuch nahi


Aarzoo jhooth hai, Aarzoo ka

Aarzoo jhooth hai, Aarzoo ka fareb khana nahi ..

Khush jo rahna ho zindagi me tumhe.. Dil kabhi kisi se lagana nahi!


Har kisi say zyada, bus

Har kisi say zyada, bus khuda se kum

Humein itni mohabbat hai tumse sanam

Ab chaahay parain ishq main jitnay sitam

tumhain paana hai chaahey jitnay ho gham

Labon nay na bola per is jahan ki kasam

Agar hota jayaz, pujtey tum ko hum....


Tujhko khoker kyu ye lagta

Tujhko khoker kyu ye lagta hai ki kuch khoya nahi

Kwaabmein aaoge tum ... es waste soyee nahi..!!

Aap beeti per jahaa hasna tha, jee ber ker hassii

Haan, Jahaa rona jaruri tha, wahaa royee nahi..!!

Mausamon ne pichli fasloon ki nighhabhani na ki

Esliye abke zameene-dil mein kuch boyee nahi..!!

Waqt ke Haathon ne jitne dhaag they sab dho diye

Dhaag jo tujhse mila hai, ek usse dhoyee nahi..!!

Kaisii Mehfil hai, Yahaa Mai kis tarah se aa gayee..

Sab Ke sab Khamosh Baite Hai Koyee goyee nahi..!!


Meri duaa hai ke khush

Meri duaa hai ke khush rahoo tum

Miley na koi ghum jahan bhi raho tum...

Samundar ke terha dil hai gheera tumhara...

Khushyoun say bhara rahey daman tumhara..

Tum joo kahooo woh har khwaish puri ho tumhari

Khuda say bhi bus yahi duaa hai humari....

Toofa kia doon tumhey duaaoon ke siwa

Ke Khuda humeshah rahey razi tum say sada .

Samundar ke terha dil hai gheera tera

Khushyoun say bhara rehey daman tera!


Aaj us ki yaad nay

Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat

Aaj na chahattay howay bhi woh yaad aaya bohat,

Us kay baad to jaisay vehshatoon say dosti ho gaye

Phir kyon aaj tanhaiyoon nay darraya bohat,

Woh mera tha, mera hai, mera rahay ga

Hum nay is khayal say khud ko behlaya bohat,

Shamma kay jalnay per hum afsoos kerain kyoon

Hum nay bhi manind shamma khud ko jallaya bohat,

Hum nay jis kissi ko bhi humdard samjha

Woh humaray dukh pay na janay kyon muskuraya bohat!


Aa apni zindagi ki har

Aa apni zindagi ki har sham teray naam kar doun

Teri hi ankhon ka jam teray naam kar doun

Main doob jaoun teri in jheel is gehri ankhon mein

Phir apni barbadi ka ilzam teray naam kar doun

Mein apni Rouh ko teray Wajood mai bhar doun

Phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun

TU mujhay mohabbat ka aghaz day sanam

Mein apnay pyaar ka anjam tere naam kar doun

Mohabbaton key qaseeday likhoun teri sana mein

Hazaron pyaar Kay paighaam tere naam kar doun

Hou jis ka zikar mohabbat ki har kahani mein

Eik aisa pyaar ka paigham tere naam kar doun


Waise akele hi aaye hain

Waise akele hi aaye hain aur akele hi jana hai

Kaisa bhi ho bandhan ek din to toot jana hai

Koi kitna bhi rahe pass ya kitna bhi rahe door

Sukh dukh ka jalwa apne hi mann ka afasana hai!


Agar bhoole se bhi kabhi

Agar bhoole se bhi kabhi hamari yaad aati ho

Aur tan badan mein ek siharan si daur jati ho

Mere yaar mere dil ke malik, pass chale aana

Agar sooni sooni raten tumhe bahut satati ho!


Tum nahi aaoge phir bhi

Tum nahi aaoge phir bhi rahta hai intzaar

Kabhi kabhi baith jati hoon kar ke shringaar

Tumhara bhi khana laga deti hoon aksar mez per

Aur darwaze per daur kar jati hoon baar baar!


Zindgi choti hai magar itni

Zindgi choti hai magar itni choti bhi nahi

Aankhen sookh gayi hai aur ab roti bhi nahi

Zara zara si baton pe agar hum na jhagarte

To shayed yeh zindgi tumse juda hoti bhi nahi!


Beete din ab wapas to

Beete din ab wapas to nahi aa sakte

Kho diya hai jo use to nahi pa sakte

Dhool si hi rah gayi hai baki hawa mein

Kash tumhe zindgi me phir se bhoola sakte!


Tumhe hamari yaad kabhi to

Tumhe hamari yaad kabhi to aati hogi

Dil ki dhadkan bhi shayed bhar jati hogi

Kitna chaha tha humne ke saath saath rahe

Yeh soch kar tumhari bhi aankh bhar aati hogi


pyar karna hy to Allah

pyar karna hy to Allah sy karo,

ye mati k khilonay wafa nhi karty


Hume Hansne - Hasane ki

Hume Hansne - Hasane ki aadat hai,

Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,

Par hamari to nazar unse hai ja mili,

Jinhe nazar Jhukake Sharmane ki Aadat hai... 


Na khuda dil banata,na kisi

Na khuda dil banata,na kisi se pyar hota

Na kisi ki yaad aati,na kisi ka intzaar hota

Dil diya hai,use samhaal kar rakhna

Sheese se bana hai patthar se door rakhna!


Aankho main aansoo ki tarha Phoolon

Aankho main aansoo ki tarha

Phoolon main khusboo ki tarha

Aap mere dil main base ho

Dil main dhadkan ki tarha!


Aaj tak hum chahte rahe

Aaj tak hum chahte rahe hain aapko

Ye baat bhi to bata te rahe hain aapko

Ab aap hi na samj paae to kya karen

Hum to haal-ye-dil sunate rahe hain aapko!


Kamal ho tum,na gulaab ho

Kamal ho tum,na gulaab ho tum

Meri aankho ke khowaab ho tum

Haanth utha kar rub se jo sawal kiya tha

Un sawalon ka jawab ho tum! 


Tu phool hai gulaab ka Main

Tu phool hai gulaab ka

Main asiq tere sabaab ka

Teri tasveer mere dil main hai

Kya fayda tere nakaab ka!


Woh aaye maiyat par meri, karne

Woh aaye maiyat par meri,

karne mohabbat ka izahar,

mere bejaan jism ne kaha,

mat ro, aaj bhi main tujhe karta hoon pyar!


Tere pyaar mein mere sanam, hum

Tere pyaar mein mere sanam,

hum khud se mulaquat kar bhete

Chalte chalte bas yunhi achanak,

hum zindagi se mulaquat kar bhete!


Mat karo in hasino se

Mat karo in hasino se pyar, ye mitti mein mila deti hain,

Ye itni bedard hoti hain ke bina kafan ke jala deti hain


Khuda hum ko tum-se, juda

Khuda hum ko tum-se, juda na karey

Dua yey karo yey, "Khuda na karey".....

Humain aisey dil ki, zaroorat nahin

Terey waastey jo, dua na karey.....

Nahin, mera dilbar, to aisa nahin

Jo wada karey aur, wafa na karey.....

Yehi, yaar sachhayi ki pehchaan hai

Sahey zakham leykeen, gila na karey.....


Palkon pe aanso'on ko sajaya

Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka

Us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka,

Zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera

Ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka,

Jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood

Aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka,

Kuch log zindagi main aise bhi aaye hain

Jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka,

Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho

Hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka,

Woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar

Chehre ka rang us se chupaya na jaa saka,

Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye

magar faasla ana ka mitaya na jaa saka!


na jagao mugh ko dostoo

na jagao mugh ko dostoo es alaam e madhoshi sey

mugh sey uth ker us ki yaad k waar sahy nae jaaty


Yehi wada lia tha,na hamaisha

Yehi wada lia tha,na hamaisha khush hee rehna hai

To dekho,dekh lo aa ker!

Meri aankho ko dekho tum yeh kitni shokh lagtee hain

Mere honto ko dekho tum hamaisha muskuratay hain 


Dosti ki misaal kya doon, Misaal

Dosti ki misaal kya doon,

Misaal lijiye aankhon aur palkon ke rishtey ki....

Agar palak kuchh der na jhapke to aankhen ro deti hai,

Agar aankhon ko dard ho

Toh palken bhi tadap uthti hai. 


ye bariss ki booinde phir

ye bariss ki booinde phir se vo waqt layin hain,

jab uski dosti ki yadain dohraye jaati hain,

kurbaan ho gaya vo insaaniyat dosti aur raah per,

uski yaad main aaj phir se aankhain bhar aye hain,


"Aankh milatay der lagta hai" "Ishq

"Aankh milatay der lagta hai"

"Ishq kahin na ho jaey"

"Kab se sambhala dil ko main ne"

"Dil yeh kahin na kho jaey"

"Ishq buri hai cheez main ne mana"

"Per nahi manay yeh dil deewana"

"Chot milay chahat main main ne jana"

"Hai barra mushkil dil ko samjhana"

"Piyar main na doori na sahi jaey"

"Be qarari reh reh ke terrpaey"

"Yeh piyar kahan kab hota hai"

"Jab hona ho tab hota hai"

"Yeh koi na janey"


teri har ada mohabbat ce

teri har ada mohabbat ce lagti hai,aik pal ki judai mudat ce lagti hai,pehley nahi tha socha ab sochtay hain

zindagi ke har lamhey mein teri zarorat ce lagti hai.


Ik Ada Aap Ki Dil

Ik Ada Aap Ki Dil Churaney Ki

Ik Ada Aap Ki Dil Main Bas Janey Ki

Ik Chehra Aap Ka Chand Sa

Ik Zid Humari Chand Ko Paney Ki


wo muskurate hain to fiza

wo muskurate hain to fiza bhil jate hain unke na hone se fiza apna naam thak bhool jate hain kya unka husn

kya unki ankhen hum to sirf sochkar hi reh reh jate hain wo hote to manzar hi kya hota unke na hota hua hi

wo hamare sanson ko mekate hain


Abhi to Baaj ki asali

Abhi to Baaj ki asali udaan baaki hai,

Abhi to aapka imtihan baaki hai,

Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,

Abhi to pura aasmaan baaki hai. 


 Mera eakrar tare inkar se

Mera eakrar tare inkar se behtar hoga, Mera din tari rat se behtar hoga Yakein na aata ho to doli se jakhkar

dakh lena mera jnaja tari barat se bahtar hoga. 


kiu yaad aia uss bawafaki,

kiu yaad aia uss bawafaki, jisna adura chora humko. hum wafa kaeta karta adhura hi mar gaya! kaya eya

khabar hai unka.


Kisi Kamzoor Lamhey Me, Agar Main

Kisi Kamzoor Lamhey Me,

Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,

Mujhey Tum Say "MOHABAAT" Hai,

Tum Ye Mat Samajh Lena,

K....!!

Main Ney SACH Kaha Ho Ga,

Aisi Dil-Nasheen Baaton Ko,

Aisi Dilbar Aadaon Me Kehna,

Mujhey Bachpan Say Aata Hai,

Meri Aankhein Mera Chehra,

Mera Ye Bey Sakhta Lehja,

Ye Sab Kuch JHOOT Kehta Hai Mager,

Iss Jhoot Main Ek SACH Bhi Hai,

K......!!!!!

Mujhey Tum Say "MOHABBAT" Hai.