Ad Code

Urdu Sms Messages | Hindi Sms Messages | Urdu Sms Text Messages | Urdu Sms Jokes | Funny Urdu Sms Messages | Urdu Sms Urdu Sms For Your Mobile | Hindi Sms Jokes | Funny Hindi Sms Messages | Hindi Sms For Your Mobile Phone | Urdu Hindi Messages | Sms In Urdu | Sms In Hindi | Latest URDU Shayari

If you have a girlfriend, boyfriend, wife, husband...a secret lover. Then these cute love messages  and love quotes are for you. Romantic text messages galore find the perfect message to send to your lovers Mobile Phone.

HALAKAT KHAYZ HAI OLFAT MAYRI HER

HALAKAT KHAYZ HAI OLFAT

MAYRI HER SAANS KHOONI HAI

ISSI BAAIS YEH DIL KI NAGRI

KABROW SAY BHI SOONI HAI HAI


OSSAY MAY ZEHREELI KHOSHBO OW K

RANGEEN HAAR DAYTA HOWN


JISSAY MAY PIYAR KRTA HOWN

OSSAY MAY MAAR DAYTA HOWN


Chand lamhe bache hain tere

Chand lamhe bache hain tere mere saath ke

Mumkin hai ke bichar jaaye bina mulakat ke

Kahan ansuon ki ye saugat hogi

Naye log honge nayi baat hogi

Main har haal me muskurata rahunga

Gar tumhari dosti mere saath hogi

Chiragon ko mehfooz rakhna aankho main

Badi door tak andheri raat hogi

Musafir hoon main bhi Musafir ho tum bhi

Phir kahin kisi mod par mulaqat hogi


Uss nay Khat main Ishq ka

Uss nay Khat main

Ishq ka Matlab Pooch liya hai

Mein nay Likha hai

Jab Koi Chehra

Dhiyaan Mein Akar

Maan Angan mein Phool Khila day

Jab Koi Naam Labon ko Choo kar

Dharkano ki Tarteeb Bhula day

Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se

Atish ko Gulzar bana day

Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna

Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai

ISHQ se Pehlle ISHQ ka Matlab kab Khulta hai ................


tum rooth jao mujh se,aisa

tum rooth jao mujh se,aisa kabhi na ho

main ek nazar ko tarsoo,aisa kabhi na ho

main pooch pooch haroon so so sawal kar k

tum kuch jawab na do,aisa kabhi na ho

kuch me bhi junooni hoon kuch meri muhabbat bhi

ye junoon tham na jai,aisa kabhi na ho


mere hi saath hansna,mujh se hi milke rona

mujh se bichar k jilo,aisa kabhi na ho


tum chand ban k rehna main dekhti rahoon gi

koi raat tum na niklo,aisa kabhi na ho.


vo to Khushbuu hai havaao.n

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa

masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa


ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa

kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa


vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai

ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa


vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye

mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa


aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii

teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa


sundar komal sapano.n kii baaraat

sundar komal sapano.n kii baaraat guzar ga_ii jaanaa.N

dhuup aa.Nkho.n tak aa pahu.Nchii hai raat guzar ga_ii jaanaa.N

bhor samay tak jis ne hame.n baaham ulajhaaye rakhaa

vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaa.N


sadaa kii dekhii raat hame.n is baar milii to chup ke se

Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar ga_ii jaanaa.N


kis ko.npal kii aas me.n ab tak vaise hii sar-sabz ho tum

ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaa.N


log na jaane kin raato.n kii muuraade.n maa.Ngaa karate hai.n

apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaa.N .........


hum ab sab muntazir hain poori

hum ab sab muntazir hain

poori shidat se

magar kis k...?

khabar kis ko...?

magar sab muntazir hain


samandar! hum tumhaare muntazir hain humaare

samandar! hum tumhaare muntazir hain

humaare zarf gehraaii se aari hochuke hain

tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao

k gehraaii main paani kaise behta hay?

sukoon chehre pe daaim kaise rehta hay

wo jab aati hain pooray chaand ki raaten

to kaise josh aata hay?

kinaaron se

zamaanay se

baghaawat kaise hoti hay?


sitaaro! hum tumhaare muntazir hain kisi

sitaaro! hum tumhaare muntazir hain

kisi din tum drawing room main utro

k sarrkon pe to ab hum aa nahi sakte

bataao, ab humara kia muqadar hay

humaare rahnuma kiun rahbari k fan se a'aari hain

tumhen zehmat to hogi unko samjhaao

andhere main kisi ko raasta kaise dikhaatay hain?

shabon main phelti aaloodgi se kis tarha daaman bachaatay hain?


parindo! hum tumhaare muntazir hain k

parindo! hum tumhaare muntazir hain

k hum to taaqat e parwaaz ab rakhte nahi hain

hum ik doosre k par to khud hi kaatt dete hain

tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao

paron ko qenchiyon se kis tarha mehfooz rakhte hain

shikaari ki nigaahen kis tarha se bhaanp lete hain

jahan ho daam humrang zameen to kistarha urrna hay

aazaadi bachaani hay

kisi barsaat se pehlay

kisi toofaan se pehlay

pohanch jaatay hain kaise aashiyaanon ghonslon main


or unhen mosam ki shidat

or unhen mosam ki shidat se bachaatay kis tarha hain

kis tarha mazboot rakhte hain

samandar kab kisi k ghar main aata hay

sitaare kab drawing room main utray

parindon ne ahan school kholay hain


magar hum to kisi k muntazir hain

na jaanay kon aay ga?

na jaanay kab wo aay ga....


Sham aaj kiun hum se lipatt'ti

Sham

aaj kiun hum se lipatt'ti hay saba

too ne aey dost bulaya to nahi


dil k aangan main bhattakte saaye

kuch yahan too ne ganwaaya to nahi


tere chehre pe taghaiyur kiun hay

haal e dil humne sunaya to nahi


shaam ddhalti hay to main sochta hoon

zindagi mout ka saya to nahi


"SHAM" g khoay se rehte ho sada

kia koi dil main samaaya to nahi


kyaa kahoN tum se main

kyaa kahoN tum se main ke kyaa hai ishq

jaaN kaa rog hai, balaa hai ishq


ishq hii ishq hai jahaaN dekho

saare aalam mein bhar rahaa hai ishq


ishq maashuuq ishq aashiq hai

yaani apanaa hii mubtalaa hai ishq


ishq hai tarz-o-taur ishq ke taaiin

kahain bandaa kahain Khudaa hai ishq


kaun maqsad ko ishq bin pahuNchaa

aarazuu ishq vaa muddaa hai ishq


koyii Khvaahan nahi mohabbat kaa

tuu kahe jins-e-naarawaa hai ishq


hum to ji zard hote jaate hain

kyaa kahain tum ne bhii kiyaa hai ishq ?


Jaane Woh Kaise Log The

Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila

Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila


Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar

Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath

Kisko fursat Hai Jo Thamey Deewane Ka Haath

Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila


Isko Hi Jeena Kehte Hain

Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge

Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge

Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila ...........


Yaad mein teri jahan ko

Yaad mein teri jahan ko bhool jaati hoon mein…

Oh bhoolnewale, Kabhi tujko bhi yaad aati hoon mein ?

Jitni masoom hoon mein aapse bichhadkar ,

Itnee siddat se to aapne muje chhaha bhee nahi… 


aj phir khuda nay hum

aj phir khuda nay hum say pocha, tera hansta chera udas kyon hai,barasti ankhoon mein pyas kyon hai,jin ki nazroon mein tum kuch bhi nahi,woh tumhare liye itna khas kyon hai


Ae dost teri tamana kabi

Ae dost teri tamana kabi nakam na ho.Jis me rhy udas koi lamha na ho.Jo arzo ho teri wohi tera naseeb ho.Tu dil se jis ko mang ly.Pal me tery qareb ho


Tu cHand Hai is zamin

Tu cHand Hai is zamin ka or main suraj HonYHi waja Hai jo apne darmian dori HaiRook na mujHe dekH tu zid na karTeri cHandni k leye mera dobna zaruri hai


Chand lamhe bache hain tere

Chand lamhe bache hain tere mere saath ke

Mumkin hai ke bichar jaaye bina mulakat ke

Kahan ansuon ki ye saugat hogi

Naye log honge nayi baat hogi

Main har haal me muskurata rahunga

Gar tumhari dosti mere saath hogi

Chiragon ko mehfooz rakhna aankho main

Badi door tak andheri raat hogi

Musafir hoon main bhi Musafir ho tum bhi

Phir kahin kisi mod par mulaqat hogi


Ghar se Bar Wo Nakab

Ghar se Bar Wo Nakab me Nikali,

Sari gali unki Firak me nikali

Inkar karte the wo Hamari Mohabbat se

or Hamari hi Tasvir unki kitab se Nikali


aaj kiun hum se lipatt'ti

aaj kiun hum se lipatt'ti hay saba

too ne aey dost bulaya to nahi

dil k aangan main bhattakte saaye

kuch yahan too ne ganwaaya to nahi

tere chehre pe taghaiyur kiun hay

haal e dil humne sunaya to nahi

shaam ddhalti hay to main sochta hoon

zindagi mout ka saya to nahi

"SHAM" g khoay se rehte ho sada

kia koi dil main samaaya to nahi


kyaa kahoN tum se main

kyaa kahoN tum se main ke kyaa hai ishq

jaaN kaa rog hai, balaa hai ishq

ishq hii ishq hai jahaaN dekho

saare aalam mein bhar rahaa hai ishq

ishq maashuuq ishq aashiq hai

yaani apanaa hii mubtalaa hai ishq

ishq hai tarz-o-taur ishq ke taaiin

kahain bandaa kahain Khudaa hai ishq

kaun maqsad ko ishq bin pahuNchaa

aarazuu ishq vaa muddaa hai ishq

koyii Khvaahan nahi mohabbat kaa

tuu kahe jins-e-naarawaa hai ishq

hum to ji zard hote jaate hain

kyaa kahain tum ne bhii kiyaa hai ishq?


Post a Comment

0 Comments

Close Menu