*Gham~E~Zaib* Hijar ke mosam main ye

*Gham~E~Zaib*

Hijar ke mosam main ye baarish ka barsna kaisa?

Ik sehra se sumandar ka guzarna kaisa ?

Ay mere dil pareshaan na ho tanha ho kar...

Woh tere saath chala kab tha, bichhrna Kaisa?

Log kehte hain, Gulshan ki tabaahi dekho...

Main Veraan sa jungle tha, Ujarna kaisa ?

Dekhne main To koi dard nahi, dukh bhi nahi,

Phir ye aankhon main youn aashkon ka Ubharna kaisa ?

BE-WAFA kehne ki jurrat bhi na karna...

Us ne IQRAAR kiya kab tha, Mukarna Kaisa ?



Waqt waqt pe hamey yaad

Waqt waqt pe hamey yaad aate rahiye

Apna hone ka ehsaas hame jatate rahiye

Dur rahiye itna ki roj khalayon main aate rahiye

Dur itna nahi ki aap har roj hame bhulate rahiye

By: atreyavijit


samay samay kii Khalish mein

samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe

judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin

phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai

ke justajuu bare divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se

kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii

hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe



 tere jesa mera bhi haal

tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha

ye ho umr thee mere humnahen ke kisi ko mujh se bhi pyar tha

mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak

isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha

faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen

wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha

kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki

mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar tha

hum ajeeb tarz ke log thai hamare aur hi rog thai

mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha

ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein

koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhar tha



itane dinon ke baad tuu

itane dinon ke baad tuu aayaa hai aaj

sochataa hun kis tarah tujh se milun

mere andar jaag uthii ik chandanii

main zamiin se aasaman tak ek ang hun

aur ujalaa ho gayaa qurbat kaa chand

aur gaharaa ho gayaa teraa fusun

ai saraapaa rang-o-nikahat tuu bataa

kis dhanak se teraa pairaahan bunun

saare gul_buute tar-o-taazaa hue

duur tak pahunchii hai merii mauj-e-Khun

kar rahe hain lamhe lamhe kaa hisaab

mil ke phir baiThe hain yaaraan-e-junun

dasht-e-Gam kii dhuup mein mujh par khulaa

main Khud apanaa saayaa-e-diivaar hun

naaz kar Khud par ki tuu hai beshumaar

qadr kar merii ki main bas ek hun



 MATTI KI MOURAT Ghar matti k

MATTI KI MOURAT

Ghar matti k banaya nahein kartay

toot k bikhar janay waloon ko apnaya nahein kartay

goya MOHABBAT name hi bayloosh jazbay ka

lakin apnay jazbat ko sara_e_Aam dekhaya nahein kartay

Raz_e_dil dil maien rakhnay say go toot jata hay DIL

phir b apnay zakhmoon ko dekhaya nahein kartay..

kartay kartay MOHABBAT go apnai jan bhool jatai hay

phir b apni zat ko Auroon ki khatir DAFNAYA nahein kartay....

reply me if u like it...


 Hum ne us ko toot

Hum ne us ko toot k chaha yeh us ka haq tha lekin

woh bhi humein toot k chahte Hum itne anmol na they.



NIBHA SAKO TU KARO PIYAR

NIBHA SAKO TU KARO PIYAR WARNA MAT KARMA

BICHAR KAR TUM KABHI HUM KO UDAS MAT KARNA

ABHI BHI WAQT HAI CHAHO TU TUM SANBHAL JAO

KARO NA FIKR MERI AGEY TUM NIKAL JAO

FAISLA JO HO TUMHARA KARNE ME DEIR MAT KARNA

BICHAR KAR TUM KABHI HUM KO UDASS MAT KARNA

TUMHARE PYAR MEIN AAJ JO MERI HALAT HAI

HAR IK LAMAHA LAGEY K QIYAMAT HAI

MERA JO HAAL HAI APNA WO HAAL MAT KARMNA

BICHAR KAR TUM KABHI HUM KO UDAS MAT KARNA.



Kabhi din ho kabhi raat, Kabhi

Kabhi din ho kabhi raat,

Kabhi timtimati saam ho,

Kabhi-kabhi tanhai me ,

Sang mere khud aap ho,

Kuch bolo na kyu chupchap ho.



 KiNg Of DrEaMs Bikhar Rahi hy

KiNg Of DrEaMs

Bikhar Rahi hy meri zaat usy kehna

Kabhi milay tu yehe baat usy kehna

Vo saath tha tu zamana tha hamsafar mera

Mager ab koi nahi mery sath usy kehna

Usy kehna k bin usky din nahi kattata

Sisik sisik k kattati ha raat us kehna

Usy pukaroon k khud hi pohanch jaon us k pass

Nahi rahy vo halaat usy kehna

Ager vo Phir be na lotay tu ay mehrban qasid

Hamari zeest k halat usy kehna

Her jeet us k naam kar raha hoon Main

Main manta ho apni haar usy kehna.


 meri rooh jesay kuchal gya, koi

meri rooh jesay kuchal gya,

koi shaks aisy badal gya,

ye kis ka harf-e- dua raha,

k main girty girty sanbhal gya,

teri yaad jab aany lagi,

mera dard jesy behal gya,

meri qismaton ka qaafla,

kisi aur janib nikal gya,

tumhain dekhty hain bysabab,

koi khawab mera machal gya,

mera patharon sa garoor tha,

magar tery aqgy pighal gya.