If you have a girlfriend, boyfriend, wife, husband...a secret lover. Then these cute love messages  and love quotes are for you. Romantic text messages galore find the perfect message to send to your lovers Mobile Phone.

KHADAK SINGH KE KHADKANE SE
KHADAK SINGH KE KHADKANE SE KHADKATI HE KHIDKIYA, AUR KHIDKIYO KE KHADAKANE SE KHADAKTA HAI
KHADAKSINGH- SUDHIR BHATNAGAR

kuch dhago say bandhi zangeere.Kuch
kuch dhago say bandhi zangeere.Kuch Mohabbat say boone rishte.Yaad rakhna tum teen lafz mere "MAIN
AAON GA" faqat lene tumhe.

Abhi shaadi ka pehla hi
Abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
Khushi ke maare mera bura haal tha,
Khushiyaan kuchh yun umad rahin thi,
Ki sambhale nahi sambhal rahi thi..

Subah subah madam ka chai
Subah subah madam ka chai le kar aana
Thoda sharmate huye humein neend se jagana,
Wo pyaar bhara hath hamare baalon mein phirana,
Muskurate huye kehna ki..
Darling chai to pi lo,
Jaldi se ready ho jao, Aap ko office bhi hai jaana.

Gharwali meherban ka roop le
Gharwali meherban ka roop le kar aayee thi,
Dil aur dimag par poori tarah chhayee thi,
Saans bhi lete they to naam usee ka hota tha,
Ik pal bhi door jeena dushwar hota tha..

Subah subah madam ka chai
Subah subah madam ka chai le kar aana,
Table par rakh kar zor se chillana,
Aaj office jao to munna ko
School chorte hue jana........ ......

Suno ek baar phir wohi
Suno ek baar phir wohi awaaz aayi,
Kya baat hai abhi tak chhodi nahi charpayee,
Agar munna late ho gaya to dekh lena,
Munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena..

Na jane gharwali kaisa roop
Na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
Dil aur dimaag par kaali ghata chhayee thi,
Saans bhi lete hain to unhi ka khayal hota hai,
Ab har samay zehan mein ek hi sawal hota hai..

Kya kabhi woh din laut
Kya kabhi woh din laut ke aayenge,
Hum ek baar phir kunwaare ban paayenge
Tumhari yadoon ko rok pana hai mushkil,
rote hue dil ko manana hai muskil,
ye dil apko kitna yaad karta hai,
ek sms main likh pana hai mushkil... 

chaloo ik faisla kar lain
chaloo ik faisla kar lain k ab nahi milna
akely main na mehfil main khwaboon main na khyaloon mian
tumhain milna nahi hota to aakar Q sataty hoo
aghar milna nahi hota to aakar khwaboon main satana bhi nahi acha
isi khati to kehta hoo chaoloo ik faisla kar lain
k ab jab bhi bahar aye kitaboon main phool tum mat rakna
k jab mosum badalta hay to kitaboon ky sokhy phool bohut barbad karty haan
jinhain hum bholna chahain usi ko yad karty han
isi khatir to kehta hoon chaloon ik faisla kar lain
waqalat tum bhi karty hoo dalelain tum bhi dety hoo
magar ab aysa mat karna kisi k sar laga ilzam harf-e-bewafai ka ab un main tum bi shamil hoo
isi khatir to keta hoon chaloo ik faisla kar lain

husrateen bya kyas hoti hian. soortain
husrateen bya kyas hoti hian.
soortain ghum shanas hoti hian.
jin ko honton pay ho hasi aksar.
unki ankheen udas hoti hain.

Es Dil ka kaha mano
Es Dil ka kaha mano ek ehsan kardo
ek benaam si muhabat mere naam krdo
mere zaat pe fakat itna ehsaan krdo
ek subah ko milo or sham krdo

dosti shayd zindage hoti hai jo
dosti shayd zindage hoti hai
jo har dil main basi hoti hai
waise to je lete hain sabhi magar
phir bhi zaroorat inki sabhi ko hoti hai

na shikaytien na gila karay
na shikaytien na gila karay koi asa shakes howa karay ..jo mera liyay saja karay ..bass mojhi say batyien kiya
karay...kabhi roye jaye woh baypanah..kabhi bay tahasha odass ho..kabhi chopkay chopkay dabay qadam
meray peechay aa ker hansa karay .mien taweel safar mien hoon agar meri wapsi ki dowa karay ...na
shikaytien na gila karay koi asa shaks howa karay ... 

phir ek baar dil tota
phir ek baar dil tota sa lage ga.
har apna ajnabi sa lage ga.
chahe hoga sab kuch mukamal laiken.
ek bar phir kyu adhora sa lage ga. 

Dawa ye ker gia woh
Dawa ye ker gia woh chahnay wala koi hum se
kheta tha kabhi nahi hoo ga juda woh hum se.
char pal bhi saath na nibhaya kia gila uss bewafa se.

aik ajnabi hon saath humsafer
aik ajnabi hon saath humsafer ke kessi mor per ruka jana chahta hoon.
zendagi main kessi manzel ko apni manzel bana lena chahta hoon 

hum duniya se kuch jauda
hum duniya se kuch jauda nazer aana chahtay hai.
na chahtay hoye bhi hum app ko her pal yaad anna chahtay hai.
zendagi ke her mor per tumharay saath rehna chahtay hai.
bass ik dil ki tamna hai her pal app ke dil main rehna chahtay hai.

rab se dua kerte hain
rab se dua kerte hain k
mera dosto ko khosiyon ka sansar mile
aur jo mujhay ms nahi karta
unha apni girlfriends se sister jaisa pyar mila.

dil main chubhi hai sui,
dil main chubhi hai sui,
oui oui oui oui oui oui 

Jate -jate wo koi acchi
Jate -jate wo koi acchi nishani de gaye, umar bhar suna saku aisi kahani de gaye,hum to rah gaye pyase par
hamari palko ko wo pani de gaye.. 

Hum to pehle se hi
Hum to pehle se hi aapke hai sanam,
Kya zarurat hai hume aazmane ki,
Yaad na karo to koi gam nahi,
Par khawahish na karna kabhi bhool jaane ki.

Mere Wajod Mein Kash Tu
Mere Wajod Mein Kash Tu utar Jaye,
Main Dekhoon Aayina Aur Tu Nazar Aaye,
Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye,
Ye Zindagi Tujhe Yuhin Dekhte Huye Guzar Jaye. 

Doston ka to aana jana
Doston ka to aana jana hai,
Par yeh dost tera purana hai,
Iss Dost ko bhula na dena kabhi mere yaar,
Kyun ki yeh dost teri dosti ka deewana hai.

Kissi mod pe akela na
Kissi mod pe akela na chodna,
Armaano se bhare dil ko yun na todna,
Duniya begani ban jaye to kya hua,
Tamana yahi hai ki aap hamara sath kabhi mat chodna.

aj kuch kami hai tere
aj kuch kami hai tere bagair,
Na rang hai na roshni hai tere bagair,
Waqt apni raftar se chal raha hai bus dharkan thami hai tere bagair.֧

Sachi hai Dosti aajmake dekh
Sachi hai Dosti aajmake dekh lo,
Karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo,
Badalta nahi kabhi Sona apna rang,
Chahe jitni baar marji aag mein jalaake dekh lo.

Dushman tarse teri dosti ko,
Dushman tarse teri dosti ko,
Dost tarse teri yari ko,
Yar tarse pyar ko,
Hum tarse tere DIDAR ko!֧

Bachelor's schedule... Monday ko dosti
Bachelor's schedule...
Monday ko dosti ; Tues ko pyar ;
Wed ko shaadi ; Thus ko barbadi ;
Fri ko fighting ; Sat ko talaq ; 
Sun ko rest, Mon ko phir se talash....

Teri koshish teri tadbir hona
Teri koshish teri tadbir hona chahta hon..
Mein tere hath ki tehrir hona chahta hon..
To mere pas aay aur palat ker na jay..
Mein tere paon ki zanjir hona chahta hon..
Mujhe hajat nahi ab dosron k mashvaron ki..
Mein khud b sahib e taqdir hona chahta hon..
Azul se khawab ban ker teri ankhon mein raha hon..
Mein ab sharminda e tabir hona chahta hon..
Mein is liay mismar khud ko ker raha hon..
Keh us k hath se tamir hona chahta hon..
EID MUBARAK to ALL MY FRIENDS & MATES.. 

To Saba.... Phoolon sey achi
To Saba....
Phoolon sey achi us ki khushboo,
Kaliyon sey pyaari us ki muskaan,
Sitaron sey chamakta hua chehra,
Koyal si meethi zabaan,
Chand bhi chup jaye yeh keh kar,
Aasmaan par ab kya hai mera kaam,
Chandni to aa nikli zameen sey,
kaisi hai yeh kudrat ki shaan,
Fursat sey banaya hoga rab ney,
Farishton ka nahin yeh kaam,
Mitti sey baney hain hum sab,
Us mein sonay ko milaya hoga,
Hooron ney bhi hasrat sey dekha hoga,
Pariyon sey sundar yeh insaan,
Alfaaz bhi kum partey hain kehney ko........
AISI HAI MERI JAAN ! 

Ab aur manzil paane ki
Ab aur manzil paane ki hasrat nahi,
Kisi ki yaad me mar jane ki fitrat nahi,
Aap jaise dost jab se mile hain,
Kisi aur ko dost banane ki jaroorat nahi.

wo nadiyan nahi the aasun
wo nadiyan nahi the aasun the humare,jinper woh kashti chalate rahe,manzil mile unhe ye chahat thi
humari,isliye hum aasu bahate rahe Bunty 

chahat ka rasta itna dushwar
chahat ka rasta itna dushwar keyoon hota hai ..
ye dil kessi ki yaad main keyoon tarpata hai ..
ik pal ki dori soch ker rona keyoon aa jata hai..i miss you

Main jeet kar hara wo
Main jeet kar hara wo haar kar bi jeet gaia wo mere dill or damag par chah gaia muje naaz tha bohat khud
par wo mere garoor ko khak main mila gaia marte rahe husan wale aaj tak muj par wo muje apna deewan bana
gaia mohabat karna muje kaha aata tha wo muje muhabat karna sehkha gaia zina rehne ki kab talab thee baki
wo zinda rehna sehkha gaia main andehrooin main bhatakta raha wo meri zindagi main shamah jala gaia
dokooin bhari dastan thi meri wo meri jholi main khushian dall gaia meri her gazal us ke naam hai wo muje or
mere kalum ko nai zaban sehkha gaia

tuj say main pyaar karty
tuj say main pyaar karty hon bandagi ki tarha
tu maray zaat may shamil hai zindagi ki tarha
maray khayal par galib hai ik tary soorat
tuj ko hi sochty rahty hon shaairy ki tarha
saja kay ankhon may rakhain hain sub taray jalway
andhary raat kay lamhoo may roshni ki tarha
taray wajood say baqi hain maray umeeday
tum hi basay ho maray dill may ,dharkan ki tarha
is say bar kay may tumhay chaon kasay
nas nas may tum samaa chukay ho lahoo ki tarha
or tumhay keya maloom tum maray zindagi ho
hum nay chaha hai tumhay zindagi ki tarha

Kabhi youn bhi ho teray
Kabhi youn bhi ho teray ro ba ro main nazar mila kay ya keh sakoon(Copyright www.lovelysms.com)
Meri hasratoon ko shumar kar meri khawahishoon ka hisab day

Tootay huway khaboon ki chubhan
Tootay huway khaboon ki chubhan kam naheen hoti
Ab ro kay bhi aankhoon ki jalan kam naheen hoti

Main us kay pyar say
Main us kay pyar say kiun bad guman huwa hoon aaj
Kay us nay toot kay chaha to mujhay kal bhi na tha

dost kiya khub wafaon ka
dost kiya khub wafaon ka sila dety hai ,
Har aik mor pe aik zaham aik naya dety hai ,
tum say tau kheir ghari bhar ki mulaqat rahi ,
log sadyo ki rafaqat ko bhula dety hai ,,,,,,,,,,
kesay mumkin hai ke duwan bhi na ho aur dil bhi jalay ,
chot partei hai tau , phatar bhi sada dety hai , 

us samat chale ho to
us samat chale ho to bas ina use kahna,ab koi nahi harf e tamna use kahna,us ne hi kaha tha to yaqeen
main ne kiya tha,umeed pe qaim hai ye duniya use kahna,zerkhaz zaminen kabhi banger nai hoti,drya hi badal
lete hain rasta use kahna.

piyar ko chupaoo mat us
piyar ko chupaoo mat us ko zarurat hai bharane ki,apni feeling btaoo mat usey zarurat hain chupane ki,aur
perfume mat lagaoo, tumah zarurat hain nahane ki,

may khud say door door
may khud say door door taray khayaloon kay ass pass
raat_e_faraaq may cutay din taray intizar may
qalam jo uthaon may lab per tara hi naam ho
qalam ki roh tuj hi ko pokaray
yeh zaat dekay na is may maat ho
yeh mohhbat hai !
yeh mohbbat hi ka ehsasa hai
is may jeet achi lagay
maat may bhi khusboo mehsoos ho
yeh jo taray mohhbat ka ehsas hai
yeh hi humara iqrar hai

Suna Tha Waqt Marham Hai,Her
Suna Tha Waqt Marham Hai,Her Zakham Bhula Deta Hai
Her Guzra Lamha Hum Ko To,Ek Zakham Naya Deta Hai.
Raat Ki Rani Hai Yaa Teri Yaadoon Ki Khushboo
Kuch To Hai,Jo Aangan Mere Ehsaas Ka Mehka Deta Hai.
Ger Terey Khayaalon Mein Kho Kar,Neend Aah Bhi Jaye
Ah Ker Khawaboon Mein,Tera Tassawur,Hum Ko Jaga Deta Hai.
Khush Hote Hain Tassawur Mein Tumain Qareeb Dekh Kar
Shayed Mil Na Paye Hum,Yeh Khadsha Sehma Deta Hai.
Dil Bahot Nazuk Hai,Ghum Se Bhar na Aaye Kiyuo
Pather Pe Chott Lage To Woh Bhi Saza Deta Hai.
Dushman Hai Zamana Mohabbat Karne Walun Ka Azal Se
In Dooriyoon, Judaiyoon Ka Ehsaas Rula Deta Hai.

Meray dard ki kahani meri
Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
Jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora,
Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora,
Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,
Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki,
Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki,
Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho.

Lamha Lamha saanse khatam ho
Lamha Lamha saanse khatam ho rahi hai,
Zndagi bhi maut ke pehlu mein so rahi hai,
Us Bewafa se na poocho meri maut ki wajah...
Woh toh bus zamaane ko dikhane ke liye ro rahi hai !!

Do Kadam To Sab Chal
Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein
To Hanskar Koi Ghum Naa Chupata

Paane se khone ka maza
Paane se khone ka maza aur hai.
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai.
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal.
Aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai.

Apne dil ki sun afwaho
Apne dil ki sun afwaho se kaam na le
Mujhe yaad rakh beshak naam na le
Tera veham hai k hum bhule hain tujhe
Meri koi aisi saans nahi jo tera naam na le... 

Chale gaye ho dur kuch
Chale gaye ho dur kuch pal ke liye,
Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye,
Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye,
Jab dil me ho aap harpal ke liye........ 

Na kabhi yeh chupaya ki
Na kabhi yeh chupaya ki pyar kitna hai,
Na kabhi yeh jataya ki dard kitna hai...
Bas ek hame aur us Khuda ko malum hai,
Ki aapse mulaqat ka intezar kitna hai... .

Pyaar me maut se darta
Pyaar me maut se darta kaun hai,
pyaar ho jaata hai Karta kaun hai.
Aap jaise yar par dunya qurban,
Aur Aap puchte ho ki hum par marta kaun hai......... 

Kadam u hi dagmaga gaya
Kadam u hi dagmaga gaya raste se
Warna sambhalna hum bhi jaante the
Thokar bhi lagi to us pathar se
Jise hum apna khuda mante the.

Sazaa dene waale razaa puchte
Sazaa dene waale razaa puchte hai
Jine ki humse vajah puchte hai
Dete hai khud hi zehar humko aksar
Phir kitna hua hai asar puchte hai 

Hotho ki zuban ye aasu
Hotho ki zuban ye aasu kehte hai
Jo chup rehte hai lekin phir bhi behte hai
Aur in aasu ki kismat to dekhiye
Ye unke liye behte hai jo in aakhon me rehte hai