Dil ki Halat batana nahi

Dil ki Halat batana nahi aata …

Kisi ko aisey Tarpana nahi aata ….

Sunna chahte hain ek baar Aawaz aap ki …

Magar baat karne ka Bahana nahi aata !!

Unhein Piyar karna nahi aata ….

Aur Hamein Piyar ke siwa kuch nahi aata ….

Jeene k sirf ye Do hi raste hain ….

Ek unhe nahi aata ek Hamein nahi aata !!



 HAR PHOOL KI KISMAT ME

HAR PHOOL KI KISMAT ME KAHAN NAZ-E-AROOSAN..

KUCH PHOOL TO KHILTE HEN MIZAROON KI LIYE..



 yeh AANSU bhi 1 pareshani

yeh AANSU bhi 1 pareshani hai,

Khushi aur gham dono ki nishani hai,

samajh ne walo k liye anmol aur

na samajh k liye sirf paani hain.



pani mile to pi lena

pani mile to pi lena barish ka kya bharosha,

pyar mile to kar lena jindgi ka kya bharosha.


 chupke se jo mere dil

chupke se jo mere dil ko chooker kahin chip jaati hai

woh uski baatein hain jo muhe aaj bhi yaad aati hai

roz mere sapno mein aa ker mjhe rula jaana uski aadat si hai

fir subah bina kuch kahe ansuon ke sang ankhon se beh jaati hai

chah ker bhi na bhul paaya main woh haseen pal,woh meethi baatein

chhod gaye woh mjhe tanha si.ab bachi hai sirf unki yaadien... 


 os kay bina ab chup

os kay bina ab chup chup sa rehna acha lagta hai..

khamoshi say dard ko sahna acha lagta hai..


jis hasti ki yad main ansuu barastay hain..

samnay oskay kuch na kehna acha lagta hai..


milker os say bicharna jaoon darta rehta hoon..

is leye bas door he rehnaa acha lagta hai..


janta hoon k chahat main bas ansuu he miltay hain..

kuch bhi ho abb iss zahar ko peena acha lagta hai..


jee chahay sab khushyaan laiker os ko day doon..

oskay pyar main sab kuch khonaa acha lagta hai..


oska milnaa na milnaa kismat ki baat hai..

pal pal oski yaad main rona acha lagta hai..


os kay bina sab khushyaan ajeeb si lagti hain..

ro ro ker os ki yaad main sonaaa acha lagta hai..



 Woh Shukhs K Main Jis

Woh Shukhs K Main Jis Se Mohabbt Nahi Kerta

Hansta Hai Mujhe Dekh k, Nafrat Nahi Kerta.

Dete Hain Ujalay Mere Sajday Ki Gawahi,

Main Chup K Andheroon Main Ibadut Nahi Kerta

Duniya Main Qateel Is Sa Munafik Nahi Koi,

Jo Zulm Tu Sehta Hai Baghawut Nahi Kerta



 Meri raatein teri yadon se

Meri raatein teri yadon se saji rehti hain

Meri saansein teri khusboo mein basi rehti hain

Meri aankhon mein tera sapna saja rehta hai

Haan merey dil mein tera aks basa rehta hai

Is tarha mere dil k buhat paas ho tum

Jis tarha paas hi sheh rag k khuda rehta hai

tum ko maloom bhi shayed ye kabhi ho k na ho

Merey aangan mein lage phool gawahi dein ge

Main ne arse se kisi phool ko dekha bhi nahi

Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqat

Bas kisi aur ko tere siwa socha bhi nahi

tum ko maloom bhi shayed ye kabhi ho k na ho... 


 bhool gaya hai yeh dil

bhool gaya hai yeh dil .. khushiyon ke mehfil sajaana..

jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhaana..

ek waada dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka ....

kaash woh karde hamaari is khata - e - muhabbat ko....

yaa phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein ....

kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki....

tho na likhte hum unke yaadon mein .....

na is dil mein un ke liye pyaar hota ...

na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota .......


 dard ka kard is kadar

dard ka kard is kadar hei ki,

aankhein num rehti hein

kuch aansu jo humne bahaye hi nahi

or aapne sumjha hum kabhi roye he nahi

aap puch rahe the kuch meri nind ke baare mein

or ik hum hein ik umer se soye hhi nahi

tere intezaar mein jo saanse li hein ab tak

har saans ka dard kuch is kadar hei ki

tujhe pani ki koshish thi tjhe khone ka gumm hei

teri yaad mein ye aankhein barson se numm hein .


Humay koi ghum nahi tha

Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley

Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley

Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may

Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley

Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa

Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley

Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota

Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley......


kitni bechain hai ye sanse

kitni bechain hai ye sanse meri

bina tere bohat roti hain ye aankhein meri


kab se meri aankho ko neend aati he nahi

bahain mangti hai mujh se ratain teri


jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi

tum ko bola rahi hai ye bahein meri


kitni bechain hai ye sanse meri

bina tere bhut roti hai ye aankhein meri



 kabhi royegi meri yaad mein

kabhi royegi meri yaad mein tanha

ujjad chuka hoga aashiyan ho jaunga mein fanaa

mere har baat ko tasvir banake rakhna

mera intezaar apni aankhon mein banake rakhna

tjhse maangi thi khushiyan maine

tune gumm bhi dene se inkaar ker diya

jaante hue yaad karna mud mud kar

mere aansu teri awaaz ko taras rahe the

humein meffilon mein bhula dena lekin

bahut yaad aaunga maine tanhaiyon mein

kabhi royegi meri yaad mein tanha dekhna


na reh paoge tum bhi

na reh paoge tum bhi mere bin

baut pachtaoge tum bhi mere bin

har waqt yaad aayegi tumko meri

soona paoge tum bhi mere bin

har dagar har jaga aaongi mein nazar

tarap tarap ke mar jaoge tum bhi mere bin

yaadein meri satayengi baatein meri bin

intezar hai mjhe us lamhe ka

jab jee na paoge tum bhi mere bin...


 Kabhi jo maazi main jhankoge tumhain

Kabhi jo maazi main jhankoge

tumhain hum yaad aayenge

Kisi lamhe kuch jo sochoge

tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne Dil ki baat ko

Kisi se keh na paoge ..


 Hawa Jab Teez Chalti Hai tumhari

Hawa Jab Teez Chalti Hai

tumhari Yaad Aati Hai..


Kabhi Chanda Ko Main Dekhon

Kabhi Tarey Main Gintta Hoon

Kabhi Chandni Muskurati Hai

Aur Ziker tumhara Hota Hai....


Zamana Hai Bohat Zalim

Kahin Yeh Cheen Na Lay tum Ko

Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon

Aur Ziker tumhara Hota Hai



 Yun muskuraya mera dil, Ki

Yun muskuraya mera dil, Ki tujhpe pyar aaya ae mere dil,

Tuhi toh hai woh mera dil, Dhadkane jiski yahan mere dil,

Mere ankhon mein tuh jhaank, mohabbaat sae zyada mohabbat,

Dil ki woh aag dikhegi tujhe jo hai sirf tere liye ae mere dil..


Dil ko seene mein dabaye

Dil ko seene mein dabaye rakha per dhadakta sirf tere liye ye dil,

Tera toh naam hai mere iss dil, awaas teri bhi yahan hai iss dil,

Aaaja mere tuh iss dil, ki mil jayen phir yeh do dil,

Tujhko phir na karne dun mein shikwa ki humdono hain ek dil !! 


 Mere jaise ban jaoge jab

Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhe ho jaaye ga

Deewaaron se sir takrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga

Har baat gawarah kar lo ge, mannat bhi utaara karoge

Taweezein bhi bandhwao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga

Tanhai ke jhoole khulenge har baat puraani bhoolenge

Aayine se tum ghabrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga

Jab suraj bhi kho jaaye ga aur chand kahin so jaaye ga

tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhe ho jaaye ga

Bechaini bhar jaaye gi aur yaad kisi ki aaye gi

tumhe meri Ghazal yaad aaye gi Jab Ishq tumhe Ho Jaaye Ga......


Tere dil ko chhu ke

Tere dil ko chhu ke hawa jo guzre kabhi

Samajh lena humko yaad teri aaye abhi

Humne socha kaise tumko pata chale

Boli hawa," Mein dila ke ehsaas aaye abhi "

Saath tere chalti rahegi yun yeh fiza

Jaise meri dhadkan dil mein samaye abhi

Dekh ke dewaane tumko hum ho gaye

Nazaron pe meri awaargi hai chaaye abhi

Lag rahi hoon khush mein aaj kyun itna

Lagta hai Uss ne Kismat meri banaye abhi



kahi chand rahoon mai kho

kahi chand rahoon mai kho gaya,kehi chandni batak gai,

mai chirag vo b buja hua , meri rat kaisy chamak gai,

meri dastan ka arooj tha ,teri nam palkon ki chayon mai,

mery sath tha tujy jagna , teri ankh kesy chapak gai,

bala hum mily b to kya mily, wohi doorian wohi fasily,

na kabi hamary kadam bhary, na kabi tumhari jijak gai,

tery hath sy mery hont tak wohi intezar ki piyas hai,

mery nam ki jo sharab thi kahi rasty ma chalak gai,

tujy bhool jany ki koshishain kabi kamyab na ho sakin,

teri yad shah-e-gulab hai , jo hawa chali to lachak gai


 Khud Apni Pehchaan Se Anjaan

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main,

Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise..


Kuch Simti Hui Chhoti Si Duniya Hai Meri,

Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise..


Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain,

Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise..


Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar,

Par Har Gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise..


Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi,

Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise..


Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil

Aap Hi Jaan Lo Mujhe,

Kisi Aur Tarha Aapko ShaiL Se Milwaoon Kaise


 Chaha tou bohat lakin woh

Chaha tou bohat lakin woh mile hi nahin


Lakh koshish ki magar yeh faasla mita hi nahin


Is zamane ne majboor hi is qadar kia tha


K meri kisi sada par woh thehre hi nahin !~!


Khuda se jholi phela kar manga tha !~!


ussay Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin !~!


Hur aik se sabab poocha terey na milney ka !~!


Hur aik ne kaha woh tere liye bane hi nahin !~!


Main apni tamam koshishoon k bawajood tujhey har gaya ~!


Aur tu ussay mil gaye jis ne tujhey kabhi manga hi nahin !~! ...


 Naya Ek RABT paida kyoon

Naya Ek RABT paida kyoon karen HUM?

Bicherna Hai to JHAGRA kyoon karen HUM?


Khamoshi se Ada ho RASM-E-DOORI...

Koi Hungama barpa kyoon karen HUM?


Ye Kaafi hai k HUM (HUM'tum ) Dushman nahi hain...

Wfadaari ka DA'wa kyoon karen HUM?


Wafa,Ekhlaas,Qurbani,Muhabbat...

Ab in Lafzoon ka peecha kyoon karen HUM?


Hamari he Tamanna kyoon karo tum?

tumhari he Tamanna kyoon karen HUM?


Kia tha Ahad jab Lamhon main HUM ne...

To saari Umr Efaa kyoon karen HUM?


Mujh main Khushbu basi "Usi"

Mujh main Khushbu basi "Usi" ki hai,

Jese ye Zindagi Usi ki hai...


Wo kahin Aas-Paas hai Mere,

Ho Na Ho,Ye hansi "Usi" ki hai...


Ab to Ye khwab b nahi Mere,

Ab to ye Neend b "Usi" ki hai...


Ya to koi Kami nahi Mujh main,

Ya phir Mujh main kami "Usi" ki hai...



 unhee chahna humari mazbori ban

unhee chahna humari mazbori ban gayi

na chhana bhi ek kamori ban gayi

kaise bhul jaye unhee..

jo toh dil ki har dhakan ban gayee hai.......