Ikrar may shabdo ki ahmiyat

Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,

Dil ke jazbat ki awaz nai hoti,

Ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,

Mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti.


 Apne pyar ko chupana chaha

Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,

Diwane dil pe kabu hum pa na sake,

Aaj itne karib se gujar gaye wo,

Phir bhi unka hath hum tham na sake.


 Hum wo ishq hain jo

Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,

Hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,

Humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho se chalakte hain.


Movie titles related to engg

Movie titles related to engg students:

Exams - socha na tha,

Classes - kabhi kabhi,

Question papers - na tum jano na hum,

Copying - yaarana,

Maths2 - asambhav,

Maths1 - mission impossible,

environmental sciences - pyar mein kabhi kabhi,

1st semester - kuch to hai,

2nd semester - yeh kya ho raha hai,

distinction - kal ho na ho,

1st class - raju bangaya gentleman,

2nd class - dil mange more

Fail - phir milenge.


 khamosh rat ka pehlo ma

khamosh rat ka pehlo ma sitare na hota.in udas ankhon ma rangeen nazara na hota.hum bhi na kerta aap ko sms agar aap iyna pyara na hota.


Phool se pehle khusboo ko

Phool se pehle khusboo ko to dekho,

Karne se pehle kaam ko to dekho,

Kisike roop mein diwana naa bano,

Surat se pehle uske dil ko to dekho,



 Kyun dil ke mere tukde

Kyun dil ke mere tukde kar diye,

Kyun mere aansu ko apni muskan se baha diye,

Gunah kya tha mera bus chahna tumhe,

Kyun meri zindagi me tune dard bhardiye.


Samja do apni yado ko, Wo

Samja do apni yado ko,

Wo bin bulaye pas aaya karti hai,

Aap to dur rehkar satate ho magar,

Wo pas aakar rulaya karti hai.


 husrathom ko lazom mei bayam

husrathom ko lazom mei bayam karna mushkil hei.....

dil ke bathe dil me dabana mushkil hei.....

dil ki bathe bayan hotha hei dilon ke beech.....

aisa dil ka rishtha milna bhi badi mushkil hei.....


 Umra bhar dosti ka bada

Umra bhar dosti ka bada to nahi kiya ja sakta par koshish dil se karege

Ki bafa hi hogi ye faryad rab se karege.


Yun dil ko har ik

Yun dil ko har ik shakhs pe waara nahi karte

aankhon main har ik aks utara nahi karte

Honi hai to hojaye ik baar mohabbat

Ye bhool hai aisi ke dubara nahi karte

Achha hua main ne hi faqat dekha magar yun

mehfil main kisi ko bhi ishara nahi karte

Mil jaye sar-e-raah jo bichhda hua koi

chup chaap hi takte hain pukara nahi karte

kiun pyar ki bazi se ho is darja gurezaan

kehte hain ke dil haar ke hara nahi karte

Kaajal se bhi ab kaam koi lena nahi

Yun dard se aankhon ko sanwara nahi karte.......


“~*~Betaab Nazrain Yun Mili Iqraar

“~*~Betaab Nazrain Yun Mili Iqraar Hum Karne Lage...~*~

~*~Ye Kiya Hua Kion Is Tarhaan Izhaar Hum Karne Lage...~*~


~*~Chalke Howe Jazbaat Kuch Ansoo Bhi Kuch Bikhre Howe...~*~

~*~Ab Qatra Qatra Zindagi Sarshaar Hum Karne Lage...~*~

~*~Shaadab Hain Ankhain Lahoo Se Kuch Gulabii Shaam Hai...~*~

~*~Quose-e-Qaza Rangoo Main Ghuftaar Hum Karne Lage...~*~


~*~Veeraan Kade Main Aa Gayee Jo Wo Baharoon Ki Tarhaan...~*~

~*~In Ke Tasawoor Se Sakhan Gulzar Hum Karne Lage...~*~


~*~Rahne Lage Hain Garizaan Go Tumhare Qarb Se...~*~

~*~Is Ehde Ulfat Se Ghazab Ka Pyaar Hum Karne Lage...~*~


~*~Shama Kyun Shikva Gila Ehle Wafa Theray Jo Hum...~*~

~*~Jalte huwe Sholoo Ka Dariyaa Paar Hum Karne Lage...~*



Apni Zindagi ki her Shaam

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon,

Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon,

Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai,

Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon,

Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon,

Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon,

Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam,

Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon,

Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai,

Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon,

Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai,

Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon.....



 DIL KI BAAT HUM SE

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO

DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO


TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN

KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO

ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM

KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO


HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI

AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO

TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE

BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO


TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA

KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO

CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN

ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO


HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO............



 Likho to pegham kuch aisa

Likho to pegham kuch aisa likho k. Qalam bhi ronay per majbor haye.

Har lafz main dard bhar do itna k.

Parhnay wala pyar karnay per majbor hojay.

By: Sahil khan 03332832007


 Jhuki nazro say pyar mat

Jhuki nazro say pyar mat kana.

Nazar utha kar inkar mat karna.

Rat bhar rotay ho kisi ki yadon main.

or dosro ko kahtay ho kisi say pyar mat karna.



Adat meray gharor ki toti

Adat meray gharor ki toti the aaj yoo.

Aisa laga kisi nay mujhay tor dia ho.

Humnay jo kia ap per gussa tha wo fazool.

Shayad k mainay aap ka dil tor dia ho.



 Likho to pegham kuch aisa

Likho to pegham kuch aisa likho k.

Qalam bhi ronay per majbor hojay.

Har lafz main dard bhardo itna k.

Parhnay wala pyar karnay per majbor hojay.



 Jhuki nazro say pyar mat

Jhuki nazro say pyar mat kana.

Nazar utha kar inkar mat karna.

Rat bhar rotay ho kisi ki yadon main.

or dosro ko kahtay ho kisi say pyar mat karna.



 Eid din aisa aaye ga, Jab

Eid din aisa aaye ga,

Jab tum mujh se poocho gi,

ke tumhare liye kon si cheez ziyaada ahem hai ?

Meri Zindagi Ya Tumhari ?

Main kahon ga!

"Meri Zindagi"

Ye sun kar tum mujh se door Chali jaao gi, baghair ye sooche ke......

"TUM HI TO MERI ZINDAGI HO"



 Aansu aankhon se girnay ka

Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,

Ru'Ba'Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,

Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,

Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,


Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,

Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,


Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,

Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,


Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,

Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.


 Kya batao ye qayamat kya

Kya batao ye qayamat kya hai,

Maine ghabra ke kaha rooth jana tera.

"Maut kehte hai kise", jab mujhse pucha,

Maine ankhe jhuka kar kaha chod jana tera.


majburiya hamari wo jaan na

majburiya hamari wo jaan na sake

farmano ko hamare wo maan na sake

kehte he wo hame mar kar bhi chahenge

jite ji hame jo pehchan na sake

nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune

hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka

bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak

sabab bhi poochne na aaya mere rone ka


Yeh dil tujhe itni shiddat

Yeh dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai

Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle

Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai

Youn to hai kayi fasle tere mere beech

Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai

Teri chahat mein tadapne ki ho chuki hai aadat meri

Tere door hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai

Ye jaanta hoon ke tujhko nahi mohabbat mujhse

Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye

Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai

Mehsoos ki hai berukhi teri baato mein kayi baar maine

Lehja wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai

Hai khabar mujhko nikalegi tu meri chahat ka janaza ek din

Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai

Gar bichadna hi hai to khuda humko milata kyu hai

Mujhko ko akhir wo itna satata kyu hai


 Dil ki dhadkn ruk si

Dil ki dhadkn ruk si gayi hai...

Saase meri tham si gayi hai...

Pucha tha dil ke doctor se humne..

Pata chala is dil mai aapki yaade jam si gayi hai...



 Kabhi nazren milane me zamane

Kabhi nazren milane me zamane beet jate hain,

Kabhi nazren churane me zamane beet jate hain

Kisi ne ankh b kholi to sonay ki nagri me,

Kisi ko ghar banane me zamane beet jate hain


Kabhi kaali siyah raaten hamen ek pal ki lagti hain

Kabhi ek pal bitane me zamane beet jate hain


Kabhi khola jo darwaza to khari thi samne manzil

Kabhi manzil ko paane me zamane beet jate hain.../



 Tu Paas Bhi Ho Tu

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai

K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai ,


Woh Dor Ho Tu Baja Terk -e- Dosti Ka Khiyal

Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai


Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se

Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai


Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain

K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai..



 Barsaat ki bheegi raaton mai

Barsaat ki bheegi raaton mai pir koi suhaani yaad ayi ,

Kuch apne zamana yaad aaya kuch unki jawani yaad aayi,

Hum bhool chuke they jisne Hume duniya mai akela chor diya ,

Jab gaur kiya tau ek surat jaani pehchaani yaad aayi..



 Tera qasoor nahin mera tha mein

Tera qasoor nahin mera tha

mein tujh ko apna samjha tha...

dekh ke tere badle tewar

mein to usi din ro betha tha...

ab mein samjha ab yaad aaya

tu us din kion chup chaap sa tha...

tujh ko jana hi tha lekin

mile bagair hi kiya jaana tha...

ab tujhe kia kia yaad dilaoon

ab to woh sub kuchh hi dhoka tha...

wohi hoi hai jo honi thi

wohi mila hai jo likha tha...

dil ko yun hi sa ranj hai warna

tera mera saath hi kiya tha...

kis kis baat ko raoon "SaaMer"

apna kehna hi itna tha


 Chehrey pey zarb-e-zaieefi ka rang

Chehrey Pey Zarb-E-Zaieefi Ka Rang Hai

Aaina Bhi Jo Saamney Laaein To Sang Hai


Wo Kya Jwaab Dein Tere Lehjey Ki Kaat Ka

Jin Ki Smaa-Aton Pey Tgaafil Zang Hai


Ehsaan Kar Rahe Ho Jataaney Key Waastey

Is Tor To Qabaayey Sakhaawat Bhi Nang Hai


Ghbra Key Hum Mout Talab Ki To Ye Khula

Marney Ka Haq Usey Jinhein Jeeney Ka Dhang Hai


Youn Hee Kisi Ko Chaahna Aur Itna Chaahna

Allah Is Pey Meri Aqal Dang Hai


Ye Soch Kitni Sochein Nigal Kar Jawaan Hui

Har Maahi-E-Khayaal Ko Wakhsh Nahang Hai


Aankhon Ka Zoam-E-Zabt Kahan Tootta Magar

Is Seel Ko To Daaman-E-Dariyaa Bhi Tang Hai


Ye dil to abhi tak hai tumhara usey kehna

Ye dil to abhi tak hai tumhara usey kehna

Mai haar gaia pyar na haara usey kehna


Sochon se abhi tak tera peraahan-e-ulfat

Utra na kabhi mai ne utaara usey kehna


Khuwaabon mein wohi hai teri mehtaab c soorat

Aankhon mein wohi ashk sitaara usey kehna


Mujh ko teri yaadon key bhanwar mein bhi sakoon hai

Maanga hee nahi mai ne kinaara usey kehna


Jazbon ka gala ghont key jee sakta hoon lekin

Ye baat nahi mujh ko gawaara usey kehna


Ye sach hai key ik pal bhi teri yaad sey hat kar

Guzra na kabhi mai ney guzaara usey kehna


Ae Najam usey kehna key ghar lout bhi aao

Ye dil bhi to ik ghar hai tumhara usey kehna


 Her Ik Sawal ka Us

Her Ik Sawal ka Us ko Jawab Kia Deta

Apni Zaat Ka Us ko Hisaab Kia Deta


Jo Aik Lafz Ki Khushboo Nah Kr Saka Mehfooz

Main Us Kay Hath Main Poori Kitaab Kia Deta