geeli aankhen sukhaane ki tamanna

geeli aankhen sukhaane ki tamanna hai.....

sab kuch sach batane ki tamanna hai.....

chahe fir kabhi na mile wo zindagi bhar.......

bus ek baar usse baho me paane ki tamanna hai......


 Mujhe naaz hai ke too

Mujhe naaz hai ke too mera pyar hai...

Tum ho to mujhe jine ka armaan hai...

Tumhe milne se dil khil uthta hai...

Meri zindagi ki ek toohi pahechaan hai...

Tere siwa mujhe kisi se kya kaam hai...

Tere bina mera jina bhi bekaar hai...

Mujhe naaz hai ki toohi mera pyar hai


 Wajah koi nahi lekin ..... Woh

Wajah koi nahi lekin .....

Woh mujh se har waqt naraz rehti hai ....

Kahin raste mein mil jaye .....

To nazren pher leti hai .....

Koi us se mera haal poochey.....

To us se rooth jati hai ....

Kabhi baaton baaton mein ....

Jo mera zikr aa jaye ....

Chali jati hai uth ker woh ....

Woh mujh se itna chidhti hai....

Ke ab to sochta hoon main ....

Kaheen mujh se ....

"Mohabbat to nahi us ko"


 har darkhan k saath dil

har darkhan k saath dil tere nam leta hai,

tere khayal meri toti sanson ko tham leta hai,

jb b tanhaiyan satati hain,

tere tassawor mere hath tham lete hai


 Phoolon Se Puchho Isme Singar

Phoolon Se Puchho Isme Singar Kitna Hai

Mere Dil Se Puchho Isme Pyar Kitna Hai

Saaye Ki Tarha Tumhara Pyaar Saath Rehta Hai

Tumhare Saath Guzra Hua Har Lamha Yaad Rehta Hai



 meri zindgi k raz mai

meri zindgi k raz mai ek raz tum b ho.......

meri bandgi ki payas mai ek pays tum b ho...........

tum kya ho?

kuch ho ya nahi ho........

meri zindgi k KASH mai ek KASH tum b ho.....!!!!1



 Ek aur raat chali gayi

Ek aur raat chali gayi zindagi se,

Ek aur din aa raha hai zindagi me;

Yeh mat socho ke kitne lamhe hai zindagi me,

Yeh socho ke kitni zindagi hai har lamhe me.


 yaad tumhari na aaye aise

yaad tumhari na aaye aise hum hone na denge,

sarafat se contact main rahne wrna raatvar sone na denge.

Miss u lot what u did??????



 hum ahl-e-mohabbat par woh waqt

hum ahl-e-mohabbat par woh waqt bhii aaye hein

khud qatl huwey aur qaatil kahlaaye hein


roye to hai ruswaai chup rahne pe dam TooTe

phoolon ke ewaz hamnein woh zakhm bhii khaaye hein


apnon ki mohabbat kii itni sii haqiqat hai

jitna bhii gale miliye utne hii paraye hein


is daur mein 'barham' bach kar bhii kahan jaayein

jo aag baraste hein woh apnon ke hii saaye hei


 mahsus kar mujhe tu, kabhi

mahsus kar mujhe tu, kabhi paas aa ke dekh

mere jahan-e-dil meiN apna ghar basa ke dekh


koi aisey ajnabi bhi nahiN is shahr ke log

kuchh keh to ranj-o-gham ki, sab ko suna ke dekh


hamshakl ho gaya hai mere gham ka, tera gham

tu mere dil ko apna aayina bana ke dekh


yeh farq dair-o-harm ka nazroN ka bharam hai

tu deengah se apni, bahar to aa ke dekh


jab ranjishoN meiN kat gayee, ab na fareb kar

waqt aakhiree hai, ab na muskura ke dekh


khamosh sun rahey haiN hum, sarghoshi-e-bahar

aatey haiN apne gaaoN se jhoNkey hawa ke dekh


maiN muNtzir huN roz-o-shab, aiy dard-e-do_jahan!

be-dard, jab bhi waqt miley, aazma ke dek


 Tum bohat Payri ho,Kia is

Tum bohat Payri ho,

Kia is waja tmhe me chahta hun?

Bs tum hi mjh ko kafi ho

The reason i Love you is 'You'.



 Mjhe maloom ho jai this

Mjhe maloom ho jai

this is my last breath,

Me bol dun ke mjhe tjh se pyar he:

even beyond death.

Mjhe maloom ho jai:

your face would be the last I'd see,

Me teri lakho taswer utaaro:

and save them just for me.


 Usool Bech Ke Masnad Khareednay Walo'n

Usool Bech Ke Masnad Khareednay Walo'n,

Nigah-E-Ahl-E-Wafa Mein Bohat Haqeer Ho Tum,

Watan Ka Pas Tumhein Tha Na Ho Sake Ga Kabhi,

Ke Apni Hirs Ke Bande Ho Be-Zameer Ho Tum.