Is sham ki tanhai se

Is sham ki tanhai se is dard ki gehrai se ye dil kuch baat kar raha hai zara samjho in fizaon ki chubhan ko aaj fir tumhain koi yaad kar raha hai.


Ye hichkiyan kyun mujhe aane

Ye hichkiyan kyun mujhe aane lagi hai. Fizaon se bhi siskiyan aane lagi hain ye sochkar dil hai bahut khush ki yaad meri bhi kisiko satane lagi hai.


 Milke bichadna dastoor hai zindagi

Milke bichadna dastoor hai zindagi ka ek yahi kissa mashoor hai zindagi ka beete hue pal kabhi lautkar nahi aate yahi sabse bada kasoor hai zindagi ka.


Do kadam to sabhi chalte

Do kadam to sabhi chalte hai par zindagi bhar ka saath koi nahi nibhata agar rokar bhulaye jaati yaadain to haskar koi gum na chupata.


 Sabhi nagme saaj pe gaye

Sabhi nagme saaj pe gaye nahi jate sabhi log mehfil me bulaye nahi jate kuch pass rehkar bhi yaad nahi aate aur kuch dur rehkar bhi bhulaye nahi jate.


 Baagon main phool khilte rahenge.

Baagon main phool khilte rahenge. Raat main diye jalte rahenge dua hai khuda se aap khush rahe hamesha baaki hum tou hamesha tang karte rahenge.


 Excellent mind khubsurat chehra mithi

Excellent mind khubsurat chehra mithi awaj masum aankeh perfect personalaty khush mijaj andaz ye to hui mere baat or batao tum kainse ho.


 Jane anjane me agar hamne

Jane anjane me agar hamne apka dil dukhaya kasht pahuchaya taklif di pareshan kiya aur jo bhi kiya us ke liye aap se jo bane vo kar lo hum nahi sudhrenge.


 Har pal tufano ka shor

Har pal tufano ka shor ho raha hai. Aapke sms ke bina dil bor ho raha hai. Ap to aate nahi aap ke sms kya hamara rista kamzor ho raha hai.


 sms na karke kya jataoge.

sms na karke kya jataoge. Itne paise bacha ke kya tajmahal banaoge. Aur tajmahal bana bhi liya to hume pata hai use ko bhi aap kiraye pe hi chadhaoge.


 aur kuch nahi chaiye ek

aur kuch nahi chaiye ek muskan hi kafi hai dil main bus arman hi kafi hain armaan hai ye ki aap sada khush raho hume yad rakhna, aapka ye ehsaan hi kafi hai.


 zindagi ne khushiyon ko aaj

zindagi ne khushiyon ko aaj pukara hai sada muskurao aapka har gum humara hai phool khilte rahe zindagi me apke kanto ke liye daman humara hai.


 milkar bhichadna dastoor hai zindagi

milkar bhichadna dastoor hai zindagi ka ek yahi kissa mashoor hai zindagi ka beete hue pal kabhi lautkar nahi aate. Yahi sbse bada kasoor hai zindagi ka.


 kisi ne dil badal liya

kisi ne dil badal liya kisi ne dhadkan badal le aapke paas kuch bhi nahi tha badalne ko to aapne mandir me jakar chappal badal le. Very bad.


 duriyan bahut hai par itna

duriyan bahut hai par itna samajh lena ki paas rehkar hi koi rishta khas nahi hota aap dil ke pass itna ho ki durion ka bhi ehsaas nahi hota.


 har baat samjhane ke liye

har baat samjhane ke liye nahi hoti zindagi hamesha pane ke liye nahi hoti yaad aksar aati hai apki par har yad jataane ke liye nahi hoti.


dosti naam hai sukh dukh

dosti naam hai sukh dukh ke afsane ka, dosti raaj hai sda muskurane ka yeh koi pal pal ki ristedari nahi dosti to farz hai umar bhar saath nibhane ka.


mana ye waqt hame yaad

mana ye waqt hame yaad karne wala nahi par bewaqt hi yaad kar liya karo mana aapke aas pass sari duniya hai kabhi humari kami ka bhi ehsaas kar liya karo.


love start with a smile

love start with a smile grows with a kiss and ends with a tear but friendship start with eyes grows with an understanding and ends with death.


 tumhari dosti ka sila har

tumhari dosti ka sila har hal me denge khuda bhi mange ye dil to use taal denge agr dil bhi kahe ki tum bewafa ho to ise bhi seene se nikal denge.


 wo bewafa hamara imtihaan kya

wo bewafa hamara imtihaan kya legi milayegi nazron se nazar ko nazar jhuka legi. Use meri kbr pr diya jalane ko mat kehna wo nadan hai dosto apna haath jala legi.


 bhul se agar bhul ho

bhul se agar bhul ho jaaye to bhul samjhkar bhul jaane bhulana sirf bhul ko bhulkar bhi hume mat bhul jana.


 Kabhi patjhad mein bahar aati

Kabhi patjhad mein bahar aati hai

kabhi bahar mein bhi phool nahi khilte

kisi ki laash par banta hai tajmahal

kisi ki laash ko kafan nahi milte


Hum ko kiske gam ne

Hum ko kiske gam ne maara ye kahani phir sahi,

kisne toda dil hamara ye kahani phir sahi,


Dil ke lautne ka sabab puchho na sab ke samne,

naam aayega tumhara ye kahani phir sahi,


Nafraton ke tair kha kar doston ke shaher mein

hum ne kis kisko pukara ye kahani phir sahi,


Kya batayein pyar ki baazi wafa ki raah mein,

kaun jeeta kaun haara ye kahani phir sahi,


Hum ko kiske gam ne maara ye kahani phir sahi,

kisne toda dil hamara ye kahani phir sahi...


 Waqt tow hame bhula chuka

Waqt tow hame bhula chuka hai

kahi muqaddar bhi na bhjula de

pyaar hum isliye nahi karte kyunki

darte hain koi phir se na rula de


Ye aur baat hai ke

Ye aur baat hai ke unhe fursat hi nahi

aye mere dil yun na toot jaya kar


kyon taraste ho unke liye

unki nazron me teri koi aukaat hi nahi,


anjaane me labon pe aa gayi ye baat

warna to hamein shikwon ki aadat hi nahi


Umr guzar di teri chahat me is tarah,

jaise badh ke tujhse koi ibaadat hi nahi,


ab ban ke nadaan baithe hai wo yun,

dil tod dena jaise koi baat hi nahi...


 Ulfat mein kabhi ye haal

Ulfat mein kabhi ye haal hota hai

aankhen hansti hai magar dil rota hai

maante hai jise hum manzil apni

humsafar uska koi aur hota hai


 Wo mujhe bhool jana chahta

Wo mujhe bhool jana chahta hai,

wo mujhse door bahut door jana chahta hai...


Bas kuch rasmein hai, jo wo

Bas kuch rasmein hai,

jo wo nibha kar jana chahta hai,

bas kuch wade hai

jo wo tod kar jaana chahta hai


 mere dil me kuch mithi

mere dil me kuch mithi yaadein hai

kuch gaye wakton ki baatein hai

wo in sab baaton ko in yaadon ko

mere zehen se mita kar jaana chahta hai,


 wo jo usne ek ek

wo jo usne ek ek eint jod kar

pyar bhara ghar banaya tha mera

wo use mujhse cheen kar

kisi aur ke hawale kar ke jaana chahta hai,


 Wo jo chahta tha wo

Wo jo chahta tha wo rahe sirf mera bankar,

wohi mera deewana mujhe chhod kar jana chahta hai,


wo mujhse door bahut door jaana chahta hai

wo mujhe bilkul bhool jana chahta hai...


 Raaston se kankar hata nahi

Raaston se kankar hata nahi sakte

apni pehchaan unko bata nahi sakte

zindagi ki raah mein bane the humsafar

kyun wo ye pyaar nibha nahi sakte


 Kya kya baatein wo apni

Kya kya baatein wo apni tehreer me likhti hai,

ek nayi takdeer meri takdeer me likhti hai,


wo aisi hamdard ke apne pyar ke saare lafz

mere haathonki lakeer me likhti hai,


koi raaz chhupana shayad pasand nahi use,

wo apna har khwab khuli tabeer me likhti hai,


main uska ek man-chaha qaidi hoon isiliye

naam mera wo zulfon ki zanjeer me likhti hai,


bol uthe ek ek ta'assur us ke chehre se,


Saari kahani wo apni tasveer me likhti hia,


khoob chehekti hai wo khat ke pehle hisse mein,

lekin dil ki sachhi baat aakhir mein likhti hai,


jis khoobi se pehchana jaye koi shakhs,

qudrat wo khoobi uske khoon-e-khameer me likhti hai...


 Jawani ko zindagi ka nikhaar

Jawani ko zindagi ka nikhaar kahte hai

patjhad ko chaman ka majdhar kahte hai

ajeeb chalan hai duniya ka yaaro

ek dhokha hai jise hum sab pyaar kahte hai


 Gamon ko mujhse ek chahat

Gamon ko mujhse ek chahat is ho gayi hai,

main udaas nahi, udaas rehne ki aadat is ho gayi hai,


ye kaisa wakt aya hai ke subah bhi so gayi hai,

kudrat se shayad roshni hi kho gayi hia,


jane kyon wo mujhse ajnabi as ho gaya hai,

lagta hai aisa ke phoolon se khushbu hi kho gayi hia,


ye kaisi hawa mere jism ko chhu gayi hai,

ukhdi ukhdi saans bhi be-rubt ho gayi hai,


Kyon zindagi ki raat itni taweel ho gayi hai,

mujhse shayad pyar ki bhool ho gayi hai,


ab to duniya bahut khush ho gayi hai,

saans to chal rahi hai lekin rooh saath chhod gayi hia...


 Ser main safhed bhaal-si lagthi

Ser main safhed bhaal-si lagthi hai zindagi

Chechak sareekhe gaal-si, lagthi hai zindagi !!

Aaye tho kaise raas, mujhko aaye zindagi

Makhdi ke bhune jaal-si, lagthi hai zindagi !!


Janm se jho pyaar ki

Janm se jho pyaar ki hai pyaasi aaj tak

Sukhe ki ek misaal-si, lagthi hai zindagi !!


Lapetne se laab nahi, jisko jara bhi

Tar-tar shaal-si, lagthi hai zindagi !!


Trahii ke alawa,na likha kuch bhi bhagya main

Bhaad aur aakaal-si, lagthi hai zindagi !!


Prashna main koyee bhi kabhi ker saka na hal

Ruby jhateel sawaal-si, lagthi hai zindagi !!


Bin uske zindagi dard hai

Bin uske zindagi dard hai tanhayi hai,

meri aankhon mein kyon maut simat aayi hai,


kehte hai log ishq ko ibadat yaaron,

ibadat me phir kyon ruswayi hai,


wo na aaya to dil ko lubhane ko mere,

shab-e-hijar me uski yaad chali aayi hai,


mehfil mein reh kar bhi tanha rehna,

ye ada uski mohabbat ne sikhlayi hai,


ye bhi uski mohabbat ki inayat hai yaaron,

main tamasha bana aur duniya tamashayee hai,


intezar me kisike na raat ko barbaad karna,

doobte taaron ne mujhe baat ye samjhayi hai,


 usse taaluk hi kuch aisa

usse taaluk hi kuch aisa raha hia doston,

jab bhi socha use aankh bhar aayi hai...

Aao kutch kadam hum sath chale

rahe adam mein gale mille

kutch tum kaho

kutch hum kahe

hum sabke dil mein tum raho

tumhare dil mein hum rahin

aao kutch kadam hum sath chale