If you have a girlfriend, boyfriend, wife, husband...a secret lover. Then these cute love messages  and love quotes are for you. Romantic text messages galore find the perfect message to send to your lovers Mobile Phone.

Tum Kehti Ho Mujhay.... Phoolon

Tum Kehti Ho Mujhay....

Phoolon Say Pyaar hai....?

Magar Jab Phool Khiltay Hain To Unhain Tehni Say Tor Dalti Ho....

Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai...?

Magar Jab Baarish Hoti Hai To Chuppti Phirti Ho....

Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?

Magar Jab Hawa Chalti Hai Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho...

Phir Us Waqt.... 

Main Khof Zada Sa Ho Jata Hoon Jab Tum.....

Mujh Se Kehti Ho Mujhay Tum Say Pyar Hai......

---

Bus yunhi Hansi Hansi Main Loug Diloun

Bus yunhi

Hansi Hansi Main Loug

Diloun Se Khail Jatey Hain

Koi Teekhi Baat

Koi Chubhta Hua Lehja

Koi Zeher Alood Jumla

Koi Zoo Mani Si Baat

Dil Main Zakham Laga Jati Hai

Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug


Ye Jantey Huay Bhi Keh Jism

Ye Jantey Huay Bhi

Keh Jism Ka Zakham Gehra Naheen Hota

Bhar Hi Jata Hai

Per Zaban Sey Lagaya Hua Zakham

Dil Main Uter Jata Hai

Phir Kitney Hi Talaafi Key Marham Lagao

Madham Naheen Hota

Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug

Diloun Se Khail Jatey Hain.

---

AASUON KO BAHOT SAMJHAYA, KE

AASUON KO BAHOT SAMJHAYA,

KE TANHAIYON MAIN AAYA KARO,

MEHFIL MAIN HUMARA MAZAK MAT URAYA KARO,

IS PER AANSOO TARAP KER BOLE,

ITNE LOGO MAIN BHI AAPKO TANHA PAATE HAI,

ISILIYE TUMHARA SAATH DENE CHALE AATE HAI..

---

Tumhari yaad arahi hai, pal

Tumhari yaad arahi hai, pal pal roola rahi hai

meri tanhie bhi aj bohat sata rahi hai

rastay bhi hain ab sunay,der bhi hain veran

khamoshi bhi aj tum ko khud hi pokar rahi hai

tumhari har baat say mehsoos kuch un hota hai

jasay kisi phool ki khushboo sara alam mehka rahi hai

tumhari yaadoon kay saharay din raat ghuzartay hain

jasay andehray main kahin roshni jagmaga rahi hai

qadam qadam par muj ko ehsas yeh hota hai

jasay koi manzil khud mujay bola rahi hai

"RUKH" ab to aksar mujay ghoman kuch un hota hai

Hawa bhi jasay us say mil kar pegham wafa kay la rahi hai

---


Yahan sabko miley pyar ye

Yahan sabko miley pyar ye zaroori to nahi hai

Ho qismat par ikhtiyar ye zaroori to nahi hai

Dard Dil mein agar hoo tho rooh roti hai

Aankhein roye zaar zaar ye zaroori to nahi hai

Phoolon ki chubhan see joo daman howa chalni

Ho usmey koi khar ye zaroori to nahi hai

Jo harghari khatey hain sang marney ki kasmein

Ho sang jeeney ko taiyaar ye zaroori to nahi hai

Umeed mee jiski teri palkein howi pathhar

Usey hoo tera intezar ye zaroori to nahi hai

Yaqeen karke jis ko apni zindagi banown

Usey tujhpar hoo aitbar ye zaroori to nahi hai

Band ker rona khwab badnaseebi par apney

Ziist see hoo sab bezar ye zaroori to nahi hai

---

Tanha raat hai aur tanha

Tanha raat hai aur tanha safar bhi hai

khamosh tum bhi hoo,khamosh hum bhi hain

tumhain panay ki arzoo main....

aklay tum bhi hoo,akalay hum bhi hain

neendoon kay safar par janay say....

la taloq tum bhi hoo,la taloq hum bhi hain

is bhari duniya say...........

be zar tum bhi hoo,be zar hum bhi hain

un lafzoon ko samjnay ko.........

be karar tum bhi hoo,be karar hum bhi hain

mohbbat ka "RUKH" mornay main.....

ba kamal tum bhi hoo,ba kamal hum bhi hain

---

mein chahti hon tum ko

mein chahti hon tum ko iss qadar

koi aur mil jaey tu dekhon naa mur kar

tujh bin zindagi ka tasawar hi nehi hai

tere sang ho zindagi aisa bi koi scene nehi hai

mohabbat hai mujh ko sirf tum sey sanam

sach keh rahi hon mein tumhari qasam

jhot mein agar kahon tu, tu mar jaey

a kash mujh ko shahrukh khan mil jaey


iss dunya mein, tum he

iss dunya mein, tum he sab say haseen ho

mein aur kahon jhot kitna, ke tum ko yaqeen ho

bas tere he sang jo meri zindagi

acha nehi ke mein kar lo khudhkoshi

rooz khawab mein nazar aatay ho tum

kio mujhey neend mein bi daratay ho tum

ab tu tere bin jeena ho gaya hai mushkil

haan ghar ke liye chahiye nokar(servant) mustakil

dekho mujhey hai kitna pyar tum sey, ab tu haan karo

agar ab bi hai inkaar tu yeh letter agay pass karo


---


NA JAANE KYUN DIL KI

NA JAANE KYUN DIL KI YE KHWAHISH HA

WO MERI HAR BAAT JAAN JAE BINA KUCH KHE


LARKI KAHAN SAY LAOON MAIN

LARKI KAHAN SAY LAOON MAIN SHADI KAY WASTAY

SHAYAD K IS MAIN MERAY MUKADDAR KA DOSH HAI

SAMIMA, SUMERA, TASNEEM BH GAI......

IK SHAMA REH GAI HAI SO WO BE KHAMOSH HA


Jo...... Ho.... Gaya..... Wo.... Ho....

Jo......

Ho.... Gaya.....

Wo.... Ho.... Gaya.....

Jo.....

Hona.... Hoga....

Wo.... Hoga....

Aur .....Jo

Nahi... Hona... Hai

Wo.... Nahi.... Hoga....

Kyunki... Jo...

Hona.... Hai...

Wo... To..

Hoga... Hi.... Hoga....

Ab... Dekhna.... Hai....

Ki.... Kya....

Hoga.....?...

Aur....

Kya....Nahi....

Hoga....

Hone.... Ko.... To...

Kuch..... Bhi.....

Hoga....

Yahi.... Sochna.... Hai....

Ki... Kya...

Hoga......?

Aur..... Kya... Hoga....

Agar...

Kuch..... Hoga.... To.....

Theek... Hoga....

Aur....

Nahi.... Hoga....

To.... Bhi...

Theek.... Hoga....

Theek... Hoga... To....

Kis... Kaaran.. Se....

Hoga....

Aur....

Kaaran... Hi....agar...

Theek....Nahi... Hoga...

To.... Kuch.. Copyright www.lovelysms.com

Kaisey... Theek.... Hoga.....?...

Ab.... Aap.... Batao.... Keh...

Aagey.....

Kya... Hoga?....

Kisi....

Aur....

Ko...

Bhejiega,....

Acchha....

Time.... Pass....Hoga.....


Yeh Degree bhi lelo, Yeh

Yeh Degree bhi lelo, Yeh Naukri bhi lelo,

Bhale mujhse lelo who US ka Visa,

Magar mujhko lauta do college ka canteen,

Who TeeKha Samosaa, Who thanda saaa paani,

Who Teekha Samosa, Who thanda saaa paani

Who College ki sabse - purani nishaanee,

Who chai vaalaa jisko - saare kehte the...jaani,

Who jaani ke hathon - ki 'cutting' chai meethi,

Who chup-kese journal - mein Jo bheji thi chitthi,

Who padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,

Who chehre ki laali, who aankhon kaa gussaa

Who teekha samosa, who thanda saaa paani..


Kadi dhoop mein - apni

Kadi dhoop mein - apni room se nikalnaa,

Who project ki Khatir - tha Dar Dar bhataknaa ,

Who lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,

Who sir ko chidana, aeroplane udaanaa,

Who submission ki raton - ko jagna jagaanaa,

Who vivas ke kisse, who pracs ki kahani....

Who teekha samosa, who thanda saaa paani.


Who dena Bimaari - ka

Who dena Bimaari - ka har time bahana,

Who doosron ka assignment - ko apnaa banana,

Who seminar ke din - pairon ka chat-patanaa,

Who workshop mein din bhar - pasinaa bahanaa,

Who slogans banana - aur Gym me rakhadna,

Phir Exam ke din ko ?" tha bechain hona,

Who teekha samosa, who thanda s AAA paani..


College ki thi - who

College ki thi - who lambi is raatein,

Who d oston se tapre pe - pyaari is Baatein;

Who gathering ke din ka Jo ladnaa Jhagadnaa;

Who kudiyon ka yuhin - hamesha akadnaa;

Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi

---


...Paier ko demak lag jay

...Paier ko demak lag jay ya adam zaad ko gham

Ya phir gir jay hanstay bastay shehar p ataom bomb

Ya phir dugnay hajam ki ho jis shaks ki begaam

Charon hi ko amjad hum na bachtay dekha kaam


Niraly hain zamany say meray

Niraly hain zamany say meray mehboob ki baten

Kahen bhi wo mohabbat k selabus may nahe milten

May kehta hoon tere ankhen qilopetra sa milty hain

Wo kehty hai mere ankhen to apas may nahe milteen


Kal parosan say bolay ya

Kal parosan say bolay ya dada

Piyar kasay nibhaeen bachpan ka

Aao hum dono ek hojaen

Tu bhi pachpan ki may bhi pachpan ka


Kitnay kankar hain daal may

Kitnay kankar hain daal may begum

Aik luqma bhi kha nahe sakty

Bollen, din rat paan khaty ho

Chaar kankar chaba anhe sakty


Aap karaen hum say bema

Aap karaen hum say bema choor den sab andehon ko

Is khidmat may sab say barh k roshan naam humaara hai

Khase dolat mil jay ge aap k bivi bachon ko

Aap tasale say mar jaeen baqi kaam humara hai

---

aa bhii jaao kii zindagii

aa bhii jaao kii zindagii kam hai

tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n

shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko

dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa

aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N

bin tere terii 'Yamini' kam hai

---


Tu chandramukhi main surajmukhi, tu

Tu chandramukhi main surajmukhi,

tu mujhse dukhi main tujhse dukhi.

Chatt se chhalang laga de, phir tu bhi sukhi,mein bhi sukhi


AASHIQ KO PHANSWAYA KIS NE?

AASHIQ KO PHANSWAYA KIS NE? LAILA NE...

ABBA SE PITWAYA KIS NE? LAILA NE.....

BHOOK SE MAJNOO MAARA MAARA PHIRTA THA

FAAQON SE MARWAYA KIS NE? LAILA NE.....

MOUT KE KOONWAY KA JO MOTOR CYCLE THA

MAJNOO SE CHALWAYA KIS NE? LAILA NE.....

KEHTA THA MEIN GHORRI CHARRH KER AAON GA

KHOTAY PE BITHWAYA KIS NE? LAILA NE.....

ABBAY KI DHOTI KO, APNE LEHENGAY KO 

PHOKAT MEIN DHULWAYA KIS NE? LAILA NE.....

KEHTA THA KE NUMBER DAAR BANOON GA MEIN

BAAWARCHI LAGWAYA KIS NE? LAILA NE.....

...................................

---


Teri LOVELY EYES Ne Mujpe

Teri LOVELY EYES Ne

Mujpe Ek EFFECT Kiya Hai

Ki Meene Sabko REJECT Karke

Tujko SELECT Kiya Hai

---

Gungat Mein Tujhe Dekha To

Gungat Mein Tujhe Dekha To Dewanna Hua,

Sangeet Ka Taraana Hua,

Shamaa Ka Parwana Hua,

Masti Kamastaana Hua,

Jaise Hi Gunghat Uthaya Is Duniya Se Ravana Hua

---


..Abh ke us ki ankhon

..Abh ke us ki ankhon mien

besabab udaasi thi

abh ke us ke chehray per

dukh tha...behawasi thi


abh ke yun mila mujh se

yun ghazal suni...jese

mein bhi na_shanasa hoon

wo bhi ajnabi jesse


zard khaal o khad uss ke

sogawar daman tha

abh ke uss ke lahjay mein

kitna khudra pan tha


wo ke umer bhar jis ne

shahr bhar ke loogon mien

mujh ko hum sukhan jana

khud se mehrban samjha

mujh ko "Dilruba" likha


abh ke sada kaghaz per

surkh roshnai se

us ne talkh lahjay mein

mere naam se pehle!

sirf "Bewafa" likha.


Daag ansuon se dhoye hain, Jab

Daag ansuon se dhoye hain,

Jab bhi tanha huye hain roye hain,

Dil mein kyonkar na uge yaad teri,

Dil mein tere hi khawab boye hain.

---


Pyaar sab ne rabb nu

Pyaar sab ne rabb nu vakh-vakh ditta,

kise nu lakh te kise nu kakh ditta,

Sahnu tuhade jeha yaar ditta,

lakh ton v sava-lakh ditta.

---

Apni Surat ka kabhi to

Apni Surat ka kabhi to didaar de,

Tadap raha hu kabhi to apna pyaar de,

Apni awaaz nahi sunani to mat suna,

Kam se kam ek Missed call he maar de

---

Agar Jo Dil Ki Sunu

Agar Jo Dil Ki Sunu Gay Tu Haar Jaow Gay,

Hum Jaisa Pyar Phir Kahan Paow Gay,

Jan Daine Ki Baat Tu Har Koi Karta Hai,

Zindagi Bananay Wala Kahan Se Laow Gay,,,

---


Roz-e-mehshar sawal hoon gay: husun wale

Roz-e-mehshar sawal hoon gay:

husun wale kharab hoon gay:

bewafa shumar hoon gay"

pehli saf main janab hoon gay

---


Hum Husn Ke Parwanay Hian

Hum Husn Ke Parwanay Hian Jalnay Se Nahi Darte,

Anjame Mohabbat Ki Parwah Nahi Karte,

Ak Baar Hi Dete Hain Apna Dil Haseeno Ko,

Ak Bar Hi Marte Hain So Bar Bar Nahi Marte,

Jis Roz Se Is Husn Ka Dedar Kia Hai,

Bus Pyar Kia Pyar Kia Pyar Kia Hai,,,,,,

---


Sms Hal Pal Karon Tu

Sms Hal Pal Karon Tu Shararat Hogi,

Agar Na Karon Tu Pareeshani Hogi,

Kabhi Kabhi Kron Tu Pareeshani Hogi,

Par Dil Se Karon Tu Ap Ko Khushi Hogi,


Sochta hon karon kiya main

Sochta hon karon kiya main is dil ka us pal

Jab tum yad aao to dil yah sataee

Yah zalim zamana jo hail hai ham main

Mohabat main pagal dilon ko rolaee

Samjhaon dil ko sabar kar dewanay

Magar yah dewana samajhnay na paee

Karon lakh koshish main apni taraf say

Dedar-E-Sanam bin raha hi na jaee

Poet: Irfan Sunpal

---

God ne tujhe bheja to

God ne tujhe bheja to bheja, lekin behja to aisa bheja ki behje main bheja hi nahi bheja, ye mujhe kise ne bheja, isliye Maine tujhe bheja 

---


"ALLAH BACHAI, MUGHRUR BIWI SE,PURANE

"ALLAH BACHAI, MUGHRUR BIWI SE,PURANE TV SE,DUBAI K SHIEKH SE,NAI KI SHAVE SE,AURAT KI BEWAFAI SE,PURANI MITHAI SE, HARAM KI KAMAI SE AUR"APP KI JUDAI SE"

---


Dil mein basa tha pyaar

Dil mein basa tha pyaar tera,

Wo dil to kabhi ka tod dia,

Badnaam na hone deinge tujhe,

Tera naam bhi lena chod dia.....!

---


Hame maut per bhi hai

Hame maut per bhi hai yaqeen,

Pyaar per bhi hai aetbaar hai,

Dekhte hain pehle kaun aata hai,

Hamein to dono ka intezar hai..........!

---


Socha tha us bewakuf ko

Socha tha us bewakuf ko bhul jaayeinge,

Dekh ker bhi andekha ker jaayeinge,Per

,Jaise hi wo saamne aaye wo hasi chehra,

Socha is baar dekh lein agli baar bhul jaayeinge............!

---


kehte hain pyaar me nind

kehte hain pyaar me nind ud jati hai

chain kho jata hai

na bhook lagti na pyaas lagti

par sach ye hai ki pyaar me hi insaan jeeta hai

---


Saj k sath aawaj Samunder

Saj k sath aawaj

Samunder k sath sahil,

phul k sath khusbu,

jism k sath rooh,

shmma k sath parwana,

khusi k sath gum

aur aap k sath hamesa rahenge hum....

---


Humne Chaand se pooha teri

Humne Chaand se pooha teri Chaandni ka raaz kya hai?

Chaand ne aapki taraf Ishara kar ke kaha, Inhi say pucho jisay dekh kar mein chamakta hoon

---


Ek Swal Aapke Liye, \"HUM

Ek Swal Aapke Liye,


\"HUM AAPKE HAI KON\",

Aapka javab bhi Film ka naam se hona chaihe,

Ye Sub ko bhejo aur dekho kya kya Naam Tumhare Milte hai.

---


Din Mein Chain Nahi, Rat

Din Mein Chain Nahi, Rat Mein Neend Nahi, Jee Na Lage Kahin, Bhukh, Pyas lage Nahi, He Bhagwan kya ye Pyar hai? Bhagwan: Nahi beat yeah Temp ki allamat hain..

---


"hu- ha chig-chang khou-khou yu

"hu- ha

chig-chang

khou-khou

yu kapala-hu kapala

khe kha khuu

khe-phichoo"

'ab apki shapath puri ho gayi'

theek hai ab aap puri tarah se aadi wasi ban gaye hai

'BADHAI HO'

---


palbhar me toot jaye wo

palbhar me toot jaye wo kasam nahi,dosto ko bhool jaye wo hum nahi,

hum tumhe bhul jaye is baat me dum nahi,aur tum Hume bhul jaao

itne bure hum nahi.

---

AB TO LOGON NAY MUHABAT

AB TO LOGON NAY MUHABAT KAY PAYMANAY BNA RAKHAY HAIN,MAIN NHIN PORA UTRTA TO KYA KARON.

---


HAR SAGAR KE DO KINARE

HAR SAGAR KE DO KINARE HOTE HAIN,

KUCH LOG JAAN SE BHI PYARE HOTE HAI

YE ZARURI NAHI HAR KOI PASS HO,

KYONKI ZINDGI KI HAR SOOBHA ME YAADON KE BHI SAHAARE HOTE HAIN...!GOOD MORNING!

---


Chori Chori Yeh Aan Jana

Chori Chori Yeh Aan Jana Chhor Do

Chupke Chupke Yon Nazar Milana Chhor Do

Kisi Din Bohut Pito Gi Unse Tum

Yeh Masjidoon se Jootey Chhorana chhor Do

---


kabhi aati hai khamoshi se

kabhi aati hai khamoshi se raat mein barsat mein veerane anjane mein kis waja se kis liye kiski khatir kis k liye kia batane ye kia hai ek ehsas ek pyas,phir bhi achi lagti hai anjani si beganise pehchani si khubsurat si tumhari"YAAD"

---


Socha naheen accha bura Dekha

Socha naheen accha bura

Dekha suna kuch bhee naheen

Manga khuda say raat din...

Teray siwa..... Kuch bhee naheen!


Dekha tujhey chaha tujhey

Socha tujhey pooja tujhey

Meri wafa meri khata....

Teri khata kuch bhee naheen!


Jis par hamari aankh nay

Moti bichaye raat bhar

Bheja wohee kaghaz usay

Ham nay likha...... Kuch bhee naheen


Ek shaam kee dehleez per

Baithay rahay woh dair tak

Aankhon say kee batain bohat

Munh say kaha.....kuch bhee naheen!


Do chaar din kee baat hay

Dil khak mein mil jaeyey ga

Jab Aag per kaghaz rakha

Baqi bacha ..... Kuch bhee naheen

---


Haalaat mere kuch aisey they

Haalaat mere kuch aisey they ke jinse nikalna mushkil thaa

gairon ki shikayat kya kariye, apnon ko samajhna mushkil thaa

afsos ke hum hain sahraa mein gulshan mein pahunchna mushkil thaa

dauran-e-safar kuch aisey girey ke gir ke sambhalna mushkil thaa

duniya ki hadhon ko chookar hum ik baar wahan phir pahunche hain

chand roz huye jis dar se humein kis darja nikalna mushkil thaa

har waqt naseehat detey hain , har baar karam farmaaye hain

humdard humein kuch aise miley ke dard ka mitnaa mushkil thaa

dariya-e-lahuu mein doob ke hum paani ke liye kuch aise jaley

aankhon se tapaktaa thaa lekin hothon pe pahunchna mushkil thaa

---


MAST LIFE Kone Kevay? RAYMOND

MAST LIFE Kone Kevay? RAYMOND no suit hoy. MERCEDES car hoy. DHIRUBHAI na Banglani bajuma BANGLOW hoy ane TINABEN AMBANI aavine puche "THODO KHAND MALSE?"

---


DILL KI LAGI KIA HAI

DILL KI LAGI KIA HAI KABHI DILL LAGA K DAIKH

KABHI RO K DAIKH KABHI HANSA K DAIKH

PERWANA JAL RAHA HAI TO JAL RAHA HAI KIUN

YEH RAAZ JAN NA HAI TO KHUD KO JALA K DIKAH

---


Sookh Jaate Hain Lub, Lufz

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi

Hota Nahi Humse Ishq Bayaan

Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi

Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan


---


Apne Aagaaz Se Aaaj tak

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi

Teri Hi Yaad Main Gum Rahi

Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai

Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

---

Ek sawal...14FEB VALENTINES DAY ko

Ek sawal...14FEB VALENTINES DAY ko log AISA KYA KARTE HAI KI THEEK 9 MAHINAY BAAD 14 NOV KO "CHILDREN DAY" MANANA PADTA HAI.

---

jab in per mosebat aty

jab in per mosebat aty hai,to hamy yaad kerty hian ghery,bethy,leetay,aur jab hum in ki mosebat door kerty hian,too bool jaty hian jassy in per kabi aye he nahi(surah Youns:ayat:9


Nahin Shaam e Safar Aisa

Nahin Shaam e Safar Aisa Nahin Hai

Musafir Lout Kar Aya Nahin Hai

Hum Itnay Dukh Main Bhi Bikhray Nahin Hain

Humara Haal Tum Sa Nahin Hai

Main Aaisay Shehar Main Tanha Khara Hoon

Jahan Tanhai Bhi Tanha Nahin Hai

Mere Jaisa Tha Na Abad Koi,,

Mera Jaisa Koi Ujra Nahin Hai 

Tumharay Naam Ka Aansoo Kabhi

Humari Aankh Main Thehra Nahin Hai

---


7+3=11 kaise aya socho.................aur socho

7+3=11 kaise aya socho.................aur socho ..... batado...galti say

---


bhool kar bhe na kabhi

bhool kar bhe na kabhi bhool paayengay

chaha hai tumhein aur buhat chahyengay

yhe ulfat kee raahein hain ay hum dam

chor kar essy bhala hum kahan jayengay

palkon pay totay chand khowab suhaanay

ummed ke neendon se inhen hum milayngay

insaan hain jeenay ki tamnna hai hum ko

tamnnaon kay deep bas hum jalayeingay

aao meree zindagee main bahar ban kay

phoolon saa bahon main tumko sajayengay.......meri jan love u hamesha.omer 4 ..aj..


Zarurat he nahi Alfaaz ki,

Zarurat he nahi Alfaaz ki, Dosti to cheez hai bas Ehsaas ki, Paas hote to Manzar he kya Hota, Door Se hi Khabar Hai Hume Apki Har saans Ki,,

---


karam karo ya sitam karo

karam karo ya sitam karo

ham ya gila nahi kartay

yaqeenan khizan main

phool khilay nahi dartay

laakh thukrao hamain lakin

ya yaad rahay ham jaisay log 

dobara milay nahi kartay


---