If you have a girlfriend, boyfriend, wife, husband...a secret lover. Then these cute love messages  and love quotes are for you. Romantic text messages galore find the perfect message to send to your lovers Mobile Phone.

Hum hi me thi wo

Hum hi me thi wo baat,

Jo yaad naa tum ko aa sake,

Tum ne hume bhula diya,

Par hum tumhe naa bhula sake.


Hum ne to jaan loota

Hum ne to jaan loota di pyaar me,

Mehboob ne hi dhokha de diya,

Hum ne to khushiyaan maangi thi,

Uss ne hi zindagi bhar kaa gum de diya.


Kabhi-kabhi dil zaroor roota hai,

Kabhi-kabhi dil zaroor roota hai,

Jab koi mill kar nazroon se door hota hai,

Iss liye rooti hai kambakth aankhe,

Kyun ki dil se zyada inn ka kasoor hota hai.


Mehfil bani rahe yuhi tumhari,

Mehfil bani rahe yuhi tumhari,

Chahe bikhar jaaye ye zindagi humari,

Deewangi iss kadar ban gayi hai,

Ke seh naa paaye ek pal judaii tumhari.



Teri berukhi dekhi zamane ka

Teri berukhi dekhi zamane ka gum dekha,

Zamane ki tadap dekhi judaii kaa gum dekha,

Hazaaroon gardishe tooti,

Naa hum toote ne ye dil toota.


Dil ki chotoon ne kabhi

Dil ki chotoon ne kabhi chaine se naa rehne diya,

Jab chali sard hawaaye maine tujhe yaad kiya,

Iss ka roona nahi kyun tumne yaad kiya,

Iss ka gum hai ki bahut daer me barbaad kiya.


Palkon pe sapne saja lein,

Palkon pe sapne saja lein,

Tum kaho to muskura lein,

Ye zindagi-zindagi si lage,

Agar hum tumhe paa lein.


Log kehte hai mohabbat me

Log kehte hai mohabbat me hum mar jaayeinge,

Raah kaisi bhi ho hum guzar jaayeinge,

Tum sitam karke mohabbat ko naa mite paaoge,

Hum sitam seh kar bhi tere dil me utar jaayeinge.


Zamin me koi nami nahi

Zamin me koi nami nahi hai,

Phoolon ke aanchal me koi kami nahi hai,

Meri mohabbat ko thukra naa dena,

Kyun ki meri mohabbat me koi kami nahi hai.


Unhe bhi hum se mohabbat

Unhe bhi hum se mohabbat ho zaruri to nahi,

Ek si dono ki halat ho zaruri to nahi,

Badli-Badli si nazar aati hai duniya hum ko,

Iss me unki bhi inayat ho zaruri to nahi,

Jiss ko kehte hai mohabbat hai khuda ki nehmat,

Sab ki kismat me ye daulat ho zaruri to nahi,

Chand chunn-ne ki tamanna to hum ko bhi hai,

Magar door kaa chand haqiqat ho zaruri to nahi.


Khwaboon mein tera chehraa parhtaa

Khwaboon mein tera chehraa parhtaa hoon, Khawaab ko haqeeqat banaoon kaise !!! Ikhteyaar mein mere ab kuch bhi nahin, Akele ik aashiyaan banaaon kaise !!! Bekhudi ki yeh to ibtedaa hai, Intehaan ki hudd tak jaoon kaise !!! Meri ghazalein hain tumhaara aainaa, tanhaayee mein ab nazm banaoon kaise !!!


sWo Apne Ishq Mai Kesa

sWo Apne Ishq Mai Kesa Kamal Rakhta Hai

Ke Be-Rukhi mai bhi Mera Khayal rakhta hai


Wo Aaj nahi Mera, Wo Lal Mera hoga

Ke her Zamana Urooj-o-Zawal rakhta hai


Tera Khayal hi kuch Meharban hai warna

Jahan mai kon kisi ka Khayal rakhta hai


Ek Sar-Sari Nazar Wo Mujh pe bhi daal de

Ae Rab-e-Zuljlal! ! use itna Khayal de


Itna bhi Urooj kia k Wo mil hi na sake

Wo ho sake Mera use itna Zawal de


Poochti hogi hawaon se mera

Poochti hogi hawaon se mera haal e dil woh

Uski galiyon se hawa jab bhi guzarti hogi.

Apne seene se laga kar meri tasveer ko

woh Aahen raaton ko mere pyar mein bharti hogi.

Jhooti aane ki khabar paake wohmeri "SaaMer". Kabhi sajti to kabhi aur sanwarti ho gi..


Badalna ata nahi humko mousamon

Badalna ata nahi humko mousamon ki tarha

Har ek roop main tera intezaar karte hain

Na samait sakogi jise qayamat tak

Qasam KHUDA ki tumhain itna pyar karte hain


Jane Kya Zehar Chupa Hai

Jane Kya Zehar Chupa Hai Teri Ankho me, Batein Krtai Hoe Gum Ho jata hoon Teri Ankho me, Jo Hoti Hai Chahat mere dil me mehsoos mujko Wo hi mehsus krna chahta hoon teri ankho, Ek bar Sirf Ek bar Keh do k tum meri ho me bhi doob kr kr dun ga izhar-e-mohabbat teri ankho me.....


meray qareeb to aao bohat

meray qareeb to aao bohat udass hoon mein,

bus aaj toot ke chaho bohat udass hoon mein,

kisi bi jhooti dilaasai se dil ko behlaoo,

koi kahani sanao bohat udaas hoon mein,

andhari raat hai kuch bi nazar nahi aata,

sitaray toor ke lao bohat udaas hoon mein,


Yeh Sayaahi se likhe gaye

Yeh Sayaahi se likhe gaye Lafz sirf lafz nahi,

Yeh Zindagi hai meri koi Afsana nahi,

Khilona mat Samajhna in Aansoon ko,

Yeh kahani hai meri kuch adhuri si


Wahi raat ki khamoshi,wahi tanhai,ye

Wahi raat ki khamoshi,wahi tanhai,ye hawa apne sath kisiki yaad le asye,

Hum to baithe us chand ko dekh rahe the,na jane kisike liye aank bhar aaye


Zindagi K Mod par ek

Zindagi K Mod par ek aisa waqt Aata hai,

Jab Insaan apne-Aapko tanha pata Hai.

Wahi tanhayia To batati hain ,

Ki Kaun Kiska kitna saath nibhata Hai.


Pyar mohobbat to sabhi karte

Pyar mohobbat to sabhi karte hai,

Pyar ke dhoke me sabhi jalte hai.

Hum na pyar na mohobbat karte hai,

bas aap jaise yaron ki yari pe marte hai.


Jagti aankho me ek khwab

Jagti aankho me ek khwab aaya,

koi humdard hai mera ye khayal aaya.

chot lagi dil pe toh dhyaan aaya,

kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.


Hume to pyaar tha sirf

Hume to pyaar tha sirf unn se,

Dil bhi unhi ko diya tha,

Unhe pyaar tha kissi aur se,

Dhokha sirf hum ko mila...


Sapne ki tarah tujhe saja

Sapne ki tarah tujhe saja ke rakhu,

Chandini raat ki nazroon se chupa ke rakhu,

Meri taqdir mere saath nahi,

Warna zindagi bhar tujhe apna bana ke rakhu.


Jab Panchi Sare ur jayin..

Jab Panchi Sare ur jayin.. Har simat andhera cha jaye, Jab guzri batein yad aen, or bitey lamhe tarpaen, mat tanha tanha ghabrana, tum pas hamare ajana, jab koi din main sham kare, ya lab ki hansi badnaam kare, jab wahshat dil ka naam kare, ya ankh main nend haram kare, mat tanha tanha ghabrana, tum pas hamare ajana, dil preet hamari duhraye, ya reet purani yad aee, jab milne ko bhi dil chahe, Or pyaar bhara na dil pae, mat tanha tanha ghabrana, tum pas hamare ajana...


Hum na hote to aapko

Hum na hote to aapko gazal kaun kehta, apke chehre ko gulab kaun kehta,

Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.


Ishq aisa karo ki Dhadkan

Ishq aisa karo ki Dhadkan me bas jaye, Sans bhi lo to khusboo usi ki aye, Pyar ka nasha Aankhon per chaa jaye, Baat kuch bhi na ho lekin Naam usi ka aye...


TUM MERI ANKH KA SAPNA

TUM MERI ANKH KA SAPNA HO AGAR TUM SAMJHO TUM meRI ZAAT KA HISSA HO AGAR TUM SAMJHO HO NAHI SAKTI JUDA PHOOL SE KHUSHBO JAISAY SATH HUMARA BHI KUCH AISA HAI AGAR TUM SAMJHO..


Tum milo na milo milne

Tum milo na milo milne ka gham nahi, tum pas say guzar jao yeh milne se kam nai, mana k tumhain hamari qadar nai magar unsey poocho jinhain hasil hum nai


Ishq waale khub wafaaon ka

Ishq waale khub wafaaon ka sila dete hai,

Har mood par ek zakhm naya dete hai,

Aye-Dost iss jahan me koi apna nahi,

Jab aag lagti hai to patte bhi hawa dete hai....


Dil to Kehta hai, Zamane

Dil to Kehta hai, Zamane se chupa loon Tujh ko

Dil ki Dharkano ki tarah Dil mai basa loon Tujh ko

Koi Ahsaas Judai ka rehne na paye

Is tarah Khood mai Meri Jaan sama loon Tujh ko

Tu jo Roothey kabi Mujh se Mere Dil k Maalik!!

Sari Dunya se Khafa ho ke Mana loon Tujh ko


Zindgi mein jab b unse

Zindgi mein jab b unse mulakat huye,

meri aankho se aansuo ke barsat huyi.

Duniya ne loot liya mere dil ka sakuun,

kya shikait kisi se karu ke kya baat huyi.


Zikr jab b aap apno

Zikr jab b aap apno ka kiya karen,

Naam hamara b unme liya karen.

Tareef nahi to burayi hi sahi

par apne Alfazon mein jagah hamein b diya karen..


Tanhaiyo ke shahar me ek

Tanhaiyo ke shahar me ek ghar bana lia,

Ruswaiyon ko apna mukkadar bana lia.

Dekha hai yaha pathar ko pujte hain log,

Bas isliye apne dil ko pathar bana lia.


Phulon ki Tareef sab Karte

Phulon ki Tareef sab Karte hain,

Badi Mushkil se Log Kanton pe Gaur Karte hain.

MALI to Sirf Naam ke hote hain,

Phulon ki Hifazat to Kante hi Karte hain...


Chand ne Chandani ko yaad

Chand ne Chandani ko yaad kiya,

pyar ne pyar ko yaad kiya.

Par hamare paas na pyar hain na chand,

Isliyen humne apne

Chand se bhi pyare Dost ko yaad Kiya.


Dìl kè koñè $è èk

Dìl kè koñè $è èk Awäz äti häì

Hämèìñ her päl ùñkì Yääd äti häì

Dìl pùchtä häì bär-bär Hüm $è

Jìñhèìñ Hùm yääd kärtè häìñ,

Kìä uñhèìñ ß Hämäri Yääd äti häì


Kya kya Tere Naam likhon.

Kya kya Tere Naam likhon. . .?

"DIL" likhoon k "JAAN" likhoon?

Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . !

Apni har Khushi Tere Naam Likhoon


Har injam ke hakdar wo

Har injam ke hakdar wo hame bana jate hai, har khata ki saja wo hame suna jate hai, ham har bar khamosh rah jate hai, kyunki wo har bar Dost hone ka hak jata jate hai...


Sabki Jindagi me Khushiya dene

Sabki Jindagi me Khushiya dene wale, mere yaar ki jindagi me koi gam na ho, usko mere se bhi accha sathi mile, jab duniya me ham na ho...


Naino me base ho zara

Naino me base ho zara dhyan rakhna, apni dosti yun hi aabad rakhna, mujhe to aadat hai aapko yaad karne ki, agar hichkiyan aati rahein to maaf karna


Koi dost aisa banaya jaye,

Koi dost aisa banaya jaye, jiske aasuon ko palko mein chupaya jaaye, rahe uska mera rishta kuch aisa, ki agar wo rahe udaas to humse bhi na muskuraya jaye


Wo 1 dost jo khuda

Wo 1 dost jo khuda sa lagta hai, bahot pass he dil ke fir bhi juda sa lagta hai, bahot der se aya nahi sms uska, shayad kisi bat se khafa sa lagta hai...


Tum bhulakar to dekho humein,

Tum bhulakar to dekho humein, har khushi tumse rooth jaayegi. Jab bhi sochoge doston ke bare mein, yaad khub-b-khud hamari aayegi.


Mausam ki bahaar achchhi ho,

Mausam ki bahaar achchhi ho, phoolon ki kaliyan kachchi ho, hamari yeh hasrat sacchi ho, rab bas ek dua hai ki mere dost ki har raat achchhi ho


Dilo ko khareedne wale hazar

Dilo ko khareedne wale hazar mil jayege, aap ko daga dene wale bar-bar mil jayege, milega na aapko hum jesa koi, milne ko to dost beshumar mil jayege.


Kabhi badli hui takdir nazar

Kabhi badli hui takdir nazar ati hai, yado ki bas ek zanjir nazar ati hai , pade bhi to kya pade yaar- mujhe mobile me bhi teri tasveer nazar ati hai


In ankho mai aansu aye

In ankho mai aansu aye na hote agar woh pichhe mudkar muskarye na hote, unke jane Ke bad ye dil rota hai, kash woh jindagi main aye hi na hote!


Meri ankho me mat dekh

Meri ankho me mat dekh tuje apna bna lenge. Na dil k kareeb aa tuje mohbat sikha denge. Gehra hai tujse rishta itna k khwabo me aye to teri neende chura

lenge


Jab khiyal kiya to khiyal

Jab khiyal kiya to khiyal bhi tera aya, Jab ankhe band ki to khwab bhi tera aya,

Socha yad karlu us khuda ko,Magar honth khule to naam bhi tera aya.


TARASTA HAI DIL TERI AWAZ

TARASTA HAI DIL TERI AWAZ K LIYE, TERE MOHABAT BHARE DO ALFAZ K LIYE, KARDO HUMHE FANAA APNI IS ADA K LIYE, TADAPTE HAI HUM TUMHARI EK MULAKAT K LIYE..


yuhi kabi sapno se dil

yuhi kabi sapno se dil lagaya karo

kisi k khwabo me aya jaya karo

jab bi dil kare ki koi tume bi subah jagaye

bus hume yaad karke pehle so to jaya karo

gud nyt


Dosti Hoti Nahi Bhul Jane

Dosti Hoti Nahi Bhul Jane Ke Liye,Dost Milte Nahi Bikhar Jane Ke Liye,Dosti Karke Khush Rahoge Itna,Ki Waqt Milega Nai Aansu Bahane Ke Liye.


kaash aasoun ke saath yaadein

kaash aasoun ke saath yaadein beh jati

kaash ye khamosi sab kuch keh jati

kaash kismat tumne likhi hoti to

shayad meri kismat me pyar ki kami na rah jaati


Pani ki bunden phulon ko

Pani ki bunden phulon ko bhigo rhi hai, Thandi -2 lehrein 1 tazgi jga rhi hai, Ho jaiye aap bhi inmein shamil, Ek pyari c subha apko bula rhi hai Good Morning.


Khushi ka har pal ho

Khushi ka har pal ho tumhare liye,baharo ka gulista ho tumhare liye,kamyabi ki manzil ho tumhare liye,Bas kuch pal tumhare ho hamare liye.


Jab jab sooraj niklega tab

Jab jab sooraj niklega tab tab aapko duaen denge, jab jab shaam dhalegi tab tab aapko duaen denge, karte hai aapse itna pyaar Khuda ki kasam, aaoge jab jab

hamare khwabon me tab tab aapko duaen denge.


Mere pyar ko duniya me

Mere pyar ko duniya me koi samaj na paya, rote the jab tanha koi mere saath na aya, mita diya khud ko uske pyar me, aur kehte hai log ki mujhe pyar karna na aya


Na pine ka shonk tha

Na pine ka shonk tha na pilane ka shonk tha.

Hume to sirf nazre milane ka shonk tha.

Par kya kre yaro hum nazre hi unse mila bathe jine nazro se PILANE ka shonk tha.


Mohbat karne wale ko deewana

Mohbat karne wale ko deewana keh diya, mohbat me jalne wale ko parwana keh diya, dafna diya mohbat ko pathar ke niche, aur logo ne use TAJMEHAL keh diya...


Jab koi khayal dil se

Jab koi khayal dil se takrata hai,dil na chah kar bhi khamosh reh jata hai,koi sab kuch keh kar pyar jatata hai,toh koi kuch na keh kar pyar nibhata hai!


Kyun tumhare is ashiq ka

Kyun tumhare is ashiq ka parwano me naam lete ho..keh kar ke dil doge humari jaan lete ho.pata hai nahi rakh sakte hum apni dhadkano pe kaabu phir kyun

humari mohabbat ka imtehan lete ho..


Dil unke liye he machalta

Dil unke liye he machalta hai..thokar khata hai or sambhalta hai..kisi ne is kadar kar liya dil par kabja..dil mera hai per unke liye dhadkta hai..


Phool hote to teri rahon

Phool hote to teri rahon me bichh jate

gum hote to tujhe kabhi na satate.

Ye aur baat hai ki tere dost hain hum

na hote to bhi tuj hi pe jaan lutate.


Mahek unki aaj bhi meri

Mahek unki aaj bhi meri sason me hai,

har ek adaa unki meri in aankhon me hai.

woh bhale mita de dil se mera wajud,

Magar unki jagah aaj bhi meri in yaadon me hai.


dilo ki dharkan ab band

dilo ki dharkan ab band honey ka keh rahi hai

mehboob se judayii ab khattam honey ka keh rahi hai

ayega kissi din kissi lamhey samney mere

yahi hai khuwish ye hamari chahat keh rahi hai


ye zuban pyar na karney

ye zuban pyar na karney ka keh rahi hai

par tarap ussey baraney ka keh rahi hai

chaha ke rok loo jo kuch bhi horaha hai

par nahi rookta ye hamari chahat keh rahi hai


esk had se paar ho

esk had se paar ho jaye, ho jaye woh zindgi bekarar

kisi ke santh aisa na ho ya rab ke kisi ke pyar ko kisi se pyar ho jaye,


har aahat mai kyo lagta

har aahat mai kyo lagta hai ki yum ho

har aawaj mai kyo lagta hai ki tum ho

har dahadkan mai kyo lagta hai ki tum ho

kyo ki tum mano ya na mano

meri jinagi mai bas

tum hi tum ho tumhi tum ho tumhi tum ho 


TUM sy he mohbat krta

TUM sy he mohbat krta hun

TUMHARY sy he ghazal lekhta hun

TUMHIsy raat ki khani hy

TUMHI sy subha ki jwani hy

TUMHI mohbat ki ek nazar ho

TUMHI mera afsana or ghazal ho

TUM moor ki khubsurti ho

TUM raat k bad ki sehar ho

TUMsawan ki ghtaon mein ho

TUM khzaan k bad bhaar hoor

TUM he mera pehla

" AYR HO "


Wo Keh Ke Chalay Itni

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay


Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay


Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana


Aisay Main Kahan Jao Gay Barsaath Bohat Hay


Wo KhayNay Lagay Jana Mera Bohat Zarori Hay


Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay


Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena


Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay


Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi


Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi


Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Kay


Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bohot Hay


Suno acha nahi lagta Karay jab

Suno acha nahi lagta

Karay jab tazkra koi

Kray jab tabsra koi

Tumhari zaat ko khojay

Tumhari baat ko soochy.


Suno acha nahi lagta

Tumhari muskuraht per

Hazroon log martay hoon

Tumhari ik ahat per

Hazaroon dil dharakty hoon

Kisi ka tum peh

Yoon marna

Mujhay acha nahi lagta.


Suno acha nahi lagta

K tum ko phool bhi daikhain

Tumhare bas se mehkain

Ya chaand ki guzarish ho

K apni roshni bakhsho


Mujhay acha nahi lagta


Suno acha nahi lagta

Karay jab tazkra koi

Kray jab tabsra koi

Tumhari zaat ko khojay

Tumhari baat ko soochy.


Suno acha nahi lagta

Tumhari muskuraht per

Hazroon log martay hoon

Tumhari ik ahat per

Hazaroon dil dharakty hoon

Kisi ka tum peh

Yoon marna

Mujhay acha nahi lagta.


Suno acha nahi lagta

K tum ko phool bhi daikhain

Tumhare bas se mehkain

Ya chaand ki guzarish ho

K apni roshni bakhsho


Mujhay acha nahi lagta


Bicher kar phir milain gy

Bicher kar phir milain gy yaqin kitna tha, tha to ek khwab per haseen kitna tha, mere zawal sy phlay wo muj ko chor gaya, Haseen to tha per socho zaheen kitna


Aaj mausam bohat haseen hai, Par

Aaj mausam bohat haseen hai,

Par dil bohat ghamgeen hai,

Jab uss nai poocha wajha kya hai ,

Hum nai kaha maloom nai hai...


Bheer mein kuch akeli si

Bheer mein kuch akeli si hoon,

Na jane kyun kuch khamosh si hoon,

Bohat kuch kehna chahti hoon,

Par shayad phir darr si jaati hoon...


Kabhi Koi apna anjan ho

Kabhi Koi apna anjan ho jata hai kabhi anjan se pyar ho jata hai, ye jaruri nahi , k jo khushi de usise pyar ho ,Aksar dil todne walon se bhi pyar ho jata hai


Apni wo pehli mulaqat aduhri

Apni wo pehli mulaqat aduhri si lagi,

Paas reh kay bi doori si lagi,

Honto pe hasi,Ankhon main majbori si lagi,

Zindagi main pehli bar kisi ki dosti zaruri se lagi.


Har khushi dil kay karib

Har khushi dil kay karib nahi hoti,

Dosti kisi ki khareed nahi hoti,

Ae dost hamari dosti ko sambal kar rakhna,

Aisi dosti har kisi ko Naseeb nahi hoti !!!


Yaadon ka ek jhoka aaya,humse

Yaadon ka ek jhoka aaya,humse milne barson baad,

Pehle itna nahi roye,jitna roye barson baad,

Lamha lamha ghar ujda hai,mushkil se ehsaas hua,

Patthar aaye thhe barson pehle,dil tuta hai barson baad....//


hoti nahi mohabbat sorat se...mohabbat

hoti nahi mohabbat sorat se...mohabbat tu dil se hoti hai...sorat khud he iun ki acchi lagne lagti hai...qader jin ki dil se hoti hai...


 ban jaoon agher tum sa

ban jaoon agher tum sa tumhain kesa lage ga ... har pal main rahoon tum se khafa kesa lage ga ....perteh ho tum mujh ko nammaz ki terhan .... ho jaoon agher tum se qazaa kesa lage ga ..tum pyaar main khud ko metane pe ho razii .... ban jayee agher pyaar saza kesa lage ga .... apne se bhi ziyada ho yaqeen tum ko kesi per ... who shaks hi de jayeee dagha kesa lage ga ..


Apni Aankhon Ke Samunder Main

Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De...

Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De...

Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko...

Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...


Dua ko hath uthain tou dil

Dua ko hath uthain

tou dil larazta hai

k par na jaye khud apni nazar wahan k jahan

naseeb likha gaya patharon k harfon say

hathelion ki lakeeron k siah khalaon main

kabhe shabon k kisi karbnaak lamhay main

koi karah jo aa jaye bhool kar lab pay

tou hoal hoal say jatay hain hoaslay saray

k taar taar sama'at k zakham pehlay he

dukhay hoay hain sadaon ki naarsaie say

kaisay batayen k jeewan k kaarzaar main hum

ajeeb haray hoay log hain k har lamha

shikast-e-zaat ki tasweer main muqeed hain

janam lia hai tou ab tak kai zamano say

hum ik tay shuda tadeer main muqeed hain.


aankhain jab band kia kartay

aankhain jab band kia kartay hain

samnay aap he hoa kartay hain

aap jaisa he mujhe lagta hai

khuwab main jis say mila kartay hain

to agar chor kar jata bhe hai tou kia?

hadsay roz hoa kartay hain

naam un ka,na koi un ka pata

log jo dil main raha kartay hain

hum nay rahi ka chalan seekh lia

hum akailay he chala karatay hain


aankhon main simti anginat tasveeren tasveeron

aankhon main simti anginat tasveeren

tasveeron main

teri tasveer hi nahin koi

kis ummeed pe

kis aas pe

main dard k khaul se bahar nikloon

zindagi mere haathon ki lakeeron main

teri lakeer hi nahin koi.....


main aisi mohabbat karta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan peh bayth k jati ho

main waheen pe betha rehta hoon

us cheez ko choota rehta hoon

main aisi mohabbt karta hoon


tum jis se huns k milti ho

main us ko dost banata hoon

tum jis rustay par chalti ho

main us say aata jata hoon

main aisi mohabbat karta hoon


tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho

wo khuwab.sarhanay rakhta hoon

tum say milnay julnay k

kitnay hi bahanay rakhta hoon

main aisi mohabbat karta hoon


tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho

jis cheez ko hath lagati ho

main

waheen peh baytha rehta hoon

us jaga ko choota rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho


kuch khuwab saja kar aankhoon main

palkon say moti chunta hoon

koi lums agar choo jaa a to

main pehroon us ko sochta hoon

mainaisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho


jin logon main tum rehti ho

tum jin say batain karti ho

tum jin say huns k milti ho

jo tum ko achay lagtay hoon

wohi mujh ko achy lagtay hain

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho


jis bagh main subh ko jati ho

jis sabzay par tum chalti ho

jo shakh tumhain choo jati hay

jo khushbootum ko bhati hay

wo os tumharay chehray par

jo qatra qatra girti hai

wo titli chor k phoolon ko

jo tum say milnay aati hai

jo tum ko choonay aati hay

un sab k nazuk jazbon main

meray dil ki dharkan basti hai

miri

rooh bhi shamil rehti hai

tum paas raho ya door raho

nazron main samai rehti ho

main tum ko takta rehta hoon

main tum ko sochta rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho


Kabi Tum apni Mohabbat ka

Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do

Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do


Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha

Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do


Mai sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga?

Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do


Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do

K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do


Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Mudawa hai

Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do


Woh kehti hai k kia

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?

main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.


Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?

main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..


Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?

main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.


Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?

main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.


Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?

main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.


Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?

main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.


Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?

main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila haI


Aapse milkar khuda ki ibadat

Aapse milkar khuda ki ibadat bhool gaye,

Aapki adayein dekh ke apni aadat bhool gaye.

yeh kaisa jaadu kar diya hai aapne

,Aapko chake duniya ki chahat bhul gaye


Is dil ko to bas

Is dil ko to bas teri yaad aati hai,aur is dil ko udaas kar jati hai,Koi poochta hai tumse pyaar kitna hai kuch nahi keh pate bas aankh bhar aati hai.


Jise ham kab se bhulaye

Jise ham kab se bhulaye baithe the,Wo aaj achanak hi yaad aa gaye,Jis gam ki barish ne kiya tha barbaad,Usi barish ke badal aaj phir cha gaye.


tere ishq me jeete hai

tere ishq me jeete hai tere ishq me marte hai,

tum khus raho sirf yehi dua hum kiya karte hai.

duniya ki to hume parvah nahi bas tumhe khone se darte hai.


jo sach nahi hai wo

jo sach nahi hai wo sapna hai,sapno se sikayat kaun kare,jo dard diya wo apna hai,apno se sikayat kaun karey.


Koi achi si saza do

Koi achi si saza do mujhko,Chalo aisa karo bhula do mujhko,Tum say bichroun tou moot aa jaye,Dil ki gharioun say dua do mujhko..


Hamare zakhmo ki vajaha bhi

Hamare zakhmo ki vajaha bhi woh hai...hamare zakhmo ki dava bhi woh hai,woh namak zakhmo pe lagaye toh kya hua,mohabbath karne ki sazah hi woh hai.....


Par haste haste Kabhi woh bhi roye honge...Yadon me hamari woh bhi khoe honge,khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge,Mana hasna hai Aada Gham Chhupane

ki,par haste haste Kabhi woh bhi roye honge...


Kyu dil mai koi arman

Kyu dil mai koi arman nahi duniya itni viran nahi har taraf ujale hai phirbhi tere sath koi saya hi nahi koi bhi tera ho sakta hai kabhi tune apnayahi nahi


Insano ke kandhe pe insaan ja rahe hai.kafan me lipte kuch armaan ja rahe hai.jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.mohhobat pane woh shamshan ja rahe the.


Aap na hote to hum

Aap na hote to hum kho gaye hote,apni jindgi se ruswa ho gaye hote!ye to aap ko gd morning kehne k liye uthe hai, varna hum to abhi bhi so rahe hote.


Pearl of the Day: Aap

Pearl of the Day: Aap ki Har Subah Muskurati Rahe, Har Shaam Gungunati Rahe. Aap Jise Bhi Mile Aise Mile ki, Aap ke Milne se hi Unka Chehra Khile. Gud Mrng.


Karni hai khuda se ek

Karni hai khuda se ek guzaarish.. teri yaari ke siva koi bandagi na mile.. har janam mein mile yaar tere jaisa ya phir kabhi zindagi na mile


Khyal tha ki hum tujhe

Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete

Magar ye log nayi dastan bana lete

Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum

Zamin khud ko tujhe aasman bana lete


Kaash sab log ek jaise hote. Ek HUM HAIN, jo messg nahi apna dil bhejte hain. Aur ek AAP HA IN, jo dil

Kaash

sab log

ek jaise hote.


Ek

HUM

HAIN,


jo

messg

nahi


apna

dil

bhejte hain.


Aur

ek

AAP

HAIN,

jo

dil rakhne ke liye bhi

msg nahi bhejte


oh mulakaat kuch adhuri si

oh mulakaat kuch adhuri si lagi..Paas hokar bhi duri si lagi...Honto pe hansi, aankho mein nami... Pehli baar kisi ki dosti... Saanso jitni zaruri si

lagi...


Manzil Unhi Ko Milti Hai,Jinke

Manzil Unhi Ko Milti Hai,Jinke Sapno Me Jaan Hoti Hai,Pankh Se Kuch Nahi Hota,Hauslon Se Udaan Hoti Hai.


Kuch RAAZ ase hote hay

Kuch RAAZ ase hote hay jinhe hum bol nahi sakte, kuch DIL ase hote hay jinhe hum tod nahi sakte,kuch LOG aap jase bhi hote hai jinhe hum chod nahi sakte


AANKO ME AAKE SUKH JAATE

AANKO ME AAKE SUKH JAATE HAI AANSU,


PALKON ME AAKE TOOT JAATE HE ANSU.


DIL KARTA HAI K BAHADU UNHE,


PAR AAPKO HASTE DEKHAR SUKH JAATE HAI AANSU...


Jab b aapki yaad aati

Jab b aapki yaad aati hai, mere honthon pe ye fariyad aati hai, khuda khush rakhe aapko hr haal me, kyunke hmari khushi to aaj b aap ki khushi ke baad aati

hai.


WAQAT GUZRY GA HAM BIKHAR

WAQAT GUZRY GA HAM BIKHAR JAIN GY,

KON JANY KAH HAM KIDHAR JAIN GY ,

HAM AAP KI PARCHAIN HIAN YAD RAKHNA ,

JAHAN TANHAI MILI WAHAN HAM NAZAR AAIN GY,


khabar mere marne ki sunte

khabar mere marne ki sunte hi dekho

vo haatho me mehndi razane lage hai

safar akhri hai koi unse kah de janaja mera sab uthane lage hain


sitam jeeteji usne mujhpar hai dhaya magar baad marne ke fir ye sitam hai

lahad me bhi mujhko kahan chain yaro

yahan bhi farishte satane lage hai


adavat ke sholo me sab rishtenate uluso vafa ke

hue khaak dekho

mere humsafar the jo acche dino me vahi mujhse daaman chudane lage hai


Raastey zindagi ke badal gaye garajtey

Raastey zindagi ke badal gaye

garajtey huye badal thum gaye

roashni bhi daga de gayi

andhere ke pardey gir gaye

do pal muskuraakar

wo humey tanha chod gaye..


Ek khuwab tha mera ,

Ek khuwab tha mera , jo tut gaya!

Phir umeed bhi ki

phir khuwahish bhi ki

Is khuwab ko , wapis lanay ki

Is khuwab mein , wapis janay ki

Is khuwab mein , bastay rahnay ki

Is khuwab ko , apna kehnay ki

Is khuwab ko , zinda rakhnay ki

Is khuwab mein , zinda rahnay ki


Lakin....

Ek khuwab tha mera , jo tut gaya....!!


Sari basti main aik jadu

Sari basti main aik jadu sa nazar aya muj ko .......jo deeracha b kholay tu he tu nazar aya muj ko......


Zindagi Mili b tu Kia

Zindagi Mili b tu Kia mili mill kay baywafaie mili.....itni meri khata na the jitnee mujay saza mili :(


sard raato k mehekte hue

sard raato k mehekte hue sannaato main,

jab kisi phool ko choomo ge to yaad aau ga.

aaj to mehfile yaaran ho magroor bohout,

jab toot k bikhro ge to yaad aau ga.

ab talak tumhare ashq apne honto se chura leta tha,

jab haath se unhain khud poncho ge to yaaad aau ga.

shaal pehnae ga koun december main tumhe,

jab barish main bheego ge to yaad aau ga/


judaai aapki rulati rahegi, pal

judaai aapki rulati rahegi, pal pal yaad aapki aati rahegi, chahe hum aapse baat karein ya na karein, jabtak hai jisam mein jan har sans pyar nibhati rahegi.


umar ki raah mein raste

umar ki raah mein raste badal jate hain, waqt ki aandhi mein insaan badal jate hai, sochte hai aapko itna yaad na kare, lekin aankh band karte hi irade badal jate hain . . .


Karo gy yaad aik din

Karo gy yaad aik din is payar ky zamany ko,

Chaly jain gy jab ham kabi na wapis aany ko,

Kary ga mehfil me jab zikar hamara koi,

To tum bhi tanha dhoondo gy ansu chupany ko.


ishq aur dosti meri zindagi

ishq aur dosti meri zindagi ka unwaan hei.ishq meri rooh dosti mera emaan hai ..ishq pe kardun fida apni sari zindagi mager dosti per mera ishq bhey qurbaan hei.


Aaye Na agar Tumhe Yaad

Aaye Na agar Tumhe Yaad Hamari,

Ham Karenge Fariyad Tumhari.

Bewafa ho tum ye Na Kahenge Kisi se,

Kahenge Ki Kami Thi Wafa Me Hamari.


Kyon koi chah kar mohobbat

Kyon koi chah kar mohobbat nibha nhi pata,

Kyon koi chah kar rishta bana nhi pata,

Kyon leti hai zindagi aisi karwat,

Ki koi chah kar bi pyar jata nahi pata...


Hum Hawa Nahi Jo Kho

Hum Hawa Nahi Jo Kho Jayenge,

Hum Waqt Nahin Jo Gujar Jayenge,

Hum Mausam Nahin Jo Badal Jayenge,

Hum To Aansu Hain

Jo Khusi Aur Gum Dono Me Nzar Aynge.


Diwangi hamari har raaz khol

Diwangi hamari har raaz khol deti hai,

Khamoshi hamari har baat bol deti hai.

Lekin shikayat hai to sirf is duniya se,

Jo DIL ke jazbaat bhi paiso se tol deti hai.


Kuch rishte uppar wala banata

Kuch rishte uppar wala banata hai,

Kuch rishte log banate hai.

Lekin Kuch log bina Koi rishte ke

hi rishte nibhate hai.

Shayad wohi dost kehlate hai.


Apni o mulaqat kuch aduri

Apni o mulaqat kuch aduri c lagi,

Pass ho k b thodi duri se lagi honto pe hasi,

Aanko me majboori c lagi

Zindagi me pehli bar kisiki dosti itni zaruri c lagi.


Chehre pay ashqo ki lakeer

Chehre pay ashqo ki lakeer si ban gayi,

Jo na chaha tha vo taqdeer si ban gayi.

Humne to chalaayi thi ret pe ungli gaur se dekha to

Unki tasveer si ban gayi.


Saath rehte rehte youn hi

Saath rehte rehte youn hi waqat guzar jayega.

Dour hone k baad kaun kise yaad ayega .

Jee lo eyh pal jab hum saath hain.

Kal kya patha waqt kahan lt jayega.


Apne dil ki baat hum

Apne dil ki baat hum unse keh nahi sakte,

Bin kahe bhi jee nahi sakte,

Ae khuda aisi takdeer bana, wo humse khud aakar kahe

HUM AAPKE BINAA REH NAHI 


Nazar mlia k nazar chura

Nazar mlia k nazar chura math lena,

Dost banake hum ko dushman bana math dena,

Mana k hun dour hai tumse

Isi bath ko bana banakar humko bhula mat dena


Haste rahe aap hazaron k

Haste rahe aap hazaron k beech me,

Jaise haste pool baharo k beech me,

Roshan ho aap duniya me istaraha,

Jaise hota hai channd sitaron ke beech may.


Ghatao se suraj nikalaya hai, Fizaon

Ghatao se suraj nikalaya hai,

Fizaon me naya rang chaya hai,

Aap hai ki khamosh bhe the hai,

Ap toh muskuraye kyunki

Phir se mere sms aya hai.


Masoom si Mohabbat ka bus

Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai

Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai


Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai

Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai


Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai

Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai


Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka

Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai


Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai

Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai


to naam ka darya hai

to naam ka darya hai rawani nahin rakhta...

Badal wo be faiz hai jo pani nahin rakhta...

Ye akhri khat aakhri tasweer b le ja ...

Main bholne waloon ke tasweeer nahin rakhta...


Tarasta hai dil teri awaz

Tarasta hai dil teri awaz k liye,

tere mohabt bhare chaar alfaz k liye,

Kardo humne fanaah apni is ada k liye,

tadapte hai hum tere is pyar k liye


Saaz-e-dil mein tarane bahut hain, Zindagi

Saaz-e-dil mein tarane bahut hain,

Zindagi jeene ke bahana bahut hain,

aap sada muskurate rahiye,

aap kimuskurahat ke deewane bahut ahi...


Humse dour jaoge kaise dil

Humse dour jaoge kaise dil se hame bhuloge kaise,

hum won khusbu hain,Jo sanso me baste hai,

khud ki sanso ko rok pawoge kaise..?


Aye allah aaj yeh faisala

Aye allah aaj yeh faisala kar de,

usse mera ya mujhe uska karde,

Bahooth dokh sahe hain main me zindagi me,

koi kushi ap mere muqadar karde,

nahin nasib me agar uska milna,

katham kar de zinagi, fana karde..... 


Mil jaye har koi yuhi

Mil jaye har koi yuhi raho me to

kaise patha chale k intazar kya hota hai.

Tadap ke dehkho kisiki chahat me toh pata chale

PYAR KYA HOTA HAI..


Pyar kamzor dil se kiya

Pyar kamzor dil se kiya nahi ja sakta,

Zeher dushman se liya nahi jata,

Dil me basi ulfat jis pyar ki,

Us k bina jiya nahi ja sakta..