Mohabbat ka imtihan aasan nahi. Pyar

Mohabbat ka imtihan aasan nahi.

Pyar sirf pane ka naam nahi.

Muddat bith jati hai kisi k intizaar me.

Yeh sirf ek pal do pal ka kaam nahi.


Faryaad kar rahi hain tarsti

Faryaad kar rahi hain tarsti hivi nigahen

Dekhe howe kisi ko bahoot din guzar gaye


Unko paakar ab khona nahi

Unko paakar ab khona nahi chate,

itne khush hokar ab rona nahi chate.

Yeh aalam hai unki judai ye mein.

Aankho mein neend hai magar sona nahi chate.


dil ki dhadkan ko dikhaya

dil ki dhadkan ko dikhaya nahi jata,

mohabbat me lagi ko bujaya nahi jata.

laak juddai ho pyaar me phir bi

zindagi ka pehla pyaar bulaya nahi jaata.


Kitni jaldi ye mulakat guzar

Kitni jaldi ye mulakat guzar jati hai,

Pyas bujhti nahi barsat guzar jati hai,

apni yadon se kehdo is tarah na aya kare,

neend ati nahi aur raat guzar jati hai.


Na koi kisi ke pass

Na koi kisi ke pass hota hai

na koi kissie se dhur hota hai

pyar khud chal kar aata hai,

jab koi kisi ke nasseb mein hota hain.


Har subha ko doop kuch

Har subha ko doop kuch yaad dila ti hai,

Har pool ki khushbo ek jadoo jagathi hai,

Chahon ya na chahon kitna bhi par,

aap ki yaad aahi jati hai.


Aj bi unki narazo me

Aj bi unki narazo me raaz wohi tha,

Chehra wohi tha cehre ka libas wohi tha,

Kaise usko bewafa keh du yaro,

Aj bhi unke dehne ka andaz wohi tha.


Judai kiyun dil loun ki

Judai kiyun dil loun ki nazdik lati hai.

Bechad kar kiyun jiyada pyar ka ehsas hota hai.


Shukriya karo khuda ko jis

Shukriya karo khuda ko jis ne hume banaya.

Pyara,achcha,smart,aour cute dost.

Hum net toh nahi tum ne toh paya.


Kuch badli huwi taqdeer nazar

Kuch badli huwi taqdeer nazar aati hai,

Door tak yadon ki zanjeer nazar ati hai,

Main karu tho kya karo jaan,

Har taraf teri tasveer nazar ati hai.


Hum raat ki tanhai mein

Hum raat ki tanhai mein awaz diya karte hain.

Aour sitaroun se aap ka zikr kiya karte hain.

Tum aawo ya nay aawo khaboun mein.

Hum aap ka intizaar kiya karte hain.


Humne dil ko sau baar

Humne dil ko sau baar samjaya k

tumhe itna yaad karna chodde.

par dil se ek hi aawaz aayi ki

har saas mein tumari yaad hai,

to kya saana lena chodde.


Ek sam ati hai tumara

Ek sam ati hai tumara yaad lekar,

Ek sam jati hai tumara yaad lekar,

hum ko us sam ka intzaar hai jo ayae

tumey sath lekar


Fassle mita kar apas main

Fassle mita kar apas main pyar rakna.

Dosti ka ye rista hamesha barakar rakna.

Bichad jaye kabhi aapse hum,

phir bi ankhon main hamara intezar rakna.


Tarasta hai dil teri awaz

Tarasta hai dil teri awaz k liye,

tere mohabt bhare chaar alfaz k liye,

Kardo humne fanaah apni is ada k liye,

tadapte hai hum tere is pyar k liye


Jo pal pal chalti hai

Jo pal pal chalti hai o zindagi hai,

Jo pal pal jelti hai o rohni hai,

Jo pal pal hilti hai o mohabbat hai ,

Jo har pal sath hai o dosti hai.


Apni o mulaqat kuch aduri

Apni o mulaqat kuch aduri c lagi,

Pass ho k b thodi duri se lagi honto pe hasi,

Aanko me majboori c lagi

Zindagi me pehli bar kisiki dosti itni zaruri c lagi.


Chehre pay ashqo ki lakeer

Chehre pay ashqo ki lakeer si ban gayi,

Jo na chaha tha vo taqdeer si ban gayi.

Humne to chalaayi thi ret pe ungli gaur se dekha to

Unki tasveer si ban gayi.


Saath rehte rehte youn hi

Saath rehte rehte youn hi waqat guzar jayega.

Dour hone k baad kaun kise yaad ayega .

Jee lo eyh pal jab hum saath hain.

Kal kya patha waqt kahan lt jayega.


Phir chand khila phir raat

Phir chand khila phir raat thami,

Phir dil ne kaha ha teri kami,

Phir yad k jhonke mehk gaye,

Phir pagal arman behak gaye,

Phir jannat see lagti hai zamen,

Phir dil ne kaha ha teri kami,

Phir guzre lamhon ki batein,

Phir jagi jagi see raitein,

Phir thaher gaye alkon pe nami,

Phir dil ne kaha ha teri kami.


Raat ko raat ka tohfa

Raat ko raat ka tohfa nahi dete,dil ko jajbaat ka tohfa nahi dete,

ham to tumhe chand de dete magar kya kren chand ko chand ka tohfa nahi dete


Ab ke sawan(rain) mein paani

Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut, Paani ki har boond

mein woh aaye yaad bahut. Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,

Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.


Aaj badal kalay gehray hain, aaj

Aaj badal kalay gehray hain,

aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,

bari dair say dil mein thehray hain


Phir na simte gi jo

Phir na simte gi jo ek baar bikher jaye gi,

Zindagi zulf nahi hai jo sanwar jaye gi,


Jo khushi de tham lo daman us ka,

Zindagi roo ke nahi hans ke guzr jaye gi...


Dard jitna saha jaye utna

Dard jitna saha jaye utna hi sehna,

Kisi ke dil ko jo lag jaye woh baat naa kehna,


Milte hain hum jaise log buhat kam,

iss liye humse "KABHI ALVIDA NA KEHNA"



Main wohi hoon jise tum

Main wohi hoon jise tum dost kaha kerte the,

Din main sau baar mera naam liya kerte the,


Aaaj kiya baat hai kyon mujh se khafa bathay ho,

Kya kisi or ko dost bana bathay ho,


Fasly itne tu pehle na hua kerte the,

Main wohi hoon jise tum dost kaha kerte the,


Tum agar bhool gaye ho tu koi baat nahi,

Zakham tu pehle b iss dil pe laga kerte the,


Main wohi hoon jise tum dost kaha kerte the.....



Ajao ke abhi zabt ka

Ajao ke abhi zabt ka mausam nahi guzra,

Ajao ke abhi paharoon pe barf jami hai..


Khushboo ke jazeeroon se sitaroon ki hadoon tak,

Iss shehar main sab kuch hai ek teri kami hai....


Manzilain b us ki thi

Manzilain b us ki thi raasta b us ka tha,

Ek main akela tha qafla b us ka tha,


Sath sath chalne ki soch b usi ki thi,

Phir raasta badalne ka faisla bhi us ka tha,


Aj kyon akela hoon y dil swaal kerta hai,

Log tu usi ke the kya Khuda b us ka tha?????



Bay baat bigherte rehte ho, Baychain

Bay baat bigherte rehte ho,

Baychain hanesha rehte ho,


Ye sab nishani ishq ki hai,

Kiya ishq kisi se kerte ho,


Ratoon ko jagte rehte ho,

Aur taare b tum ginte ho,


Ye sab nishani ishq ki hai,

Kiya ishq kisi se kerte ho,


Zikar jo mera chalta hai,

Chehre ka rang badalte ho,


Baychain se tum ho jate ho,

Kia ishq mujhi se kerte ho.....



miti meri kaber se churata

miti meri kaber se churata hai koi mer ker bhi yaad ataa

hai koi ik pal ki zindagii or dai mere Allah udaas meri kaber se jata hai koi ....


saaz-e-dil may tarane bahut hain,

saaz-e-dil may tarane bahut hain,

zindagi jeene ke bahane bahut hain, a

ap sada muskurate rahiye apka muskurahat ke

deewane bahut hai. .-


ek sam jatihai tumara yaad

ek sam jatihai tumara yaad lekar,

hum ko us sam ka intzaar hai jo aye tumay sath lekar.


sath rehte rehte youn ki

sath rehte rehte youn ki waqat guzar jayega.

door hone k bad kaun kise yaad ayega.

jee lo yeh pal jab hum sath hain. kal kya pata waqt kahan le jaye ga


in ankhon main mari ansoon

in ankhon main mari ansoon na aay hotay...

ager wo yoon saray rha muskuray na hotay...

es ka bad DIL mara roya bhot.....

kash wo mari zindegi main aay na hotay...


main nay KHUDA say ak

main nay KHUDA say ak dua mangi....

dua main apni moot mangi....

KHUDA nay kaha main tujay moot to day doon mager us

PAGAL ka kia karoon jis nay DUA main tari Zindegi mangi.


Unse milne ko dil beqaraar

Unse milne ko dil beqaraar sa rehta hai,

Har ghadi har pal intezaar sa rehta hai,

Paheli si ban gayi hai mohabbat ki dastaan,

Iqaraar dil mein zubaan pe inkaar sa rehta hai,

Dil ke sehara se khayalon ke karwaan,

Guzar to jate hai par gubbar sa rehta hai,

Nazron se durr magar dil ke qareeb sa rehta hai,

Gair hokar bhi unpe aitbaar sa rehta hai,

Chahat ki girafat mein jab dil ho,

Na zor koi dil pe na ikhtiaar sa rehta hai.


Chehre pe mere zulfon ko

Chehre pe mere zulfon ko phelaao kisi din,

Kya roz garajte ho,baras jaao kisi din,

Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi din,

Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din,

Parindon ki tarah husn ki baharon mein naha lo kisi din,

Baadal ki tarah jhoom ke ghir aao aao kisi din,

Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se kisi din,

Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din.


Humein hota hai pyaar, Aur yeh

Humein hota hai pyaar,

Aur yeh dil bekaraar,

Magar aisa kyun hota,

Pata nahi mere yaar.


Jab milte nahi,

Baat karte nahi,

To kyun aisa lagta hai,

Maksad pura hua nahi.


Kuch karte nahi hum,

Bas sapne dekhte hain hum,

Kyun aisa hota hai,

Bata mere sanam.


Yaad aati hai bahut,

Jaan jaati hai bahut,

Magar mil nahi hum paate,

Yeh achcha nahi bahut.


Humein hota hai pyaar,

Aur yeh dil bekaraar,

Magar aisa kyun hota,

Pata nahi mere yaar.


Haal-e-dil yoon unhe sunaya gaya, Aankh

Haal-e-dil yoon unhe sunaya gaya,

Aankh hi ko zubaan banaya gaya,

Zindagi ki udaas raaton ko,

Aap ki yaad se sajaya gaya,

Ishq ki wo bhi ek manzil thi,

Har kadam par fareb khaya gaya,

Lakh toofan sametkar ek dil banaya gaya.


Dil ke diwaaron-dar par kya

Dil ke diwaaron-dar par kya dekha?

Bas tera naam hi likha dekha,

Teri aankhon main humne kya dekha?

Kabhi pyar,khabhi khuda dekha,

Apni surat lagi parayi si,

Jab kabhi humne aaina dekha,

Hay ! hay ! andaaz tere rookne ka,

Waqt ko bhi rooka-rooka dekha,

Humne sadiyon ka faasla dekha,

Phir na aaya khayaal jannat ka,

Jab tere ghar ka raasta dekha.



Ye Hadein na Tor dena,

Ye Hadein na Tor dena, Mere Da'ire mai rehna,

Mujhe apne Dil mai rakhna, Mere Haafze mai rehna


Mera Bojh khood uthana, Mera Karb Aap sehna,

Mere Zakhm Baant lena, Mere Rat-Jage mai rehna


Mera Hukum khood sunana, Meri Mohr khood lagana,

Mere Mashwarey mai hona, Mere Faisle mai rehna


Kabi Manzilon ki surat Meri Dastaras se bahar,

Kabi Sang-e-Mel ban ker Mere Raste mai rehna


Mere Haath ki Lakeerein, Tera Naam ban k Chamke,

Meri Khuahishon ki Khushbu, Mere Za'iche mai rehna



Main saahil pey likhee hoee

Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee

Jo lehron se mit jaati hay

Main baarish ki barasti boond nahee

Jo baras ker tham jaati hay

Main khwab nahee

Jisey dekha aur bhula dya

Main shama nahee

Jisey phoonka aur bujha dya

Main hawa ka jhonka nahee

Jo aaya aur guzar gaya

Main chand bhi nahee

Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh ahsaas hoon

Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay

Main to woh rang hoon

Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay

Main woh geet hoon

Jo teray labon se juda na hoga

Khwab,ibaarat, hawa ki tarah

Chand,boond, shama ki tarah

Meray mitnay ka sawaal nahee

Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN


Manzile bhi uski thi, Rasta bhi

Manzile bhi uski thi,

Rasta bhi uska tha.

Ek main akela tha, Kafila bi uska tha..

Sath-Sath chalne ki soch bi uski thi,

Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...

Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,

Log to uske the,

Kya KHUDA bhi uska tha....?



bohat roka dil ko, magar

bohat roka dil ko, magar yeh khoo gya

phir rafta rafta un sye pyar ho gya


iss jhooti duniya main, jhooti ana k bhais main

humein b koi mila, aur pyar ho gya


hota raha shoor, aur uss shoor-o-ghul main

ik bar un ko suna, aur pyar ho gya


grajtay rahay baadal. barasta raha sawan

barish ki pehli boond parhi, aur pyar ho gya


rooz jeeta tha, main rooz marta tha

aab k bar uss pye mara, aur pyar ho gya



sar-e-rahguzar pas-e-karwan main shikasta pa

sar-e-rahguzar pas-e-karwan main shikasta pa hon to is leye,

muje hamsafar to kae milay koi dil k sath mila nae,

mere hamsafr b ajeeb hai k ajeeb tar hon main ap b,

usay manzalon ka pata nae mujje raston ka pata nae,

~~~

Wafa ka Mujh se Takaza Na Karo Maray Dost

Rafaqatoon Ka Mere Shahr Main Rivaj Naheen Hai


kbi tanhai se mehroom na

kbi tanhai se mehroom na rakha muj ko, dost hamdard rahy kitne meri zaat k sath.


kal rath sapnai mai theri

kal rath sapnai mai theri thasweer bana dali,dil ko ithni achi lagi k sinay sai laga dali,kisi ki nazar lag na jahai,isi lihai ansoo sai mitta dali,,


Ek naam kia likha tera

Ek naam kia likha tera sahil ke rait per , Bedard lehron ne usse choom choom ker mita dala,


kbi tanhai se mehroom na

kbi tanhai se mehroom na rakha muj ko, dost hamdard rahy kitne meri zaat k


kuch door hamaray sath chalo.

kuch door hamaray sath chalo. ham dil ki kahani keh day gay. samjhay na jisy tum aankho say. wo baat zubani keh day gay. Dheeray say tumharay kano main ek baat purani keh day gay.Izhar_e_waffa tum keya jano. Iqra_e_waffa tum keya jano, hum zikar karain gay ghairon ka Or apni kahani keh day gay.


Meray dard ki kahani meri

Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,

Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,

Jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora,

Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora,

Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,

Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,

Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki,

Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki,

Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho,

Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho.


DOSTI KARO TO DHOKA MAT

DOSTI KARO TO DHOKA MAT DENA ,

DOSTO KO AANSOOAO KA TOHFA MAT DENA ,

ROAEY KOI TUMHAIN YAAD KARKAY ,

AESA KISI KO MOQA MAT DENA.....


Aapke khayalon se fursat nahi

Aapke khayalon se fursat nahi milti

Hame ek pal ki rahat nahi milti

Mil to jata hai sab kuch

Bus aapki ek jhalak nahi milti..!!



Aey Zindagi Mujh Se Ye

Aey Zindagi Mujh Se Ye Dagha Na Kar

Main Us K Bina Jiyun,Ye Dua Na Kar

Koi Dekhay Bhi Usay To Hoti Hai Jalan

Aey Hawa,Tu Bhi Ab Usay Chuwa Na Kar!!



 jawaab teri shayari ka.... denge

jawaab teri shayari ka....

denge hum shayari mein....

naam tera likh baithe hain....

apne dil ki diary mein.... .



Ajeeb larki hoon khud ko

Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahti hoon

Main khud ko rakh kar key kahin bhool jana chahti hoon


Mere naseeb ki khushiyan bhi kab mili muj ko

Bas ab to umer bhar aansoo bhahana chahti hoon


Najane kitni Mohabbat hai ranj-o-gham se muje

Koi bhi dard ho dil main chupana chahti hoon


Baha baha key ye aansoo bikher chuki hoon bohat

Simat key zaat main ab muskurana chahti hoon


Jise ek umer dil main chupa key rakha hai

Wo raaz aaj main sab ko batana chahti hoon


Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne

Baqi sarey sitam bhool jana chahti hoon


Muje zamane ne pather samaj liya hai

Main ek larki hoon sab ko batana chahti hoon


Jo mujse rooth chuki hain zamane ki khushiyan

To main bhi un khushiyon se rooth jana chahti hoon


Tu apne Dil key her ek dar ko khool de

Main dard ban ker tere dil main aana chahti hoon

~~~


kash khushyon ki 1 dokan

kash khushyon ki 1 dokan hoti

aur hamen unki pehchah hoti

bhar dety apka hur pal khushyon sae

qeemat iski chahy hmare jan hoti


Wo Jo Mairi Aankhoo Ki

Wo Jo Mairi Aankhoo Ki Chamak Tha

Jo Mairay Hoonthoo Ki Tabassum Tha

Jo Mairay Dil Ki Darkan Ki Manand Tha

Jo Mairay Wajood main Rooh Ki Terha Tha

Jo Mairay Chehray Ka Noor Tha

Wo To Shayed Samajh Hi Nahi Paya

K Sab Kuch To Ussi Ki Badolat Tha

Khata Tha Aisa Hi Daikhna Chahay

Maira Dil Tum Ko Hamaishaan

Phir Kioon Choor Gaya Woo Mujhay

Q Chamakty Ankhoon Ko Band Kar Gaya

Q Muskratay Hoonth See Gaya

Q Dil Ki Darkan Cheen Lay Gaya

Q Iss Jisam Ko Bay Rooh Kar Gaya

Q Iss Chehray Ko Bay Noor Kar Gaya

Wo To Shayed Samajh Hi Nahi Paya

K Sab Kuch To Ussi Ki Badolat Tha

From:Mujahid Maalik Kooria


Dil karta hai zubaan se

Dil karta hai zubaan se keh du,

kyun ruk jati hai zubaan labo pe akar.

Koshish to kar hi rahe hain,

samajhte nahi hai woh to kya karu unko batakar.

SaaMer +92 300 2711 588


Zara si bat der tak

Zara si bat der tak rulati rahi,

khushi me bhi aankhe aansu bahati rahi.

Koi mil k kho gaya to koi kho k mil gaya ,

zindagi humko bas aise hi aazmati rahi.


Dil karta hai zubaan se

Dil karta hai zubaan se keh du,

kyun ruk jati hai zubaan labo pe akar.

Koshish to kar hi rahe hain,

samajhte nahi hai woh to kya karu unko batakar.


Dil ki aag ko ashko

Dil ki aag ko ashko se bujha lenge,

aayegi jo yaad tumhari jaam utha lenge.

Humse behtar koi pyar mile to batana,

tumhari rahon se khud ko hata lenge.


raastey zindagi ke badal gaye garajtey

raastey zindagi ke badal gaye

garajtey huye badal thum gaye

roashni bhi daga de gayi

andhere ke pardey gir gaye

wo sapno ke aashiyan

aaj kaanch ki tarah toot gaye

do pal muskuraakar

wo humey tanha chod gaye....


Badi koshish k bad use

Badi koshish k bad use bhula diya,

uski yadon ko sine se mita diya.

1 din fir uska paigam aya,

likha tha mujhe bhul jao,

aur mujhe bhula hua har lamha yad dila diya.


Jagti aankho me ek khwab

Jagti aankho me ek khwab aaya,

koi humdard hai mera ye khayal aaya.

chot lagi dil pe toh dhyaan aaya,

kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.


dil-o-nazer se kuch dair b

dil-o-nazer se kuch dair b juda rakhon.

yeah mere bass main nahi k tuje khafa rakhun,

nahi hai kuch be mere zehan mein siwaye si ke

main teri yaad bhula dun to yaad kia rakhun...

kabhi jo mujh si koi pOch le meri marzi..

To apna naam "MOhaBaat" aur tera

"Wafa" rakhon.....


aaya tha ghar sa.Nvaarane ehasaan

aaya tha ghar sa.Nvaarane ehasaan kar gayaa

barbaadiyo.n kaa aur bhii saamaan kar gayaa

ab tak rahii us kii yaad merii zindagii ke saath

do char pal kii mujh se jo pahachaan kar gayaa

aa.Nkho.n ne jis ke shauq me.n raate.n sajaa_ii thii.n

Khvaabo.n ke anjuman vahii viraan kar gayaa

jho.nkaa nasiim-e-subah kaa aayaa to thaa magar

gul_shan kii har kalii ko pareshaan kar gayaa


ab k hum bichray to

ab k hum bichray to shahid kbe khabon me milain,

jaisay sokhay huay phool kitabon main milain,

dondh ujray huay logon main wafa ke moti,

ye khazanay tuje mumkin hai kharahbon me milain,

na to KHUDA he na mera ishq FARISHTON jaisa,

dono insan hain to kio itne hajabon main milain,

gham-e-duniya b gham-e-yar me shamil kar lo,

nasha bharta hai sharabain jo shrabon main milain,

aaj hum daar pe khainchay gaye jin baton par,

kia ajab kal wo zamanay ko nisabon main milain,

ab na me wo na to hain no wo mazi hai faraz,

jaisay to shakhs tammana ke sarabon main milain,


Jo Us K Hijr main

Jo Us K Hijr main kat gaye wo udas shamain he zindage hain,

mila hai jin main wo khab ban kar wo piari ratain he zindage hain,

wo shakhs kia tha k sath us ke zamana sara badag gya hai,

badal gaye hain wo lafz saray bus uske batain he zindage hain,

wo milta mujse to main khushi se khuda ko har pal he yad karta,

parhe the khushi se jo mil k us se wo mere namazain he zindagi hain,

kbe jo maine kitab kholi to us k chehray ko sath paya,

chupa hai jin main tmhara chehra wo kitabain he zindagi hain,


 Tu mujhy hath per saja

Tu mujhy hath per saja ly kangan ki tarah,

Main liptna chahta hoon tujh sy aanchal ki tarah,

Daikho kabhi na tum in aankhoon main aansoor lana,

Main saja hoon teri aankhoon main kajal ki tarah,

Our tu hay mery dil main is tarah,

Jesy baithi ho new saij per dulhan ki tarah


GUNGUNATAY HOWAY ANCHAL KI HAWA

GUNGUNATAY HOWAY ANCHAL KI HAWA DAY MUJKO!

UNGLIA PHAIR KAR BALO MAIN SULA DAY MUJ KO!

JIS TARAH FALTO GULDAN PARAY RHAYTAY HIA!

APNAY GHAR KAY KISI KONAY SAY LAGA DAY MUJ KO!

YAD KAR KAY MUJHAY TAKLEEF HI HOTI HO GI!

EIK KISA HO PURANA SA BHULA DAY MUJ KO!

DUBTAY DUBTAY AWAZ TAYRI SUN JAO!

AKHRI BAR TO SAHIL SAY SADA DAY MUJ KO!

MAIN TAYRAY HIJAR MAIN CHUP CHAP NA MAR JAO KAHI!

MAIN HO SAKTAY MAIN,KABHI A KAR RULA DAY MUJ KO!

DEKH MAIN HO GAYA HO BADNAM KITABOO KI TARAH!

MAYRI TASEER NA KAR AB TO JALA DAY MUJ KO!

ROTHNA TAYRA MAYRI JAN LAY JATA HAI!

MAIN BHI IC ISHQ MAIN AYA HO DUA DAY MUJ KO!

ROTHNA TAYRA MAYRI JAN LIYAY JATA HIA!

AYSAY NARAZ NA HO HANS KAY DEKHA DAY MUJ KO!

LOG KHAYTAY HAI KAY YEH ISHQ NIGAL JATA HIA !

MAIN BHI IS ISHQ MAIN AYA HO DUA DAY MUJ KO!

YEH UQAT HAI MAYRI TAYRAY JEEVAN MAIN !

KOI KAMZOOR SA LAMHA HO BHULA DAY MUJ KO!

OR KUCH NAHI MANGA MAYRAY MALLIK TUJ SAY!

US KI GALIO KI KHAK BANA DAY MUJ KO !


Kabhi yaad aye to 1

Kabhi yaad aye to 1 bar kahna...

Kabhi ansoo ban k na Aankhon se Behna....

Dost na sahi Tu ajnabi hi rehna......

Par...

@KABHI@

@ALVIDA@

@NA KEHNA@


Aa ja k abhi zabt

Aa ja k abhi zabt ka mausam nahi guzra

Aa ja k abhi barf paharon pay jami hay.

Khushboo k jaziron say samandar ki hadon tak

Is shahr mein sab kuch hay magar teri kami hay.


raste pe na baitho ke

raste pe na baitho ke hawa tang karegi,

bichre huye logon ki sada tang karegi,

mat toot ke chaho use aaghaz-e-safar mein,bichde gi to uski har ada tang karegi


mohabbat me yehi kissa mere

mohabbat me yehi kissa mere sarkar hota hai

jo dil ko jakhm dete hai unhi se pyar hota hai


Is dil ko to bas

Is dil ko to bas teri yaad aati hai,

aur is dil ko udaas kar jati hai,

Koi poochta hai tumse pyaar kitna hai kuch nahi keh pate bas aankh bhar aati hai.


kisi ne kaha phool se

kisi ne kaha phool se k mujh ko bata tu aj tak kyun khilta raha,


tu ne tu di sab ko khushbo tujh ko kya milta raha?

phool ne muskara ker kaha abhi tu nadan ha,

jiwan k sachay pyar se abhi tu anjan ha,

daine k badle kuch lena ,wo tu ek karobar ha

jo de ker bhi kuch na mange wohi sacha pyar ha.



hum yad tu tum ko

hum yad tu tum ko ate hon ge,

jab punchi geet sunate hon ge,

jab sawan ki rut ati ho gi,

jab phool khushbo mahkate hon ge

jab peeple patte girate hon ge.

jab judai k derd sattate hon ge

jab dosti kissi se hoti ho gi

jab dost bicher k jate hon ge

HUM YAAD TU TUM KO ATE HON GE.


Raaz dil ka dil mein

Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,

Samne aate hi nazar jhukate hai woh,

Baat karte nahi, ya hoti nahi,

Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.


kab tak ye hansi chehray

kab tak ye hansi chehray pe sajatay phiro ge,

ek din apna ap b sab se chupatay phiro ge,

sab apno k roth jany k bahd b tum!!!!!!!!

kia yunhi chahat sab pe lutatay phiro ge,

mere yadain tere needhon ko churain ge jabse,

btao phir kis ko khabon me basatay phiro ge,

sila kuch b nahe hai mohabat ka yahan par,

dost kehtay hain wafa kab tak nibhatay phiro ge,

na wo shakhs bewafa that na tum bewafa ho,

ye kahani tum kis kis ko sunatay phiro ge,

rait pe likho ge koi nam to lehron ki nazar hoga,

tum yunhi nam mera likhtay aur mitatay phiro ge,


kaha us ne bharosa dil

kaha us ne bharosa dil pe itna nahi kerte

kaha main ne mohabbat mein kabhi socha nahi kerte

kaha us ne bohut khush rang duniya k nazare hain

kaha main ne jab tum ho tu hum kuch dekha nahi kerte

kaha us ne main tum se door hon lakin tumhara hon

kaha main ne k sapne mein dil ko behlaya nahi kerte

kaha us ne tumhari chahat tumhain ruswayan de gi

kaha main ne shohrat se ghabraya nahi kerte

kaha us ne samajh jao samajh jao aey mere dost

kaha main ne k dewano ko samjhaya nahi kerte.


MERE SABER KA IMTIHAAN MERI

MERE SABER KA IMTIHAAN MERI KHAMSHI KO SADA NA DE...

JO TERE BGHAIR NA JEE SAKE OSE ZINDAGI KI DUA NA DE!!

TUJHE BHOOL KER NA BHOOLA SAKON,TUJHE CHA KER BHI NA PA SAKON....

MERE HASRATON KA SHUMAAR KER,MERI CHAHTON KA SILA NA DE!!

MUJHE CHOR DE MERE HAAL PER TERA KYA BHAROSA AE CHARA GER....

YEH TERI NWAZISH E MUKHTASIR MERA DARD OR BERHA NE DE!!

WOH MEHAK JO SHOLA E JAAN MAIN THI,MERE TUN BADAN SE LIPAT GAI...

JO BUJHA SAKE TO BUJHA DE,ONHE NA BUJHA SAKE TO HAWA NA DE!!!


Rone wale tujh ko kis

Rone wale tujh ko kis bat per rona aya?

aaj hum ko apne aap per rona aaya


tout to chuka tha dil barson pehelay

aaj dil k totnay per rona aaya


jantay thay k sangdil hay zamana

aaj zamanay ki sangdili per rona aaya


mashhoor tha jo shakhs apni bewafai k liyan

aaj us ki bewafai per rona aaya


lati thi jo saba khoshbo us ki

aaj us saba per rona aaya


mehekti thi jo hatoon men us k

aaj us hina per roona aaya


tarpati thi joo us ki yadoon men

aaj us shabe tanhai per roona aaya


masomiyat thi jo us k chehray per sane

aaj us masomiyat per roona aaya



Anjaan ek sathi ka is

Anjaan ek sathi ka is dil ko intejar hai,

Pysasi hain ye aankhen aur dil bekarar hai ,

Unke saath mil jaye to har raah aasaan ho jayegi,

Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai


Mere Qareeb to aao k

Mere Qareeb to aao k boht Udaas hoon Mai

Bus aaj Toot ker chaho k boht Udaas hoon Mai

Kisi b Jhoote Dilaase se Dil ko behlao

Koi Kahani sunao k boht Udaas hoon Mai

Andheri Raat hai kuch b Nazar nahi aata

Sitaare Torr ker lao k boht Udaas hoon Mai

Suna hia Tere Nagar mai Khushi b milti hey

Mujhe Yaqeen dilao k boht Udaas hoon Mai

Ye Shaam yun hi guzar jayegi dabe

paaon..

Pyar ka Geet sunao k boht Udaas hoon Mai


vo thaka hua mere bhaon

vo thaka hua mere bhaon me zra so gya tha to kia hua,

abe maine daikha hai chand b kisi shagh-e-gul pe juka hua,

jisay le uri hai abe hawa wo warq tha dil ke kitab ka,

kahin ansuon se mita hua kahen ansuo se likha hua,


suni zindagi mein hulchul si

suni zindagi mein hulchul si mehsoos hui,

bejaan dil ki dhadkan aaj mehsoos hui,

jaane kyun aisa laga,

shayad aapki kami mehsoos hui..


Mohbat ka irada badal jana

Mohbat ka irada badal jana bhi muskil hai,

unhe khona bhi muskil hai unhe pana bhi muskil hai.

Zara si bat par ankhe bhigo kar baith jate hain,

unhe to apne dil ka hal batlana bhi muskil hai.

Udasi unke chehre par gavara bhi nahin lekin,

unke khatir sitare tod kar lana bhi muskil hai.

Yaha logo ne khud par itne parde daal rakhe hain,

kis ke dil mein kya hai nazar aana bhi muskil hai.

Mana ke kwab mein mulaqat hogi unse,

par unke bin nind ana bhi muskil hai..


dil b pagal hy k

dil b pagal hy k os shkhs se wabsta hy,jo kisi or ka hone de na apna rakhe,ye ata'at hy qina'at hy k chahat hy faraz,hm to khsoh hy k wo js haal mn jaisa rakhe


Koi hame pyar kare aisa

Koi hame pyar kare aisa koi pyar nhi milta, zindagi bhar saath nibhaye aisa koi yaar nhi milta. Dil mein hai umang kisi se pyar karne ki, magar koi hame ji bhar k pyar kare aisa koi dildar nhi milta



kuch pane se kuch khone

kuch pane se kuch khone ka maza or hai

band ankhon main rone ka maza or hai

ashk bane shabd or shabd bane gazal

us gazal main tera zikar hone ka maza or hai

yun to hum har sham hi pite hain magar

teri yaad main ro-ro ke pine ka maza or hai


meetha intezaar toh intezaar se

meetha intezaar toh intezaar se yaar meetha

meetha yaar toh yaar se pyaar meetha

meetha pyaar toh pyaar se meethi apni yaari

isse meetha kuh na mila dekhi duniya saari


Ankho me aansuo ko ubharne

Ankho me aansuo ko ubharne na diya,

Mitti ke motiyo ko bikharne na diya,

Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan,

Us raah se kisi ko gujarne na diya


hm nazuk nazuk dil wale,kbihnste

hm nazuk nazuk dil wale,kbihnste hy kbi rote hy,kbi dil mn khwab perote hy,kbi mehfil mehfil phirte hy,kbi zat mn gum ho jate hy,kbi geet labon pe aate hy,kbi chup ki mohar sajate hy,kbi sbka dil behlate hy,kbi khod tnha ho jate hy,kbi shb bhr jagte rehte hy,kbi lambi taan k sote hy,hm nazuk nazuk dil wale,bs apne ap mein rehte hy


Dosti Nazaro se HoTo Use

Dosti Nazaro se HoTo Use Kudrat Kehete hai,

Sitaro Se Ho To Jannat Kehete Hai,

Husn se Ho To Muhobbat Kehte Hai,

Our Agar Humse Ho TO KISMAT KEHETE HAI. 


KAL AGAR MAIN MARJAON TO

KAL AGAR MAIN MARJAON TO MERE

JISM SE DIL KO NIKAL LENA

MUJHE MERE DIL KI FIKAR NAHI

FIKAR TO US MAY REHNE WALE

AAP KI HAI


Yahi To Khubsurat Dosti Ka

Yahi To Khubsurat Dosti Ka Nata Hai Jo Bina Kisi Shart Ke Jiya Jata Hai,

Rahe Duniya To Parwah Nahi ,

Dost To Harpal DIL Me Paya Jata Hai..... 


Dosti Nazaro se HoTo Use

Dosti Nazaro se HoTo Use Kudrat Kehete hai,

Sitaro Se Ho To Jannat Kehete Hai,

Husn se Ho To Muhobbat Kehte Hai,

Our Agar Humse Ho TO KISMAT KEHETE HAI.


häme här päl uñki yääd

häme här päl uñki yääd äti hä

Dil puchtä hä bär-bär humse

Jiñhe hum yäd kärte hä

kyä uñhe b hämäri yäd äti hä.


Bohat sun rakha tha mein

Bohat sun rakha tha mein nay naam Mohabbat,

aur socha tha k sirf ik lafz hai Mohabbat,

hamesha mein nay Mohabbat ko ik rishtahe samjha,

iss ki gehrayoun ko mein bilkul b na samjha,

per jub say khud iss aag mein jalnaylaga hoon...

mein Mohabbatka matlab samajhnay laga hoon,

kisi ko daikhna Mohabbat, kisi ko sochna Mohabbat,

kisi ki khatir khud ko badalna Mohabbat,

kisi k naam say chehray per muskurahat aana,

kisi ki yaad mein khud ko bohat rulana Mohabbat,

kisi ko paanay ki dil mein hasratain bhi hoon...

kisi ki aarzoo Mohabbat kisi ka armaan Mohabbat,

Mohabbat mein yehi sub tou ehsasaat hotay hain,

kuch paana Mohabbat aur kuch khoona Mohabbat.


Tera dard tha teri yaad

Tera dard tha teri yaad thi,

mein jahan gya mein jidher gya,

mera din tou yunhi guzer gya,

junhi raat hui mein bikher gya,

In badilon ka mairey yaar say...

bara milta julta mizaaj hai,

kabhi toot k yeh baras gya...

kabhi berukhi say he guzer gya,

jubchooron ga mein uski gali...

usay yaad aye gi tub meri,

mujhay dhoonday ga woh gali gali,

yeh khaber milay gi k mein mer gya,

abhi tang hai woh mairey naam say.....

mairey baad poochay ga doosto...

woh kahan hai mera humsafar?

woh kahan gya

woh kidher gya!