lagyishun sy mawra wo b

lagyishun sy mawra wo b nhi ma b nhi

dono insan hai KHUDA wo b nhi ma b nhi

muslahut ny kr dia dono ma paida ihtilaf

warna fitrat ka bura wo b nhi ma b nhi

muhtalif simton ma dono ka safar jari rha

eik pal k liy ruka wo b nhi ma b nhi

chahtay dono bht eik dosary hai magar

ya hakikat ha manta WO B NHI MA B NHI



KuCh tO JIte HaIN JaNNat

KuCh tO JIte HaIN JaNNat Ki taMaNNa LeKaR...

KuCh taMaNNaye JINa $iKha detI HaIN...

HuM Ki$ taMaNNA Ke $ahaRE JIYe;

Yeh ZINdaGI RoJ Ek taMaNNA Bada detI HaIN.. !!



 KAL HALKI HALKI BARISH THI kal

KAL HALKI HALKI BARISH THI

kal sard hawa ka ruqs b tha

kal phool b nikhray nikhray thy

kal un mai ap ka aks b tha

kal badal kaalay gahray thy

kal chand py lakhoon pehrey thy

kuch tukry ap ki yadoon k

bari dair sy dil ma thehray thy

kal yadain ulghi ulghi theen

aur kal tak yah na sulgi theen

KAL YAAD BHT TUM AAY THY

KAL YAAD BHT TUM AAY THY .




 Mujhay Aksar Vo Kehti Thi

Mujhay Aksar Vo Kehti Thi Muhabbat Kuch Nahi Hoti

Hijar Ka Khauf Be Matlub,Vasal k Khuwab Be Mani

Koi Soorat Nigahon Mein Kahan Din Raat Rehti Hay

Usay Kioo Khamoshee Kahiye k Jis Mein Baat Rehti Hay

Yeh Aansoo Be Zuban Aansoo Bhala Kya Bol Saktay Hain

Kahan Dil Mein Kisi Ki Yaad Se Toofan Uthtey Hain

Kahan Palkon k Saaye Mein Nami Din Raat Rehti Hay

Kahan Hoti Hain Vo Aankhein Jahan Barsaat Rehti Hay

Mujhay Aksar Vo Kehti Thi Muhabbat Kuch Nahi Hoti

Magar Jab Aaj Barson Baad Main Ne Uss Ko Dekha Hay

k Uss Ki Jheel Aankhon Mein Hijar Ka Khauf Rehta Hay

Vasal k Khuwab Rehty Hain Vohan Barsaat Rehti Hay

Yun Lagta Hay Kayii Raaton Se Vo Soyi Nahi Shayed

Yun Lagta Hay Kisi Ki Yaad Ab Din Raat Rehti Hay

Aur Uss Ki Narm Palkon k Haseen Saaye b Geely Hain

Aur Uss Ki Khamoshi Aisi k Jis Mein Baat Rehti Hay

Mujhay Ab Vo Nahi Kehti Muhabbat Kuch Nahi Hoti

k her deewar per ab wo kisi ka naam likhti he





 aankhen band karta hoon tu

aankhen band karta hoon tu ussse dekhta,

aankhen kholta hoon tu usse dekhna chahta hoon,

apni har saans main usse paa ta hoon,

log kehte hain yeh sacha pyaar nahin,

tu phir kyon uske liye main pal pal marta hoon?


 Ajeeb shaks tha akisa mizaj

Ajeeb shaks tha akisa mizaj rakhta tha

saath reh ker bhi ikhtlaf rakhta yha

main kyun na daad doon us k fun ki

mere her sawal ka jawab rakhta tha

wo tu roshniyon ka basi tha magar

meri andhar nagri ka bra khyal rakhta tha

MOhabbat tu thi ose kisi aur se shayed

hum se tu yun hi hansi mazak rakhta tha


 BHULAYA NA JAA SAKA............ Palkon pe

BHULAYA NA JAA SAKA............

Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka

us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera

ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood

aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain

jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho

hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka

woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar

chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye

magar faasla ana ka mitaya na jaa saka




 Meri Khamosh Mohabbat Ka Itna To

Meri Khamosh Mohabbat Ka

Itna To Sila Diya Hota,

Kabhi Ek Nazar Chahat Se

Dekh Hee Liya Hota


Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat

Se Aashna Karte,

Bas Ek Baar Apne Dil Mein

Aane To Diya Hota.


Kiya Jata Tumhara Bas

Hamein He Dil Se Khushi Milti,

Apni Zindagi Ki Kitaab Mein

Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.


Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,

Tumhare Haath Ki Lakiron Mein

Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.

Meri Khamosh Mohabbat Ka

Itna To Sila Diya Hota,


 Pyar ka pehla khat likhna

Pyar ka pehla khat likhna mai waqt toh laghta hai


naye pariendo ko udne main waqt toh lagta hai


jism ki baat nahi thi unke dil tak jana tha


lambi dori tayen karne mein waqt toh laght hai


Tum meri soch ho koi

Tum meri soch ho koi or tmhe soche Q

tum meri chahat ho koi or tmhe chahe Q

tum meri nazar ka aaina ho koi or tmhe dekhe Q

tum meri dua ho koi or tmhe mange Q ! !


 Na RasTa SuJhaYI deta HaI Na

Na RasTa SuJhaYI deta HaI

Na ManzIl DikhayI DeRi HaI

Na LafZ ZuBaAn pE AaTe Hain

Na dhArKan suNayi DeTi haI

Ek AjEeB Si KAifIyaT Ne Aa'n GHeRa HaI MujHe

K har Surat MaIn TerI Surat DiKhaI DeTi HaI ........


Koi to Aisa Hua Kare

Koi to Aisa Hua Kare Jo Mujhe Dekh Dekh Ker Jiya Kare

Jo Meri Khushi Main ho KhusH Sada

Mere Gham Main mera Dukh Saha Kare

Jo UthAy Kabhi Haath wo, Mere Liye Hi Dua Kare

Main bhi To Ek Kitaab Huun

Mujhee Chupke Chupke Parha Kre

Khuda Se Mujh Ko Wo Maang Le

Ho Dua Poori Khuda Kare



 Uski Yaadon Main Us ki

Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main

Kahi'n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga

Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo'n Main

Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga ...

 Jab Raat K tanha Lamho\'n

Jab Raat K tanha Lamho\'n Main


Koi Aahat mujh Se Kehti hai


Is Dil Main Hulchul Rehti Hai


Koi Jugnoo Paas Se guzre Tou


 Koi Baat Halak Se Nikle

Koi Baat Halak Se Nikle Tou

Main Khud e Ulajhne Lagta Huun

Phir Jane Kia Kia Kehta Huun

Phir Yaad tumhaari aati hai

Ye Saans Meri Ruk Jaati hai

Ek Shola Mann Main Bharakta Hai

Wo Dard Seher Tak Rehta Hai

Phir Weham Ye Mujh e Kehta Hai

"Koi Mere Dil main Rehta HaI"


 Wo na Aaye Un ki

Wo na Aaye Un ki Yaad Aa ker Wafa Ker Gai


Unse Milne Ki Tamanna SukOon Tabah Ker Gai


Aahat Hui Socha Asar Dua Ker gai


Darwaza Khula To Dekha Mazaq Hum Se hawa Ker gai ..................


 ussne to dil jaan sab

ussne to dil jaan sab dene ke waade kiye

fir kyu dil todh ke dhokhe diye

sath thi mai jab toh kyu jaane ka socha

jab chodna hi tha toh kya yeh dard diya......


meri rooh jesay kuchal gya, koi

meri rooh jesay kuchal gya,

koi shaks aisy badal gya,


ye kis ka harf-e- dua raha,

k main girty girty sanbhal gya,


teri yaad jab aany lagi,

mera dard jesy behal gya,


meri qismaton ka qaafla,

kisi aur janib nikal gya,


tumhain dekhty hain bysabab,

koi khawab mera machal gya,


mera patharon sa garoor tha,

magar tery aqgy pighal gya..

 Zamanay Bhar Ki NigahOn Main

Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay

Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay


Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa

Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas

K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay

Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel

Wo Chaand Aaj Bhi IMRAN Ko Kam Numa Sa Lagay ....


 AA kisi roz ksi dukh

AA kisi roz ksi dukh pey akhthey roein

jis trah kisi merg-e- jawan saal pey dehaatoon mein,,,,

boorrhyaan rotey huey beyn kia kerti hein

AA kisi roz ksi dukh pey akhthey roein.....................


 dil e barbaad se nikla

dil e barbaad se nikla nai ab tak hai koi

ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi

aas jo toot gai phir se bandhata q hai

yahi duniya hai to phir aisi ya duniya q hai..............


maine bheedh mein sada khud

maine bheedh mein sada khud ko tanha paya,

kabi koi shaks mere dil ke raaste pe chal na paya

kehne ko to mera jahan hai muqammil

phir kyon dil k kisi kone mein hamesha ek benaam dard ko ubharte paya?

aisa b nahi k ye zindagi dosti se mehroom hai

lekin ye b to sach hai k apni faili hui baahon ko maine khud mein hi


simat te paya ek nai umang

simat te paya

ek nai umang mein har baar meri aankhon ne kshitij mein sama rahe


sooraj ko nihara.........par phir subhe ki laalima mein palkon ko


bheega hua paya

shaamon-sehar bas tanhai..........aur har lamha isi soch mein beeta

is duniya ko main samajh nahi payi ya is bhari duniya mein koi


..............mujhe samajh nai paya?