Yaadon ko tumhari dilse n

Yaadon ko tumhari dilse n bhulayege,

ek pal b bichard kar tumse dur nahi jayage.

Kabi sapne me to kabi yaado me ayage,

kabi dilse yaad kark dekhna samne a jayage


Mana durion ka daur aa

Mana durion ka daur aa gya ab,

Hr roz milne wale hm dost ab na mil payenge hm sb.

Pr rishto ki dor ke pkke hone ka yehi ehsas hai,

Bhulenge kaise beshk aankhon se dur hai

pr dil ke to pas hai.

'Tbhi to ae dost apni dosti khas hai'.


Aapki muskan kabhi hoto se

Aapki muskan kabhi hoto se n chute.

Duniya me aapse koi na ruthe.

Mehrban ho khuda itna aap par,

Ki Aasman par tare bhi aapki marzi se tute.


Ajeeb lgti hai shaam kabhi

Ajeeb lgti hai shaam kabhi kabhi,

ZiNdagi lgti hai bejaaN kbhi kbhi.

Samjh Aaye to hame bhi bataNa ki,

kyouN karti haiN yaadeiN paresaaN kabhi kabhi.


Aapki muskan kabhi hoto se

Aapki muskan kabhi hoto se n chute.

Duniya me aapse koi na ruthe.

Mehrban ho khuda itna aap par,

Ki Aasman par tare bhi aapki marzi se tute.


Ajeeb lgti hai shaam kabhi

Ajeeb lgti hai shaam kabhi kabhi,

ZiNdagi lgti hai bejaaN kbhi kbhi.

Samjh Aaye to hame bhi bataNa ki,

kyouN karti haiN yaadeiN paresaaN kabhi kabhi.


Kabhi khushi se khushi ki

Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi dekha

Tumhare baad kisi ki taraf nahi dekha

Tear intezaar lazim hai ye sochkar

Tamaam umra ghadi ki taraf nahi dekha.


Aaj bhi unki nazron mein

Aaj bhi unki nazron mein raaz wohi tha

Chehra wohi tha chehre ka libaas wohi tha

Kaise keh dun ki bewafa hain wo

Aaj bhi unke dekhne ka andaaz wohi tha


Kabhi khushi se khushi ki

Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi dekha

Tumhare baad kisi ki taraf nahi dekha

Tear intezaar lazim hai ye sochkar

Tamaam umra ghadi ki taraf nahi dekha.


Aaj bhi unki nazron mein

Aaj bhi unki nazron mein raaz wohi tha

Chehra wohi tha chehre ka libaas wohi tha

Kaise keh dun ki bewafa hain wo

Aaj bhi unke dekhne ka andaaz wohi tha.


Jab Sawan Main Tanha Bheego

Jab Sawan Main Tanha Bheego Gey

Jab Aangan Khali Pao Gey

Jab Sahil Se Takrati Lehron Mein

Apni Tanhai Mein Kho Jao Gey


Jab Raat K Tanha Daman Mein

Tum Chand Ko Aadha Pao Gey


Jab Khud Se Baatein Kartay Kartay

Tum Door Kahin Kho Jao Gey


Jab Dil Ki Baat Chupanay Ko

Hum Se Nazer Tum Churao Gey


"Mein Tum Se Mohabbat Karta Hon"

Har Baar Ye Sunna Chaho Gey


In Sab Lamhon Mein Jaan Lena Key

Tum, Tum Nahi "HUM" Ban Jao Gey


Tum Raaz agar hotey, Mein

Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leta

Muskaati hui Aankhein, aelaan na bun jaaein

Jab naam tera aata, Palkon ko jhuka leta


Tum meri taraf chal kar, jiss raah se bhi aatey

Hur simt meri Aankehin, qadmaon ke taley paatey

Aik meethi hansi , hans kar , sow phool khilaa jaatey


Yeh Phool Utha leti, Rangon mein naha leta

Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leta


Tum meri umeedon ki kashti ke liyey Saahil

manzil ke liyey Rusta, Aankhon ke liyey Kajal

Tum Dhoop mein jab aatey, bun jaati waheen Badal


Aawaaz agar hotey, Geeton mein saja leta

Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leta


Terey Intizaar Ki Had Say

Terey Intizaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Hum Apnay Ikhtiyar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Likhi Gayein Naseeb Main Kuch Aisi Hijratain

Har Ajnabi Deyaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Jagi Hai Apnay Dil Main Gulaboon Ki Aarzoo

Jab Mousam-E-Bahar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Ab Zakhm Haye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho

Yeh Zakhm Tu Shumar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Teri Nigha-E-Mast Say Hum Itnay Pee Gaye

Itni K Har Khummar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gham Koi

Jaisey K Jeet Haar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Hasrat Say Mouj-E-Gham Bi Humain Dekhti Rahin

Hum Behr-E-Bar Kinaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Atti Hain Saaf Saaf Nazar Ghum Ki Manzilain

Yeh Qaflay Gubaar Ki Had Say Ghuzar Gaye..


Naram palko ke saye me

Naram palko ke saye me chupa le apko,

Ji krta hai is jahan se chura le apko.

Hai khauf k reh na jaye tanha saasen,

Bachi sanso ki khushbo me basa le apko .


Aankhon ko band karoge hame

Aankhon ko band karoge hame hi dekhoge,

aankhon ko khologe to hame hi paoge.

Zindagi me kabhi rona mat,

varna un aansuon me hame hi gavaoge.


yado me hum rahe ye

yado me hum rahe ye aihsas rakhna,

najro se dur sahi dil ke pas rakhna.

hum ye nahi kahte ki sath sath raho,

par dur se hi sahi hume yad rakhna...yaad rakhna..... 


Jeene Ki Nayi Ada Di

Jeene Ki Nayi Ada Di Hai,

Khush Rehne Ki Usne Dua Di Hai.

Ae Khuda Use Sara Jahan Dena,

Jisne Apne Dil Me Hume Jagah Di Hai.


socha nahi acha bura, dekha

socha nahi acha bura, dekha suna kuch bhi nahi

manga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahi


socha tujhey, dekha tujhey, chahatujhey, puja tujhey

meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nai


jis per hamari aankh ne moti bichay raat bhar

bheja vahi kaghar usey, hum ne likha kuch bhi nahi


ik sham ke saey talley bethay rahey vo der tak

aankhon se ki batein bohat, moan se kaha kuch bhi nahi


ihsaas ki khushboo kahan, awaz ke jugnoo kaha

khamoosh yadon ke siva ghar main raha kuch bhi nahi


do char din ki baat hey dil khak mein mil jae ga

jub aag per kaghaz rakha, baki bacha kuch bhi nahi ...


khamoosh chahatoon ki mehuk os

khamoosh chahatoon ki mehuk os taref bhi hay

jo meray dil mein hay kasak os taref bhi hay

kerb-e-sshabistaan-e-hijr say hum bhi hein aashna

aankhoon mein retjagoon ki jhalak os taref bhi hay

hein es taref bhi taiz bohut dil ki dhurkanein

bai-taab choriyoon ki khanuk os taref bhi hay

sham-e-fraq ashk edhur bhi hay zo-fishan

pulkoon peh jugnaoon ki damuk os taref

bhi hay... 


mohabbat k safar main har

mohabbat k safar main har utarne waale ko kashtiyan nahin milti

door door tak jana dhoop ki musafehat hai

aur kahin bhi pal bhar ko dhoop k mmusafir par

saiban nahin khulte

is ajab samundar main umr ki raiyazat hai

uske baad humne jana hai

jis tarah feezaon main udne wale parinde par

barasa baras ye aasman nahijn khulte

raazdaan nahin milte

baamo-dar nahin khulte

is samundar main

har utarne wale ko kashtiyaan nahin miltin

aur mil bhi jayen to baadbaan nahinkhulte

mohabbar k samundar main

dukh aur dard hi milte hain

mohabbat nahin milti .. 


nA kisi ki Aankh ka

nA kisi ki Aankh ka noor hoon na kisi k dil ka karar hOon

jo kisi k kaam na AA saka mein wo ek musht-e-gubaAr hoOn


na to mEin kisi ka haBib hOon na kisi k dil ka karar hoon

jo bigar gaya wo naseEb hoon jo ujer gaya wo dayyar hoon


mera rang roop biger gaya mera yaar mujhse bicher gaya

jo chaman fizaa mein ujer gaya mein uski fasl-e-bahar hoon


perhey fatiha koi AAi kyun koi chaAr phool charhaii kyun

koii Aa k shamma jaali kyun mein wo be kasi ka mazAar hoon


mEin nahii hoon naghma-e-jann fishaAn, mujhE sun k koii karega kya

mEin barey rOg ki hoon sada mEin barey dukh ki pukaAr hoon..!! 


Hosh waloon ko khabar kiyan

Hosh waloon ko khabar kiyan Baykhudi kiya chez hay

Ishq kee jey phir samjheeey, zindigi kiya chez hay


Un say nazrain kiya mileen, roshan fizain ho gaain

Aj jana pyar ki jadoogari kiya chez hay


Khoolti zulfoon nay sekhai mosamoo ko shairi

Jhookti ankhoon nay bataya maaykashi kiya chez hay


Hum laboon say keh na pay un say hal-lay dil kabhi

Aur wo samjhay nahi ye khamoshi kiya chez

hay.... 


Uss nay Khat main Ishq ka

Uss nay Khat main

Ishq ka Matlab Pooch liya hai

Mein nay Likha hai

Jab Koi Chehra

Dhiyaan Mein Akar

Maan Angan mein Phool Khila day

Jab Koi Naam Labon ko Choo kar

Dharkano ki Tarteeb Bhula day

Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se

Atish ko Gulzar bana day

Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna

Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai

ISHQ se Pehlle ISHQ ka Matlab kab

Khulta hai....


Kuch aur KHUDA se nahi

Kuch aur KHUDA se nahi chahte hain hum

us se judda na hon yeh DUA maangte hain hum

is main bhala jahan se darrne ki kya baat hai

hum her jagah kahenge us se chahte hain hum

maangte agar woh jaan bhi hazir hai doston

us ki koi baat kahan taalte hain hum


Mein Apna Ajj Apna Kaal

Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon

Mein Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon


Mera Guzra Hua Kaal To Mere Mazi Ka Hisah Hai

Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon


Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Barishein, Jara

Mein Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon


Tumhare Dukh, Udasi, Gham, Sabhi Ranj-o-Alam Lekar

Mein Yah Khushion Bhari Chagal Tumhare Naam Karta Hoon


Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar

Shaab-e-Tera Ka Sab Kajol Tumhare Naam Karta Hoon


Tumhare Bin Yah Har Aik Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai

Mein Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon


Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin

Mein Yah Sawan, Ghatta, Badal Tumhare Naam Karta Hoon .... 


Ankhen apki ho, par ansu

Ankhen apki ho, par ansu mere

Zindagi apki ho, par sanse meri

Dil apka ho, par dharkan meri

Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi

Kafan apka ho, aur maut meri.

App Ne Kisi Aur Ke Liye Humein Chor Diya

App Ne Kisi Aur Ke Liye Humein Bhula Diya

Hum To Waise Bhi Dunya Main Tanha They

Acha Huya Jo App Ne Ehsas Dila Diya


Chupchap kahin rakha to hai, Ek

Chupchap kahin rakha to hai,

Ek khwaab humne dekha to hai


Kal shaam yun hi tanha baidkar

Tere bare me socha to hai,


Doobte sooraj ugte chaand par,

Tere liye paigaam bheja to hai,


Behti hawa,saagar ki lehron par,

Tera hi naam likha to hai,


Aasman ko jab gaur se dekha,

Tera hi chehra dikha humko hai,


Karib ka nahi door ka sahi,

Koi ek rishtaa banaa to hai...


yeh zindagi bhi kya zindagi

yeh zindagi bhi kya zindagi hai,

agar humsafar saath na ho,

yeh zindagi bhi kya zindagi hai,

agar dost toh ka saath na ho,

pyaar mai kisie pe daaya nahi aati,

aaj kal har koi yeh samjha nahi pata,

pata nahi zindagi mai kya galti ki,

uski saza aaj mile rahi hai,

kash zindagi saza dene se phela baathe toh deti,

kash maine yeh mohabbat nahi ki hoti,

itna dukh itna dard dil mai rekhna tu nahi parte,

kash yeh humsafar humko chod ka gaya nahi hota,

phir itna zulum tu sena nahi parte


wo pani ki lehron pay

wo pani ki lehron pay kya likh rahi thi

khuda janay, harf-e-dua likh rahi thi


likha jis nay nawal wafa ka adhora

wohi pyar ki ,inteha likh rahi thi


bhala kartay kartay guzari jawani

magar pir bi khud ko ,bura likh rahi thi


muhabbat mai nafrat mili thi usay bi

jo har shakas ko ,bewafa likh rahi thi


zara uski ankhoon se ansoo na niklay

wo jis waqat lafz ,saza likh rahi thi


namaz-e-muhabbat mai wo apnay

hoay thay jo sajjday, kaza likh rahi thi


Ban sahara be-saharo ke liye ban

Ban sahara be-saharo ke liye

ban kinara be-kinaro ke liye

jo jeeye apne liye toh kya jeeye

jee sakke toh jee hazaro ke liye


kaheen durr wadion mein kash

kaheen durr wadion mein kash humtum hotey

Intehaye mohbaat ki kashish humtum ankhon se kehtey


koi na dekhey na kisi ki ho parwah

hum duno hojaye chalo kuch deyr ke liye gumrah


teri arzoo thi kab se tughe paya hai aaj

kisey sunao mein kaise dil jhoom utha hai aaj


tughse do ghadi baat karle tau machal utha hai yeh dil

samghatey nahi samaghta kyun hai yeh itna gafil


Aao na itne kareeb ke hum durr na ho paye tumse

Azmao na hume itna kaheen hum darr na jaye tumse


SUNO SIRF AIK BAAR TUM CHAHAY

SUNO SIRF AIK BAAR



TUM CHAHAY NA MUJH SAY BAAT KARNA

MAGAR AIK ILTIJAA HAI TUM SAY

SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAY KAR

KOI BHI ACHAY SAY KAPRAY PEHANANA

AUR PHIR HALKA HALKA SA SINGHAR KARNA

MEIN TO NA TUMHAIN DAIKH PAAOONGHA LAIKIN

SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAIKAR

AANKHON KO BAND KARNA

DONO HAATHON MEIN CHUPA KAR

GHUMAAN KARNA KAY MEIN TUMHAIN DAIKH RAHA HOON

FORAN AAINA DAIKHNA

AIK TABDEELI HO GHI TERAY HUSN MEIN

JAISAY PHOOL SHABNAM SAY THODA JHUK GAYA HO

SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAI KAR

SEENAY PAY HAATH RAKHNA

DADHKAN TO SAAF SUNAAEE DAY GHEE

MAGAR US KI SHIKAAYAT KO BHI MEHSOOS KARNA

SUNO SIRF AIK BAAR........ ....

APNAY HAATH PAY MERA NAAM LIKHNA


haathon main pighal janay ko

haathon main pighal janay ko jee chahta hay

Aatish-e-shoaq main jal janay ko jee chahta hay...

Tujh say ik raaz ki sargoshi bhi karna chahoon

Phir wohi raaz nigal janay ko jee chahta hay...

Dil yeh chahay kay tere dil main rahoon dil ban kay

Phir usi dil say nikal janay ko jee chahta hay...

Wehshat abad makanon main nahi jee lagta

Sheher say door nikal janay ko jee chahta hay...

Hum say yeh rasm ki zanjeer bhi kab toot saki

Dil ki zidd par bhi machal janay ko jee chahta hay


Sab Mein Shamil Ho Magar

Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho

Sirf Hum Se Hi Nahi Khud Se b Khafa Lagti Ho

Aankh Uthti Hay Na Jhukti Hay Kisi Ki Khatir

Saans Charhti Hay Na Rukti Hay Kisi Ki Khatir

Jo Kisi Dar Pe Na Thehry Vo Hawa Lagti Ho

Zulf Lehraye To Aanchal Mein Chupa Leti Ho

Hont TharTharayein To Daanton Mein Daba Leti Ho

Jo Kabhi Khul Kar Na Barsay Vo Ghata Lagti Ho

Jagi Jagi Nazar Aati Ho Na Soyi Soyi

Tum Jo Ho Apnay Khayalat Mein Khoyi Khoyi

Kisi Mayoos Musawwar Ki Dua Lagti Ho

Apnay Mahol Se Bichri Hoyi Tum Lagti Ho

Pass Baithi Ho Par Uljhii Hoyi Tum Lagti Ho

Beech Apnay Hay Koi Pichlay Janam Ka Rishta

Jaagtay Sotay Mein Dekhi Hoyi Tum Lagti Ho

Yeh Lab-o-Lehja Yeh Aankhein Nahi Iss Duniya Ki

Mujh Ko Mareekh Se Aayi Hoyi Tum Lagti Ho

Chaandni Ratoon Mein Phaili Hoyi Khushboo Ki Tarah

Mujh Ko Har Simt Se Aati Hoyi Tum Lagti Ho

Aik Benaam Udasi Ki Jhalak Chehry Par

Shayed Iss Shehar Se Roothi Hoyi Tum Lagti Ho

Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho

Sirf Hum Se Hi Nahi Khud Se b Khafa Lagti Ho...!!!


Main Ne Parindo Se Pyaar

Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,

Woh Urh Gaya



Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,

Woh Gharoob Ho Gaya



Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,

Woh Badlon Main Chup Gaya



Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,

Woh Beh Gaya



Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,

Woh Pighal Gaya



Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,

Woh Baras K Thum Gaya



Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,

Woh Bujh Gai



Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,

Woh Murjha Gaya



Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,

Wo Toot Gaya



Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,

Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay



Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,

Woh Be-Wafa Niklay


MUHABBAT KO MUHABBAT KA ZARA

MUHABBAT KO MUHABBAT KA ZARA EHSAAS HONE DO

ABHI KUCH DAIR TEHRO HUSSUN KO BENAQQAB HONE DO


BEWAJHA DIL KO YOUN ROKA NAHI KERTY

ITNE MUHTAT HO KIUYN ZARA MUSAM KHARAB HONE DO


ISHARON MN KAHI BATAIN AKSAR NA MUKAMMAL HOTI HN

RUKKO, MERE AKO ZARA KITAB HONE DO


ZINDAGI KO DO RAHY PE LA K CHODTY HO KIYUON

KUCH KAHO YA APNI BEWAFAYI KA HISSAB HONE DO


AJAB NAHI K LOG TUJHE BEWAFA JANNE

PHIR KIYOUN NA AAJ PORA MAHTAB HONE DO


YEH RAAT ANDHEERI SAHI PER THANDI TU HOTI HY

ROSHKI HAQEEQAT KIA ZARA CHANDA KO AFTAAB HONE DO


Mil Jaye Koi Naya To

Mil Jaye Koi Naya To Hume Na Bhula Dena, Koi Rula

de Tumhe To Hume Yaad Kar Lena, dost Ho tum hmare,

Khushi Na Sahi YAAR Gum Hi Baant Lena...!!



Sabne kaha Dosti ek Dard hai,

Humne kaha Dard kabool hai,

Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay,

Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai


Roe gi ye aankhain muskurane k baad, Aaye gi raat din dhal jane k baad,

Kabhi ruthna na mujhse, shayad yeh zindgi na rahe tere ruth jane k baad.


aadhi raat ko din to

aadhi raat ko din to banaya ja sakta hai,,,,

is suraj ko bhi abhi bulaya ja sakta hai

apni rah main haa'el darya kaise sukay,,,,,,

lekin is per pul to banaya ja sakta hai,,

ik kathin kaam hai seedha chaltay rahna,,,,,

warna khud ko rah pe to laya ja sakta hai

tum se bichar kar daftar jaatay sochta hun,,,,

kitni der main wapis aaya ja sakta hai

kon kahey ab khol k dil sari baatein us se,,,,,,

shair ki khair hai, shair sunaya ja sakta hai


Woh apne ghar chala gaya

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo

Itna hi us ka saath tha afsos mat karo

Insaan apne aap main majboor hai bohat

Koi nahi hai bewafa afsos mat karo


Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi

Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo

Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat

Jo hona tha so hogaya afsos mat karo


Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar

Main jald laut aoonga afsos mat karo

Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan

Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo


Chiragon ko aur tej kar

Chiragon ko aur tej kar do kyunki roshni bahut kam hai aur main tamaam umar tera intezaar kar longa phir bhi yeh gam rehega ki "Zindagi kam hai"... 


Har pal ne kaha ek

Har pal ne kaha ek pal se...

Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao...

pal bhar ka saath kuch aisa ho...

ki har pal tum hi yaad aao..


Hamara har lamha chura liya

Hamara har lamha chura liya apne ,

Aankhon ko ik chand dikha diya apne , hame zindagi to di kisi aur ne par itna pyar dekar jeena sikha diya apne..


Betab tamannao ki kasak rahne

Betab tamannao ki kasak rahne do, manjil ko pane ki lalak rahne do,aap bhale hi raho dur najro se,par band palko me apni jhalak rahne Do..


Tum khafa hogaye to koi

Tum khafa hogaye to koi khushi na rahegi, Tere bina chirago me roshni na rahegi;

Kya kahe kya guzregi dil par,Zinda to rahenge par zindagi na rahegi..


Rehne de aasma zamin ki

Rehne de aasma zamin ki talash kar, sab kuch yahi hai na kahi aur talash kar, har arzu puri ho to jine ka kya maza, jine k liye bas 1 kami ki talash kar...