Apne hotho ki hasi tere

Apne hotho ki hasi tere naam kar denge,

Har khushi tum par qurbaan kar denge,

Jiss din hogi kami mere pyaar me,

Uss din zindagi maut ke naam kar denge.


Ishq wahi hai jo ho

Ishq wahi hai jo ho ek tarfa,

Izhaar-e-ishq to khwaish ban jaati hai,

Hai agar ishq to ankho me dikhao,

Zuba kholne se ye numaish ban jaati hai.


Dil pe asar karte hai, Dimago

Dil pe asar karte hai,

Dimago pe asar karte hai,

Hum ajab log hai,

Zehno me safar karte hai.


Dil ye chahe paas rahe, Mere

Dil ye chahe paas rahe,

Mere kaano me teri aawaaz rahe,

Chahe to bhi alag ho paaye hum,

Duniya me aisa tera mera saath rahe.


Iahq ke parwaane har jagah

Iahq ke parwaane har jagah milte hai,

Ishq ke deewane har jagah milte hai,

Lekin jo wakei ishq farmaate hai,

Woh to sirf maikhane me hi milte hai.


Depak jugnu chand sitare aik

Depak jugnu chand sitare aik sey hain

yunhi sare ishq ke marey aik sey hain


Hijer ki shab dekh tu aa ke mere chand

mere aansoo aur yeh tare aik sey hain


Darya hoon, main beedh bhau kiya janon

mere liye tu duno kinare aik sey hain


Meri kashti kis ne dobui kia maloom

sari lehrein sare dharey aik sey hain


Kuch apne kuch beghaney aur main khud

meri jaan ke dushman sare aik sey hain


Abh batlau hamein kis sey feryaad karein

qatil hakeem munsif sare aik sey hain


Hum ne Dil ko laga

Hum ne Dil ko laga ke dekh liya

Zakham seene pe kha ke dekh liya

Apna saathi na ban saka koi

Sab ko apna banaker dekh liya

Roshini phir bhi na hui ghar main

Hum ne Dil ko jala ker dekh liya

Woh jafaon se baaz aa na sake

Laakh aansu baha ke dekh liya

Woh bhi matlab ki baat karte hain

Un ko bhi aazma ke dekh liya

Meri Aankhon ne kehdiya sab kuch

Raaz aankhon main chhupa ke dekhliya

Hum ko zara bhi sakoon na mil saka

Un ki mehfil main jaa ker dekh liya


Kabhi safar to kabhi sham

Kabhi safar to kabhi sham lay gaya mujh say

Tumhara dard kae kam lay gaya mujh say

Mujhay khabar na hoi aur zamana jatay hoay

Nazar bacha kay tera nam lay gaya mujh say

Isay zayda zarorat thi ghar basanay ki

Wo aa kay meray dar-o-baam lay gaya mujh say

Bhala kahain koi juz us kay milnay wala tha

Bus ek jurait nakam lay gaya mujh say

Bus ek lamhay kay sach jhot kay ayywaz

Tamam omer ka elzam lay gaya mujh say


itna samjh chuki thi main

itna samjh chuki thi main us kay mezag ko

wo ja raha tha aur main hayran bhi na thi

aarasta to khair na thi zindigi kabhi

per tujh say qabal itni parayshan bhi na thi

jis ja makeen ban nay kay dekhay thay main nay khawab

us ghar main ek sham ki mehman bhi na thi

duniya ko dekhti rahi jis ki nazar say main

us ankh main meray ley pehchan bhi na thi

rooti rahi agar to main majbor thi bhut

wo rat katni koi asaan bhi na thi

naqad-e-wafa ko chasham-e-kharidar kiya milay

is jinss kay ley koi dukaan bhi na thi

----


Mujh ko ik hamdam mila

Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main

Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main


jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar

toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main


Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain

Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main


Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay

Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main


ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil

Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main


Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main

Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main


kaheen ek masom, nazuk se

kaheen ek masom, nazuk se larki

bhut khobsurat magar sanvali si

mujhay apnay khaboon ki bahoon main pa kay

kabhi neend main muskurati to ho ge

usi neend main kasmasa kasmasa kar

serhanay say taqeey girati to ho ge

wohi khawab din ki mundairoon pay aa kay

usay maan he maan main lobhatay to hoon gay

kaee saz seenay ki khamoshiyon main meri yad say jhanjhanatay to hoon gay

wo baysakhta dheemay dheemay suroo main meri dhoon main kuch gun gunati to ho ge

chalo khat likhain jee main ata to ho ga

magar ungleeyan kapkapati to hoon ge

kalam hath say choot jata to ho ga

omangain kalm phir utha ti to hoon ge

mera nam apni kitaboon pay likh kar wo dantoo main ungli dabati to ho ge

zaban say kabhi uffff nikalti to ho ge

badan dhemmay dheemay sulagta to ho ga

kaheen kay kaheen paon partay to hoon gay

zameen per doobata latakta ta ho ga

kabhi subha ka sham kehti to ho ge

kabhi rat ko din batati to ho ge

kaheen ek mason nazuk se larki

bhut khobsurat magar sanvali se ..


koi ruswa to koi mutabar

koi ruswa to koi mutabar hota hi rahta hai

yahan ye khel pyare umr bhar hota hi rahta hai

ye duniya hai yahan tum haadson se dosti karlo

k har lamha yahan zero zabar hota hi rahta hai

tasavvur bhi ajab shai hai tasavvur hi k shah par, par

kahin baithe raho phir bhi safar hota hi rahta hai

agar gairat salaamat hai to gurbat k bhi aalam main

badi izzat se muflis ka guzar hota hi rahta hai

koi rus wa to koi mo tabar hota hi rahta hai


Na poch mere sabar ki

Na poch mere sabar ki intiha kahan tak hai

Tu sitam karlay Tere taqat jahan tak hai

Waffa ki umeed jinhain hogi unhain hogi

Humain tu dekhna hai Tu Bewafa kahan tak hai. .....


kabhie chiraagh to kabhi teergi

kabhie chiraagh to kabhi teergi se haar gaye

hum bad naseeb the jo har kisi se haar gaye

ajeeb khel ka maidaan hai ye duniya bhi

k jisko jeet chuke the ussi se haar gaye!


Maine us taur se chaha

Maine us taur se chaha tujhe aksar jana...

Jaise mehtab ko be-ant samander chahe...

Jaise Suraj ki kiran seep ke dil me utre...

Jaise Khushboo ko hawa rang se hat kar chahe...

Jaise patthar ke kaleje se kiran photti hai...

Jaise gunche khile mausam se hina mangte hai...

Jaise khwabon me khayalon ki kaman totti hai...

Jaise baarish ki dua aabla pa mangte hai...

Mera har khwab mere such ki gawahi dega...

vosate deed ne mujh se teri khwahish ki hai...

Meri socho me kabhi dekh sarapa apna...

Maine duniya se alag teri parastish ki hai..


Tere hote hue bhi tanhai

Tere hote hue bhi tanhai mili hai,

wafa karke bhi dekhi bewafai mili hai.

Jitni dua ki tumhe pane ki,

us se zyada teri judai mili hai.


Teri har baat yaad hai

Teri har baat yaad hai hamein,

tu bhi hamein yaad rakhna.

vaade yaad rakhna ya na rakhna,

par dosti ka ye meetha safar yaad rakhna.


Har aarzu hamesha adhuri nahin

Har aarzu hamesha adhuri nahin hoti,

dosti main kabhi doori nahi hoti.

Jinke dil main aap jaise dost rehte ho,

unke liye to dhadkan bhi zaroori nahin hoti.


Na Zindgi Mili Na Wafa

Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,

Na Jane Kyu Har Khushi Hmse Khfa Mili.

Jhuthi Muskan Liye Apne Gm Chupate Rahe,

Saccha Pyar Karne Ki Bhi Kya Khub Saza Mili.


Hm tere sath chalenge tu

Hm tere sath chalenge tu chale na chale,

tera har drd sahenge tu kahe na kahe.

saji rahe duniya teri khushiyo se hamesha,

chahe hm is duniya me rahe na rahe.


Mohabbat Ki Daasta Sunaane Aaye

Mohabbat Ki Daasta Sunaane Aaye Hai,

Tabaah Karne Ke Baad Wo Pyar Jataane Aaye Hai.

Aansu Poch Liye The Hamne Kab Ke,

Magar Wo Fir Se Hame Rulane aye hai.


Chale do kadam jo saath

Chale do kadam jo saath mere,

to uske saath se pyar ho jaye.

Thame jo pyar se hath mera,

to apne hi hath se pyar ho jaye.

Jis raat aaye khwabo mein wo,

us suhani raat se pyar ho jaye.

Jis baat mein aaye zikar uska,

usi baat se pyar ho jaye.

Jab pukare pyar se mera naam lekar,

to apne hi naam se pyar ho jaye.

Hota hai itna khoobsurat ye pyar agar,

to kaash use bi mere "pyar" se "pyar" ho jaye.


mujhay kinaaray ki kab tamanna....... tera

mujhay kinaaray ki kab tamanna.......

tera zarori hay paar jana

biphartay darya ki surk mojain bata rahi hain

khiraaj mangain hay aaj darya

jo meri mano to aisa kar lo

mujhay shareek-e-safar bana loo

khiraj mangay jo tujh say darya

mujhay bhanwar main utaaar jana

kay.........tera zarori hay paar jana


jaane kyun log flurt kertay

jaane kyun log flurt kertay hain

jaane kyun woh affairs chalatay hain

jaane kyun...jaane kyun.....

jaane kyun jaane kyun^jaane kyun ?????


affair bin jeenay main rakha kiya hai

affair jiska nahin woh tanha hai

affair soo rang leker aata hai

affair he zindagi sajaata hai

Log chup chup ker affair chalatay hain,

Aur sab k saamnay friends ban jaatay hain!

jaane kyun...jaane kyun....

jaane kyun^jaane kyun^jaane kyun ?


affair best-friends main larai kerata hai

affair main banda pagal hojaata hai

affair na chahtay huway bhi chal jaata hai

affair bohat badnaami kerata hai....

Akhir affair her larai ki BASE ban jaata hai!

jaane kyun....jaane kyun....

jaane kyun^jaane kyun^jaane kyun^ ?


Laikin^kabhi- kabhi affair pyaar main convert hojaata hai

jhoota her such aur sucha her jhoot hojaata hai

zindagi ko bhi ek naya start mil jaata hai

Aur pyaar ki gari main 4th gear lag jaata hai

Aur Yehe Affair Zindagi^Ka^Safar^ Ban^Jaata^ Hai

Jaane kyun.....jaane kyun...

Jaane kyun^jaane kyun^jaane kyun^ ?


Dosti ki hai kabhi bhulana

Dosti ki hai kabhi bhulana nahi,

apna gum kabhi humse chupana nahi.

Jitna bhi satana hai satao,

lekin is rishte ko kabhi thukrana nahi.


Tumhari ankhon mein samana chahte

Tumhari ankhon mein samana chahte hain,

Tere dil mein koi thikana chahte hain.

Thak gaye hum karte karte yaad tujhko,

Ab tujhe hum yaad ana chahte hein


Ishq wahi hai jo ho

Ishq wahi hai jo ho ektarfa,

izhar e ishq to khwahish ban jati hai.

Hai agar ishq to ankhon me dikhao,

zuba kholne se ye numaish ban jati hai.


Ab to jab bhi Koi milta

Ab to jab bhi

Koi milta hay

Hum us say

apna pata pochtay hain

han dekhoo!!

hum tumhari talash main

khud say bhi door

ja niklay hain... 


Mujhay her kaifiiyat main kun

Mujhay her kaifiiyat main kun na samjhay

Wo meray sab havaalay janta hay

Main us ki dastaras main hoon, magar wo

Mujhay meri raaza say mangta hay

Kisi kay deehan main dooba hoa dil

Baahanay say mujhay bhi taalta hay


ye din , yeh raat,

ye din , yeh raat, yeh lamhay mujhe achay lagtay hain

tumhain soochoon to saray silsilay achay lagtay hain

bauhat door tak chalna magar phir bhi wahien rehna

mujhe tum say tumhein tak faslay achay lagtay hain....


Jane ke liye zamane ke

Jane ke liye zamane ke liye,

Hum ne choda tha zamana,

Jinhe paane ke liye,

Wahi chod chale hume zamane ke liye.


Lamha Lamha jodd kar zindagi

Lamha Lamha jodd kar zindagi banayi,

Zindagi me aap ki dosti se mehak aayi,

Dosti ke naam kar diye kuch lamhe,

Aaj bas unhi kuch lamho ki aur aap ki yaad aayi.


Saath aap ke jo hase

Saath aap ke jo hase saath aap ke jo rooye,

Khud gum me doob kar khushiyaan aap tak pahuchaye,

Aise dost iss duniya me kam hi aaye,

Aap ke liye jo jeeye aur aap ke liye mar jaaye.


Hum wahan hai jahan se, Hum

Hum wahan hai jahan se,

Hum ko bhi humari khabar nahi aati,

Pehle aati thi haale dil pe hasi,

Ab kissi baat par nahi aati.


Jane ke liye zamane ke

Jane ke liye zamane ke liye,

Hum ne choda tha zamana,

Jinhe paane ke liye,

Wahi chod chale hume zamane ke liye.


Lamha Lamha jodd kar zindagi

Lamha Lamha jodd kar zindagi banayi,

Zindagi me aap ki dosti se mehak aayi,

Dosti ke naam kar diye kuch lamhe,

Aaj bas unhi kuch lamho ki aur aap ki yaad aayi.


Saath aap ke jo hase

Saath aap ke jo hase saath aap ke jo rooye,

Khud gum me doob kar khushiyaan aap tak pahuchaye,

Aise dost iss duniya me kam hi aaye,

Aap ke liye jo jeeye aur aap ke liye mar jaaye.


Hum wahan hai jahan se, Hum

Hum wahan hai jahan se,

Hum ko bhi humari khabar nahi aati,

Pehle aati thi haale dil pe hasi,

Ab kissi baat par nahi aati.


Maut ki goad me jiss

Maut ki goad me jiss din sone hoga,

Naa koi takia hoga naa koi bichona hoga,

Saath hogi bus aap jaise doston ki mithi yaadein,

Aur shamshaan ka ek chota sa kona hoga.


Dekh kar tum ko yaki

Dekh kar tum ko yaki hota hai,

Phool itna bhi hasin hota hai,

Dekh paate hai kahan hum tum ko,

Dil kahi hosh kahi hota hai.


Har khushi par haq ho

Har khushi par haq ho aap ka,

Khushiyoon bhara safar ho aap ka,

Gum kabhi karwat naa le aap ki aur,

Sada muskuraata rahe chahra aap ka.


Mohabbat ke safar me anjaan

Mohabbat ke safar me anjaan hum safar ban gaya,

Naa chah kar bhi woh ishq ka gunahgaar ban gaya,

Chot aisi lagi dil pe ki woh hasna bhool gaya,

Uss ki chahat me woh apno ko bhul gaya.


Sapna kabhi saakaar nahi hota, Mohabbat

Sapna kabhi saakaar nahi hota,

Mohabbat ka koi aakaar nahi hota,

Sab kuch ho jaat hai zindagi me,

Magar dubaara kissi se pyaar nahi hota.


Ek aarzoo iss dil ko

Ek aarzoo iss dil ko tere pyaar ki,

Ek chahat zindagi ko tere saath ki,

Kya pata kya ho kal,

Bas ek koshish hai duaon se tujhe paane ki.


tum ko hum dil main

tum ko hum dil main basaa lengay tum aao to sahii

saarii duniyaa say chhupaa lengay tum aao to sahii

ek vaadaa karo ab hum say na bicharo ge kabhii

naaz hum saaray uThaa lengay tum aao to sahii

baywafaa bhi ho sitamagar bhii jafaa_peshaa bhii

hum dua tum ko banaa lenge tum aao to sahii

yuuN to jis simt nazar uthtii hay taariki hay

pyaar kay deeep jalaa lengay tum aao to sahii

ikhtalaafaat bhii mit jayen gay raftaa raftaa

jis tarah hogaa nibhaa lengay tum aao to sahii

dil kii vayraanii se ghabaraakay na mooh ko moro

bazm ye phir se sajaa lengay tum aao to sahii

raah taariik hay aur door hai manzil lekin

dard kii shama jalaa lengay tum aao to sahii


nazm ulajhii huii hai siine

nazm ulajhii huii hai siine main

nazm ulajhi hoi hay seenay main

misray atakay hoay hain hothoon per

oortay phirtay hain titliyon ki tarah

lafz kaagaz pay baithtay he nahi

kab se baithaa hon main jaanum

saaday kaagaz pe likhakay naam teraa

bas teraa naam he mukammal hay

is say bahatar bhii nazm kyaa hogii


dayaar-e-nuur main teraa shaboon ka

dayaar-e-nuur main teraa shaboon ka sathii ho

koi to ho jo meri vehshatoon ka sathii ho

main us se jhooth bhi boloon to mujh se sach bolay

mere mizaaj ke sab mausamoon kaa sathii ho

vo mere naam kii nisbat se moo-tabar Thaharay

galii galii merii rusvaeeyoon kaa sathii ho

main us kay haath na aaon vo meraa ho kay rahay

main gir paroon to meri pastiyoon kaa sathii ho

vo Khawab dekhay to dekhay mere havaalay say

mere Khayaaloon kay sab manzaroon kaa sathii ho .... 


us ne kaha sun ! ahad

us ne kaha sun !

ahad nibhaane ki khatir mat aana..

ahad nibhaane waale akasar..

majbori ya mehjori ki..

thakan se louta karte hen...!

tum jaao aur darya darya piyaas bujhaao..

jin aankhon men dobo jis dil men bhi utro..

meri taraf aawaaz na dena lekin jab...

meri chaahat aur meri khwahish ki loo...

itni taiz aur itni uonchi ho jaai...

jab dil ro day tab lout aana...!!!


Rishta hai to isse nibhayenge, Har

Rishta hai to isse nibhayenge,

Har pal aapko hasayenge.

Nahin hogi aapke paas fursat yaad krne ki,

Hum hee tang kr-kr k apni yaad dilayenge.


Kyon nazrein churaye baithe ho, Kyon

Kyon nazrein churaye baithe ho,

Kyon dil ko dabaye baithe ho.

Kya hum itne bure nahi,

Jo humein bhulaye baithe ho.