“~*~Betaab Nazrain Yun Mili Iqraar

“~*~Betaab Nazrain Yun Mili Iqraar Hum Karne Lage...~*~

~*~Ye Kiya Hua Kion Is Tarhaan Izhaar Hum Karne Lage...~*~

~*~Chalke Howe Jazbaat Kuch Ansoo Bhi Kuch Bikhre Howe...~*~

~*~Ab Qatra Qatra Zindagi Sarshaar Hum Karne Lage...~*~

~*~Shaadab Hain Ankhain Lahoo Se Kuch Gulabii Shaam Hai...~*~

~*~Quose-e-Qaza Rangoo Main Ghuftaar Hum Karne Lage...~*~


~*~Veeraan Kade Main Aa Gayee Jo Wo Baharoon Ki Tarhaan...~*~

~*~In Ke Tasawoor Se Sakhan Gulzar Hum Karne Lage...~*~


~*~Rahne Lage Hain Garizaan Go Tumhare Qarb Se...~*~

~*~Is Ehde Ulfat Se Ghazab Ka Pyaar Hum Karne Lage...~*~


~*~Shama Kyun Shikva Gila Ehle Wafa Theray Jo Hum...~*~

~*~Jalte Sholoo Ka Dariyaa Paar Hum Karne Lage...~*~

faslay aese bhi hongay kabhi

faslay aese bhi hongay kabhi soocha na tha

samnay betha tha woh per woh mera na tha

woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu

mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha

raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray

jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha

aaj us ne apnay dard bhi alag ker liye mujh say

may rona chahta tu tha magar may ro sakta na tha

ye sabhi weraaniya ussi ki judaiye se theen

aankh namkeen tu hoween theen magar namak ka bahana na tha ....


 Mehfiloon Mian Mujhay Teri Batoon Main

Mehfiloon Mian Mujhay

Teri Batoon Main Doobay Rehna

Tairay Khialoon Mian Khooay Rehna

Aur Maira Achanak Chonk jana

Mujhay Maira Muqadar Lagta Hai

Tareekioon Main Mujhay

Tujhay Khoonay K Dar Say

Tujhay Na Paanay K Gham Say

Mujhay Mairay Aansoon Bahana

Mujhay Maira Muqadar Lagta Hai

Tanhaioon Main Mujhay

Tairay Badaltay Tevar Pay

Apni Muhabbat Ki Paspai Pay

Maira Zoor Say Roo Daina

Mujhay Maira Muqadar Lagta Hai

In Aankhoon Main Behtay Aansoon Aur

Tujhya Khoonay K Khoof Ko

Iss Duniyaa Say Chupanay Ki Koshish Karna

Aur Phir Inn Ka Sabab Na Batlana

Feroz Ka Muqadar Lagta Hai....


 Is Raat Ki..Tanhayeeon Ke Sab Rang

Is Raat Ki..Tanhayeeon Ke

Sab Rang Badal Gaye Hain

Chand Nikla Hai Waisey Hi

Andherey Badal Gaye Hain

Jin Ke Bharose Thi Khushiyan

Woh Baadal Thaher Gaye Hain

Manzilain To Ab Bhi Woh Hi Hain

Kuch Rastey Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Ney

Woh Dost Bicher Gaye Hain

Dekhey They Jo MeMoN Ney

Woh Khuwaab Badal Gay Hain

Jo Baney The Kabhi Humsafer

Aaj Woh Hi Mukar Gaye Hain

Iss Tutey Huey Dil K Sarey

Jazbaat Badal Gaye Hain

Na Badley Kabhi Hum

Na Badley Humarey Khayalat

Bas Rona Hai Yehi AnMoL

Kuch Log Badal Gaye Hain.... 

 Aaj phir jab raat aayi, Tum

Aaj phir jab raat aayi,

Tum aaj phir yaad aaye,

Kitne hi gham Tumhare baad aaye,

In ghamon ko shumar kiya karna,

Ab bhi tera intezar kiya karna,

Per ab bhi jab mai Tanha hothi hoon,

Mere pass, merey khayalon main,

Sirf Tum hote ho...

Mai ab bhi Tere gham seh jarahii hoon,

Behar-e-ashk main ab bhi beh jarahii hoon,

Mai Tujhse shikwa kya karoon,

Mai Tujhse shikayat kya karoon,

Mai Tujhse gussa kya karoon,

May Tujhse chahat kya karoon,

Per ab bhi jab mai Tanha hothi hoon,

Mere Ehsas main, Meri Sochon main,

Sirf Tum hote ho.

May nahi janthi,

Tera hal kya hai mere baad,

Dil ka ahwal kya hai Tere baad,

Apnay liye kabhi ashk

Teri aankhon main nahi dekhe,

Kya ab kuch malal hai mere baad,

Per ab bhi jab main tanha hothi hoon,

Merey aas pass may, Meri Aahon main,

Hawaoon Ki Sadaoon main,

Sirf Tum hothe ho....... 

Suno jaana.... Zindagi k kisi rakht

Suno jaana....

Zindagi k kisi rakht mor pr

Sardiyon ki kisi udaas shaam mai

Nafraton k jazeeron mai

Gr kabhi

Ye be reham hwa ka jhonka

Meri yad ban kr

Tere dil ki band khirki pe

Dastak de b de

To ghum na krna

Gr phr b

Kahin aisa

Tuje mehsoos ho

K

Wo sharmana...

Wo ehsaas...

Wo mohabat...

Jo NAGHI kiya krta tha

Sb kuch

Maan ki duaaon ki tarah

Pur khaloos tha tere liye

To waqt k us kathan lamhe mai

Apni chasham ko hargiz tar na hone dena

Q k

Teri inayat

Teri ankhon ki wo chamak

Tera pyar

Jb kuch b mukadar na bn saka mera

To phr ye ansu

Ye beete lmhaat ka ehsaas kis k liye???????



 Laakh koshish ki,bahut jatan kiya magar

Laakh koshish ki,bahut jatan kiya

magar woh na ho saka kisi bhi tarah mera

Khud par yakeen tha,uspe bhi eitbaar tha

magar halaat ne na saath diya mera

kya kya socha tha,kya kya sapne dekhe the

mitti me mil gaya sabkuch mera

Suna tha kismatein insaan apni khud likhta hai

magar is hunar se bhi maat kha gaya haath mera

Koi maane ya na maane sach to ye hai

Kismatein to uparwala banata hai

Kab kisko kya mila....ye to woh hi behtar jaanta hai!!


Ek NaaTa ek rishta Ek jazbaa

Ek NaaTa ek rishta

Ek jazbaa ek ehsaas

Khayalon me basi

Gulabon ki si

Bheeni bheeni khushboo jaise

Dil me utarne wale

Madhur aur suriley

Geeton ki manind

Apne ander kayee rang liye

Itne anokhey

Itne dilfareb rang

Khubsoorat waadi

Ki samaan

Haseen mausam jaise

Bandhan ek waade ka wafaa ka

Chattan se mazbooT

Per kachcha dhaaga jaise...


 Yun dil ko har ik

Yun dil ko har ik shakhs pe waara nahi karte

aankhon main har ik aks utara nahi karte

Honi hai to hojaye ik baar mohabbat

Ye bhool hai aisi ke dubara nahi karte

Achha hua main ne hi faqat dekha magar yun

mehfil main kisi ko bhi ishara nahi karte

Mil jaye sar-e-raah jo bichhda hua koi

chup chaap hi takte hain pukara nahi karte

kiun pyar ki bazi se ho is darja gurezaan

kehte hain ke dil haar ke hara nahi karte

Kaajal se bhi ab kaam koi lena nahi

Yun dard se aankhon ko sanwara nahi karte


 Kabhi jo maazi main jhankoge Tumhain

Kabhi jo maazi main jhankoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kisi lamhe kuch jo sochoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

Tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

Tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne Dil ki baat ko

Kisi se keh na paoge

Tumhain hum yaad aayenge...


Un Ka kiyaal Dil main

Un Ka kiyaal Dil main asay Sama Gaya..

Sehra main Goya jasay hoo Selaab aagya..

Ankhoon na meri Ansoo say Ashna Thii..

Askhoo ka Aaj tu hoon darya bhaa gaya...

Main us ko Bewafa Kahoon Mumqin nahi Dost..

Her Jand Zakham Dil pay wo meray laga gaya..

Jinay ki Baat or hay Marnay ki baat or..

Duniyaa say jo gaya Wo Akela gaya...

"Sam" Is jahan main Rishtay Aziz hain...

Acha wohe Raha jo In ko Nibha gaya...


 itni si dua hai k

itni si dua hai k aane wala har lamha

haseen chahton k phool bakshe orooj bakshe

tumhari duniya main roshni ho

tumhari mahfil main khushiyaan hon

tumhare honton pe muskurahat ho

kabhi tum tak dukhon ki dastak na pahunch paye

tumhari aankhon main jo sitare chamak rahen hain

unhi chamkte rahen hamehsa

tumhare dil tak juda-i-yon,be wafa-i-yon ki koi andheri kiran na pahunch paye

khuda kare k tum har dil ka karaar looto

tumhari har ik tamanna har ik khawahish

tumhare honto tak aate aate

tumhare qadmon tak aa pahunche

jo ho sake to tumhare hisse k saare gamon ko

main apne andar jazb karloon

jaanta hoon ye mumkin nahin

lekin dua to mera haq hai

ye dua ka mukhatasar sa tohfa aapke liye

iss naye saal pe aur eid-ul-azha k mauqe par

isse sambhaal kar rakhna

mere andheron ki fikr chod do miss laiba

tum bas apna khayaal rakhna

tum bas apna khayaal rakhna..

 tumhein bhool jaauN ye hotaa

tumhein bhool jaauN ye hotaa nahii

koii vaqt ho dard sotaa nahin

na ho jao badnaam tum is liye

main ro ro ke daaman bhigotaa nahi

ye vo fasl hai jo uge Khud-ba-Khud

koi dard kay beej botaa nahii

ye maanaa ke tuufaan ka zor hai

main ghabaraa ke kashtii Dubotaa nahi



hamare rishte ka naam kya

hamare rishte ka naam kya hai

mohabbat,

zaroorat,

khwahish ,

junoon,ishq,ya

wo rishta jo

aasmaan ka zmeen se hai

barish ka sehra se hai

haqeeqat ka khabon se hai

din ka raat se hai

ye kabhi ik doosre se mil nahin paate

lekin

ik doosre se mile bagair adhhore bhi hain

shayad aisa hi kuch rishta

mera aur tumhara bhi hai!!!!!

mera aur tumhara bhi hai!! 


 Yaaden teri rakh dii hain

Yaaden teri rakh dii hain sambhal kar,

Door kaheen is dil se nikal kar.

Sab kuch to vapas le liya hai ap nay door jaa kar,

in yaadon ko bhi lay jana kisi roz aa kar.


 Apni Zindagi ki her Shaam

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon,

Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon,

Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai,

Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon,

Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon,

Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon,

Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam,

Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon,

Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai,

Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon,

Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai,

Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon