Mout Ki Aaghosh Main Jab

Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Kai Soo Jati Hai Maa

Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hai Maa

Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa

Nojawaan Hotay Huwe Budhe Nazar Aati Hai Maa


Rooh Kai Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye

Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa


Kab Zarurat Ho Merai Bachay Ku Itna Sooch Kar

Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa


Hudiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Kai Chain Ku

Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa


Janai Kitne Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua

Bacha To Chaati Pai Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa


Jab Khilonai Ku Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool

Aansoon Kai Saaz Par Bachay Ku Bhailati Hai Maa


Fiker Kai Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha

Jaisai Sookhi Lakreyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa


Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ku Poonch Kar

Dair Tak Gurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa


Samnai Bachoon Kai Kush Rahti Hai Her Ik Haal Main

raat Ku Chup Chup Kai Lakin Ashk Bersati Hai Maa


 Haan Jism To Hota Hai Magar

Haan Jism To Hota Hai

Magar Jaan Nahi Hoti

Wo Ghar Bhi Koi Ghar Hai

Jahan Maa Nahi Hoti


 Phailay Bachoon Ku Kheelati Hai

Phailay Bachoon Ku Kheelati Hai Sukoon-o-Chain Sai

Baad Mai Jo Kuch Bacha Oh Shouk Sai Khati Hai Maa


Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Sai

Apnai Bachoon Kai Leye Daman Ku Phailati Hai Maa


Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho

Ek Naye Ehsas Ki Suli Pai Char Jati Hai Maa


Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharz

Be-Gharz, Be-Loos, Har Khidmat Ku Kar Jati Hai Maa


Bazuwoon Mai Kheench Kai Aajaye Gi Jaisai Kayenat

Apnai Bachay Kai Leye Bahoon Ku Phailati Hai Maa


Zindagani Kai Safar Mai Gardishoon Ki Dhoop Mai

Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa


Pyar Khaitai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai

Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa


Safa-e-Hasti Pai Likhti Hai Usool-e-zindagi

Is Liye Ek Muktab-e-Islam Khailati Hai Maa


Us Nai Duniyan Ku Deye Masoom Rahber Ise Leye

Azmatoon Mai Sani-e-Quran Khailati Hai Maa


Ghar Sai Jab Pardesh Ja Ta Hai Koie Noor-e-Nazar

Haath Main Qur'an Lai Kar Dar Pai Aajati Hai Maa


Dai Kai Bachay Ku Zamanat Main Raza-e-Pak Ki

Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa


Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai Baita "Ulwida"

Samnai Jab Tak Rahe Haatoon Ku Lehrati Hai Maa


Jab Perayshani Mai Ghar Jatai Hain Hum Pardesh Main

Aansuwoon Ku Poonch Nai khawaboon Main Aajati Hai Maa


 Download: Maa Mother Download: Mother Poem Download:

Download: Maa Mother

Download: Mother Poem

Download: Urdu Poem


 Dair Ho Jati Hai Ghar

Dair Ho Jati Hai Ghar Aanai Main Aksar Jab HaMain

Rait Per Machle Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa


Martai Dam Tak Aasaka Bacha Na Ghar Pardesh Sai

Apni DONoo Putliyaan Chokhat Pai Rakh Jati Hai Maa


Baad Mar Janai Kai phirBaite Ki Khidmat Kai Leye

Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa


Door Ho Jati Hai Sari Omer Ki Us Dum Thakan

Bayha Kar Kai Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa


"zindagi mohtaj nahi manzilo ki"

"zindagi mohtaj nahi manzilo ki" "Waqt her manzil dekha data hai" "Marta nahi koi kisi se juda ho kar " Waqt sab ko jeena sikha deta hai"



 Tamam gham bhool jaane ko

Tamam gham bhool jaane ko ji karta hai.Ab ek baar muskurane ko ji karta hai...Bahut ji liye yaaDON ke sahare...Ab tere paas aane ko ji karta hai,


Meri wehshaton ko karar de,

Meri wehshaton ko karar de, Mere devta mujhe piyar de, Meri rooh ke piyasay dasht mein, Yun baras ke mujh ko neekhar de, Meri uljhi zulfoon ko daikh tu, Kabhi aa ke in ko sanwaar de, Main gum rahon teri zaat mein, Mere yar mujh ko khumar de, Meri khawahishon ke bhanwar mein aa, Mujhe be khudi mein utar de, Tanhaiyan bhi mehk uthain, Mujhe aisa kurb-o-jawar de, Ho khazaan se mujh ko na dar koi, Mujhe aisi masht bahar de



tu na ho pass to

tu na ho pass to tu bara yaad aata ha

Teray na honay per yay pagal dil bara ghabrata ha

Dakhtee hain ankhein tera he rasta her pal

Aaj bata he day mujhay ku tu itna stata ha



 ~*~Tum Routh Jao Mujhse~*~ ~*~Aisa Kabhi

~*~Tum Routh Jao Mujhse~*~

~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~


~*~Main Ek Nazar Ko Tarsoon~*~

~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~


~*~Main Pooch Pooch Haroon~*~

~*~So So Sawal Kar K~*~


~*~Tum Kuch Jawab Na Do~*~

~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~


~*~Mujhse Hi Mil K Hansna~*~

~*~Mujhse Hi Mil K Rona~*~


~*~Mujhse Bicher K Jee Lo~*~

~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~


~*~Tum Chand Ban K Rehna~*~

~*~Main Dekhta Rahoon Ga~*~


~*~Kisi Roz Tum Na Niklo~*~

~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~


~*~Tum Chalay Jao Jab Bhi~*~

~*~Tu Dekhoon Tumhara Rasta~*~


~*~Tum Loat K Na Aao~*~

~*~Aisa Kabhi Na Karna~*~


blue eyes.......00-92-3214645399


 Aab Kay Yun Dil Ko

Aab Kay Yun Dil Ko Saza Di Hum Nay

Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay...


Ek...Ek Phool Bohat Yaad Aya

Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay...


Aj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain

Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay...


Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Huva

Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay...


Aj phirYaad Bohat Aya Woh

Aj phirUs Ko Dua Di Hum Nay...


Koi To Baat Hai Us Main

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay




 Humesha muskura k aansooun ko

Humesha muskura k aansooun ko chupaya

Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya


Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab

Kay derd-e-dil, dil Main kis ne jagaya


Mehfilon Main kahin bhi maza na raha

Rakha dil pay pather to khud ko sajaya


Baat bay baat apni aahain daba ker

Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya


Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki

Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya


Kya muqadar say shikwa kertey rahain

Jo qismat Main tha wohi kuch to paaya


Yeh kis mod pe aagaee hain umeedain

Kay saaya-e-manzil nazar Main na aaya


Apnoon ne palat kay dekha tak nahin

Ghairon ne aaker galay se lagaaya


Acha hua kay raaz khul hi gaya

Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya



tumhein bhool jaauN ye hotaa

tumhein bhool jaauN ye hotaa nahii

koii vaqt ho dard sotaa nahin

na ho jao badnaam tum is liye

Main ro ro ke daaman bhigotaa nahi

ye vo fasl hai jo uge Khud-ba-Khud

koi dard kay beej botaa nahii

ye maanaa ke tuufaan ka zor hai

Main ghabaraa ke kashtii Dubotaa nahi


 Ansoo ki Tara nazroo say

Ansoo ki Tara nazroo say giraya us ne

apni khabar na mile khuch ayse khak mein milya us ne

ilzam mug par lagaya ta mager bewafa vo khud ta

phele dewana baneya phirtokraya us ne

us ko maza ata ha mug ko tarpane mein

muge gile lakari ki tara jalaya us ne

aya na ta jis ko wada wafa karna

logoo ko jhota wafa ka kisa soneya us ne


 Mila woh bhi nahi kartey,

Mila woh bhi nahi kartey, Mila hum bhi nahi kartey

Wafa woh bhi nahi kartey, Wafa hum be nahi kartey

Unhain ruswai ka dukh hay, HuMain tanhai ka dukh hay

Gila woh be nahi kartey, Gila hum be nahi kartey

Gali k kise mor per takrar ho jata hay aksar

Ruka who be nahi kartey, Ruka hum be nahi kartey

Jab be daikhtay hain unhain, sochtey hein kuch kahain UN se

Suna woh be nahi kartay, kaha hum be nahi kartey


 Ager vo meherban hota Tu meri

Ager vo meherban hota

Tu meri ankhon me jhilmilati ye nami na hoti

Na mery dil ki wadi mein khizan ka qafla rukta.

Ager vo meherban hota

Meri benoor ankhon me sitary qaid kr deta

Meri zakhmi hatheli per vo koi phool rakh deta

Mery hathon ko apny hathon mein lay kar vo yeh kehta

Mohbat roshni ha, Rung ha, khushbo ha, sitary hein

Qasam mujko mohabat ki

Muje tu sub se pyara ha

Mager aisa vo tab kehta

Ager vo meherban hota.


 Bikhar Rahi hy meri zaat

Bikhar Rahi hy meri zaat usy kehna

Kabhi milay tu yehe baat usy kehna

Vo saath tha tu zamana tha hamsafar mera

Mager ab koi nahi mery sath usy kehna

Usy kehna k bin usky din nahi kattata

Sisik sisik k kattati ha raat us kehna

Usy pukaroon k khud hi pohanch jaon us k pass

Nahi rahy vo halaat usy kehna

Ager vo phirbe na lotay tu ay mehrban qasid

Hamari zeest k halat usy kehna

Her jeet us k naam kar raha hoon Main

Main manta ho apni haar us kehna.


Mayat pe meri do aansu

Mayat pe meri do aansu baha jana

ab iss se aage hamein kahan jana

zindagi par mulaqat ko tarse hum

aakhir vaqt to tu janaze pe aajana,,,, 


 Jaye janaza jo unki gali

Jaye janaza jo unki gali se,

to unke dar par thehra Dena,

Haath jo uthe dua ke liye to,

muh se nakaab utha dena,

Itna bhi na kar sake koi,

to maut ki khabar suna dena,

Wajah puche koi maut ki,

to mahobbat bata Dena


 kash khuda ne hume "aansoo"

kash khuda ne hume "aansoo" banaya hota.....

us bewafaa ki aankh me basaya hota.....

jab girte aankh se unki .......

to marne ka maza to aaya hota ..


Ek raat Khuwab Main Ne

Ek raat Khuwab Main Ne Chand Ko Dekha, Chand Say Poucha Chupke Se Aaj Mujhe Ek Bat Bata,Apne Dil Ka Hal Suna Kya Hai Koi Esa Jo Tum Ko Acha Lagta Ho, Apna Apna Sa Lagta Ho Dil K Pas Jo Basta ho, Chand Ne App Ka Nam Lya, Main Ne Dil Ko Tham Liya Jab Se Dekha Hai Ye Sapna,,, Tab Se Chand Raqeeb hai Apna!!!!!!!!!!!!


 Tum meri soch ho koi tume

Tum meri soch ho

koi tume soche Qun

Tum meri chahat ho

koi tume chahe Qun

Tum mera Aaina ho

koi tume dekhe Qun

Tum meri dua ho

koi tume mange Qun


 Na mile kisi ka sath

Na mile kisi ka sath to hume yaad karna, Tanhai ho to mahsush hume karna, Khushiya baatne ko tum sathi hazar rakhna,Gam baatna ho to hume yaad karna

======


Boat khuch tum say kehna

Boat khuch tum say kehna chata ho

Mein apne dil ki baat kehna chata ho

Mere dil mein boat khuch ha dafan

Jo tum ko pata nahi ha sanam

Badein dinoo say tere mohabat mein ho girafatar

Jis ka iqrar aaj tak na kar saka tum say yaar

Na jane yeh kab tak silsala reh ga

K tera mera ajnabi say rishata rehe ga

Dorion ki na fikr kia karoo, dil jab be pukare bula lia karoo

Hum dor zyada nai app se, bus apni ankoon ko palkon se mila lia Karoo.


Tasveer Ban k Mere Dil

Tasveer Ban k Mere Dil Mein Rehti ho Tum

Ankoon Say Door Ho Lakein Dil k Qareeb ho Tum

Jis ki Chahat Mein Khud ko Bhool Gaye Hum

Vo Husun ki Davi Pyaar ki Malka ho Tum

Dekha jo khoab Mein Ne Apne Liye

In haseen khoboo ki Tabeer ho Tum

Apnoo Mein ho k Rehte hein hums Gheyroon say

Koi apna say Laga jab say aye ho tum

Or kiya kahoo k kiya ho tum mere liye

Mera dil,mera jigar,mere zindai ho tum


Aaj Phir boat yaad aye

Aaj Phir boat yaad aye tum

Mein tum say door ho par boat pass aye tum

Sob sey sham tak tere gham mein khoya rehta ho

mein hi soya rehta ho

Tum bin zinda nahi reh sakta

Kash mere dil ki baat soon paoo tum

Koi ghalti SAR zad ho tu maaf kar deyna

Youn rhot kar Na jana tum.


 Kiya wo i? Vo kab aye

Kiya wo i?

Vo kab aye gi?

Vo aye gi b ya nahi?

Vo zaror aye gi na?

Usay ana chahiye! usay ana ho ga!

mujhe lagta ha k vo aa gai

App k face pe ek cute c smile. 


In the flower my rose

In the flower my rose is u, in the diamond my Kohinoor is u, in the sky my moon is you, I am only Body my heart is u. 


Tum Ne kabi Deka Ha

Tum Ne kabi Deka Ha Meri Ankho Mein

K Us Mein Her Pal Tera Hi Intazar Rehta Ha

Mein Kise or KO Kaise Shamel Kar Lo in Sapno Mein

In Mein Tu Sirf Tera Chera Hi Sawar Rehta Ha

Mana k Tu Nahi Mil Sakti Mug KO

Lakein Phir be Tujh KO dil mein pane ka Izaar Rahta Ha

Tere Judai Mein Istara Ashk Tapkate Hein

Jaise in Mein Koi Choupa Hova Abshaar Rehta Ha

Mein Ek pal be Tum KO juda nahi kar sakta apne wajood say

Mere Tu khoon k Her Qatrey Mein Tera Hi Shumar Rehta Ha

Bus Ek bar Tum Mil Jao Meri zindagi Mein

Warna Hamri Sansoo Ka Kaha Aitbaar ha,


Us Ne Kaha K Mug

Us Ne Kaha K Mug Say Tume Kitna Pyaar Ha

Mein Ne Kaha Sitaro Ka Koi Shomar Ha

Us Ne Kaha K Koon Tume Ha Kitna Aziz

Mein Ne Kaha Dil Pay Jis Ka Ahteyar Ha

Us Ne Kaha Koon SA Tofa Ha Man Pasand

Mein Ne Kaha VO Sham Jo Ab tak Udaar Ha

Us Ne Kaha khaza Mein Mulaqat Ka Jawaz

Mein Ne kaha Qareeb Ka Matalb Bahar Ha

Us Ne Kaha Lakhoo Gham zindagi Mein Hein

Mein Ne Kaha Gham Nahi Jab Ghamghar Ha

Us Ne Kaha Kab Tak Saat Nibaoo Gey

Mein Ne Kaha Jitni Yeh Sansoo Ki Taar Ha

Us Ne Kaha Mug KO Yaqeen Aye Kis Tara

Mein Ne Kaha Mera Naam Aitbaar Ha..


 Aitbaar karoo Tum Aitabar karoo,,,,,, mein

Aitbaar karoo


Tum Aitabar karoo,,,,,, mein ne tumra hath tham kar tume omeer bar chane ki kasam kaheye ha,Tume mere in hontoo ka aitabr karoo,,,,,,,,,, jis par her pal sirf tumhra hi naam rehta ha,tum mere ankoo ka itabar karoo,,,,,,,,, jo her pal tumein dekhney k kiye be-chain hoti hein,tum meyre sansoo ka itabar karoo,,,,,,jis mein sirf tumhari hi koshbo mehkati ha,tum mere is dil ka itabar karoo,,,,,,,,,,jo tumhre bager kahi be nahi lagta,tum mere in darkan ka itabar karoo,,,,,,,,,jo sirf tumhre naam par hi darkati hein .tum meyra aitabar karoo ,,,,,,,,,,jo tume sirf apni zindagi manta or janta ha..0322-6720288



Meri dua raat Gaye Aksar Aysa

Meri dua


raat Gaye Aksar Aysa Be Hota Ha

Jasie Dil Seyne Mein

Chup Ho Jata Ha

Her Soo

Ek Andeyra Ghup Ho Jata Ha

Is Lamhe

Bus Ek Dua Yaad Ati Ha

Ya Rab!

Tu Bus Us KO khush Rakna!!!!!!!!!!


Din raat mein soucha karta

Din raat mein soucha karta ho

Ek khowab sa deka karta ho

Main janta ho k vo mere naseeb mein nahi

Mein us ko pouja karta ho

Ek ghutan see ha dil mein

Be waja bekarar rehta ho

Kash mein us say keh sakoo

Mein tujh say pyaar karta ho


 Muge mil Na saka Jis ko

Muge mil Na saka


Jis ko mein ne chaha vo muge mil na saka

Mager dil ki DONiya mein ek afsana choor giya

Kio kar k chala giya vo mere zindagi ko tanha

Mager pata nahi mere dil mein kitna dokh choor giya

Kia jane kis say mohabat karta ta vo

Mager mere dil ko udas choor giya

Ati rahe gi rooz shab mein us ki yaad

Mager kio mere zindagi mein jhote sapne choor giya

Mein karti ho us say mohabat bey pana

Mager yeh be na soucha or muge akila choor giya.. 


 wada wafa ansoo ki tara nazroo

wada wafa



ansoo ki tara nazroo say giraya us ne

apni khabar na mile khuch ayse khak mein milya us ne

ilzam mug par lagaya ta mager bewafa vo khud ta

phele dewana baneya Phir tokraya us ne

us ko maza ata ha mug ko tarpane mein

muge gile lakari ki tara jalaya us ne

aya na ta jis ko wada wafa karna

logoo ko jhota wafa ka kisa soneya us ne



Ager kabi tu aj tum ne

Ager kabi tu



aj tum ne intaha kar di

her baat hum say joda kar di

mere kheyal ko apne say door kar k

tum ne mere rooh tak tarpa di

mere jazbat ko rond kar

tum ne mere izaat

mere nazroon mein hi gira di

zara see ranjish par

ek choti see ghalti par

yak mashat hi

mug say talook tood diya

tumara aysa souchna hi

tume mug say joda kar de

ab yeh rishta nahi

k jis par

hum youn hi bigarte rahe

is nazok see bandan ko

zarorat ha tumre hosale ki

tum her baat par kehte ho

mein kabel nahi tumre saath chalne k

yeh tu rishte ki kamzaori ha

ab hum mein vo sakat nahi

k

tumari zara see be rehmi

tumari yeh narazgi

hum seh paye

hume tumari fiqar ha pal pal

tumari ek ek baat

tumra her vo lahma

hamri nazar mein

aaj be maqsad yeh ha

lakein agher kiya badl ha

ha mere doast

tum badal giye ho

tumari her vo adat

tumari her vo souch

jo hume aziz ti boat

yaksar badl giye ha

tume khiyal nahi zara be

hum jo souche ya kehe

ager aysa kio hota ha

itani be rehme say tum

talook todne ki baat karte ho

kiya

koi jazba nahi tum mein

kiya

muge kone ka be dar nahi

ager kabi tu

ay mere doast kosesh karoo tum

muge apna samagne ki



 Mujhe kise say mohabat nahi

Mujhe kise say mohabat nahi kise k siva

Mujhe her ek say mohabat ha kise k liye

Gham ki barish ne be mera naqsh doya nahi

Tu ne mujh ko koh diya Main ne tujh ko koya nahi



 dil me chupi huyi t

dil me chupi huyi t jo zinate baam hogayi

aank utti to sari bath bar sare ham hogayi


khuwaish na tamam ko paishe zamana jab kiya

rum he kabi kiya na tha isliye raam hogayi

kissi uran ki hame tujjse t magar

zindagi to b talibe dana o dam ogayi




 Meri zindagi Tera Saath Ho Meri

Meri zindagi Tera Saath Ho

Meri zindagi Teri Baat Ho

Jo Jhukay Nazar Tera Khwab Ho

Jo Uthy Nazar Teri Zaat Ho

Mere Haath me Ek Phool Ho

Woh Phool Tera Haath Ho. Babar


 Sachi hai Dosti aajmake dekh

Sachi hai Dosti aajmake dekh lo,

karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo.

badalta nahi kabhi sona apna rang,

chahe jitni baar marji aag me jalaake dekh lo.


 Dil ki Halat batana nahi

Dil ki Halat batana nahi aata

Kisi ko aisey Tarpana nahi aata .

Sunna chahte hain ek baar Aawaz aap ki

Magar baat karne ka Bahana nahi aata !!