Ad Code

New latest sms

who muddaton ke baad sar

who muddaton ke baad sar e raah mil gaya

aisa laga ke jaise koi zakhm chil gaya

uske to jaise paaon zameen ne pakar lie

aur mai Kisi shajar ki tarah jar se hil gaya

uske bhi lafz jaise muqqaffil se hogai

mere bhi lab pe jaise koi hurf sil gaya

uske bhi dil ke rung nigahon tak aagaye

mujh mai bhi qaafla sa chala taaba dil gaya

lamhe ke jaise waqt mai girhain si par gai

manzar ke jaise aankh kle parde pe sil gaya

who jis pe indmaal ki muddat guzar chuki

andar kahin who zakhm rag e jaan se mil gaya

phoolon ne jaise jhank lia tha mera wujood

dil ka har ek rung darkhtoon pe khil gaya

dhundhli si kuch widaa ki tasveer hai saud

manzar kashi ke waqt koi aks hil gaya


mohabbat ke anokhe the sabhi

mohabbat ke anokhe the sabhi andaaz kya karte

rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraaz kya karte

sanam tujh se mohabbat ka bhala aghaaz kya karte

labon per baat aayi per na thi awaaz kya karte

mere ahbaab kya karte mere damsaaz kya karte

mujhe jab dard hi tha raaz chaara saaz kya karte

hujoome shehar hum kho gaye kuch chain paane ko

akele mein sataati thi teri awaaz kya karte

dil e nazuk humara usne pal mein tor daala tha

use bhaati thi toote kaanch ki awaaz kya karte

hum uske saamne chup saadh ker baitha kiye phir bhi

jafakaari se pesh aayea voh heela saaz kya karte

saja ker sau tabasum aek gham tumse chupaati thi

magar anmol ke tum jaanker voh raaz kya karte


Socha nahi acha Bura, Dekha

Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi

Manga Khuda se raat-din, Tere siwa Kuch bhi nahi

Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe

Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch bhi nahi

Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar

Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch bhi nahi

Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak

Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch bhi nahi

Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga

Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch bhi nahi ....


Teri yadon se kya nahi

Teri yadon se kya nahi seekha?

Teri yadon se kya nahi seekha?

Be sabab tow na thein teri yadein

Teri yadon se kya nahi seekha

Zabt ka hosla berha lena

Aansoun ko kahin chupa lena

Kanpti dolti sadaon ko

Chup ki chader se dhanp ker rakhna

Be sabeb bhi kabhi kabhi husna

Mozo-e-guftugu badal dena

Besabab tow nahi teri yadein

Teri yadon se kya nahi seekha 


dhoondtey kia ho in aankhon

dhoondtey kia ho in aankhon main kahani meri

khud main gumm rehna to aadat hai purani meri

bheer main tumhen mil jaonga asani se

khoya khoya rehna hai nishani meri

maine ik baar kaha tha k boht piyasa hon

tab se mash-hoor hoi tashnah-dahani meri


Hawa Jab Teez Chalti Hai Tumhari

Hawa Jab Teez Chalti Hai

Tumhari Yaad Aati Hai..

Jab Pattey Sar-Saratey Hain

Aur Ziker Tumhara Hota Hai....


Kabhi Bholey Sey Shab Ko

Meray Dil Main A Ker Dekho

Hai Aik Mahfil Sajji Hoti

Aur Ziker Tumhara Hota Hai...


Tumhin Kesay Bataoon Kitni Chahat

Main Nay Ki Hai Tum Sey

Kay Jab Bhi Aansoo Chhalaktey Hain

Aur Ziker Tumhara Hota Hai......

Kabhi Chanda Ko Main Dekhon

Kabhi Tarey Main Gintta Hoon

Kabhi Chandni Muskurati Hai

Aur Ziker Tumhara Hota Hai....


Zamana Hai Bohat Zalim

Kahin Yeh Cheen Na Lay Tum Ko

Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon

Aur Ziker Tumhara Hota Hai... 


kitni bechain hai ye sanse

kitni bechain hai ye sanse meri

bina tere bohat roti hain ye aankhein meri


aake lag ja gale ke ab raha jai na

dil bholane se bhi nahi bholta woh batien teri


kab se meri aankho ko neend aati he nahi

bahain mangti hai mujh se ratain teri


tu chala jata hai tu jaan nikal jati hai

tere aane se lot aati hai ye sanse meri


kab talk ye lamha judayi ka rolaiga mujh ko

dil laga betha hai sene se bas ab yaadein teri


meri rooh main basker tum ja paoge kaha tak jaana

lot ke le ayegi phir paas tumhe wafaye meri


jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi

tum ko bola rahi hai ye bahein meri


kitni bechain hai ye sanse meri

bina tere bhut roti hai ye aankhein meri


aaine mein ek noor dikhta

aaine mein ek noor dikhta tha mujhko zahir

jara nazdeek se dekha to do aasoon tapak pade


intezaar to unka ro ro ke kiya humne

milne ka waqt aaya to woh bhi bilak pade


kitna ajeeb manzar dikhta hai ulfat mein

aakhon se gira paani aur armaa sulag pade


jab gham-e-ishq ko humne khamoshi bana liya

kuchh bache the khwab woh bhi sisak pade


uss ne kaha thaa apna bana k choron gee...

youn hee tu kiya,apna bana k chor diya....


mein kia hoon .....mein koon

mein kia hoon .....mein koon hoon......ye ni batana chahta....

wo kehte hein na k.....


Log kehte hain dukh baantne se kam hota hai

woh kehte hain sukh baantne se badhta hai

lekin ye dil apne dukh baantna hi nahin chahta

kehta hai...

woh doosron ko apne dukhon se dukhi karna nahin chahta


but mein tu usey itna hee kahon ga k.....


tare bare main sooch sooch kar sara din

guzaar detaa hun........

kabhi soocha hai ye zalim ...

ye raat kase guzarti hogi...... 


Aisi waisi nahin pariyon jaisi

Aisi waisi nahin pariyon jaisi thi wo

Machalti ghataon ki badliyon jaisi thi wo

Shokh rang manchali tabiyat se bharpoor

Chaman chaman phirti titliyon jaisi thi wo

Ek ehsas-e-tazgee ek mehek ka gumaan

Ek shayar ki ghazal kaliyon jaisi thi wo

Waasta na raha zindgi mein dukhon se

Hamesha ko haasil khushiyon jaisi thi wo


Kuch to baat hogi jo

Kuch to baat hogi jo tu bewafaa nikali....

mohabbat to tune bhi beshumaar ki thi;

Aaj maana tu nahi meri raahon mein...

kuch door hi sahi..sang to tu hi chali thi!!!


Kuch to baat hogi jo tu bewafaa nikli....

AShq to tune bhi bhaahe the;

Aaj maana tu hai gair baahoo mein....

Chirag - e - Ishq to tune bhi jalaaye the!!!


Kuch to baat hogi jo tu bewaafa nikli...

to kyu aaj bhi un aankho mein pyaar nazar aata hai;

Aaj maana woh kehti mai nahi hu uskaa...

to kyu mere dukh mai usko ronaa aata hai????


E - Khuda yeh jantaa hu mai...ki woh hai meri;

to kyu yeh judaai hai...

Mere Binaa nahi hai Zindagi bhi uski;

To kyu usne ki yeh bewaafai hai???


Kisi aur zindgi ka is

Kisi aur zindgi ka is mein hissa hai

Ek umar se bada humara rishta hai

Dil ko ek baar aankhen to deejiye

Zindgi se aage bhi kuch dikhta hai

Main jo bhi geet kagaz pe utaroon

Koyi aa ke wahan tera naam likhata hai

Log kahte hain us ko kisi ne nahi dekha

Tu muskraye to mujhe woh dikhata hai

Tera do lamho ka sath mila to sab mil gaya

Ab kyon pooche ye kismat kaun likhata hai


Yaad aati hai to hum

Yaad aati hai to hum is dil ko rok lete hain ,

aanchal na mile to ashq haathon se ponch lete hain ,

marham na mila to zakhmon ko bahne dete hain ,

dard dil mein rakhkar dhadkan ko sahne dete hain ,


machle jazbaat to yeh dil ka dosh hi hoga ,

aapki yaad mein aaj fir koi khamosh hoga ,

yaad karte hain tumhe har saans ke aane jaane pe,

sunte hain aapki hasi har kisi ke muskuraane pe ,


aati hai aahat tumhari kisi ke bhi paas aane pe ,

par hum kuch nahi kahte logo ke tohmat lagane pe ,

aapke na milne pe bhi yeh zindgi ko jee lenge ,

har zakhm duniya ke hum has ke bhi see lenge ,


saans aate saans jaate yaad bas tu aayegi ,

saanson se saanson ki yeh dhun saans mein gungunaayegi ....


uss ne kaha thaa apna

uss ne kaha thaa apna bana k choron gee...

youn hee tu kiya,apna bana k chor diya..

milla woh bhi nahi karty..

milla hum bhi nahi kartey..


wafa woh bhi nahi kartey..

bewafai hum bhi nahi kartey..


unhen ruswai ka dukh hai...

humen tanhai ka dukh hai..


gilla woh bhi nahi kartey..

gilla hum bhi nahi kartey..


kisi moor per takrao hoo jata hai aksar..


ruka woh bhi nahi kartey

ruka hum bhi nahi kartey...



jub bhi dekhty hain unhen sochtay hain

kuch kahen un say..


suna woh bhi nahi kartey..

kaha hum bhi nahi kartey..


lekin yeh bhi sach hai..

muhabat unhen bhi hai..


izhar woh bhi nahi kartey...

izhar hum bhi nahi kartey..! 


barbad mohabbat ki dua saath

barbad mohabbat ki dua saath liyee ja

toota hoa iqrare wafa saath liyee ja


ek dil tha jo pehle hi tujhe sonp dia tha

yeh jan bhi ay jane ada saath liyee ja


tapti hoi rahon se tujhe aanch na pohanche

dewanon k ashkon ki ghata saath liyee ja


shamil hai mera khoon jigar teri hina main

yeh kam ho to khoone wafa saath liyee ja


hum jurm mohabbat ki saza pain gay tanha

jo tujh se hoi ho wo khata saath liyee ja


Kuch apni fiker na apna

Kuch apni fiker na apna khayal karta hoon

Tu kya yai kam hai teri dekh bhaal karta hoon

Meri jaga per koi aur ho tu cheekh uthe

Mein apne aap se itne sawaal karta hoon

Ager malaal kisi ko nahi mera na sahi

Mein khud bhi konsa apna malaal karta hoon

Yai chand aur sitare rafeeq hain meray

Mein roz unn se bayaan apna haal karta hoon

Tumhari yaad bhi aati hai abb mujhe kam kam

Tumhara ziker bhi abb khaal khaal karta hoon


yeh mumkin hai hamaray darmiankoi ghalat

yeh mumkin hai hamaray darmiankoi

ghalat fehmi bhi na rehti

jo apnay dil mein choti si

khalish hai khatm hojati

bata deta k mujh ko aaj bhi uski zarorat hai

jo is jevan ka hasil hai to bus uski mohabat hai

bata deta k logon ki sabhi baaten fasanay hain

sabhi qisay puranay hain

main keh deta k zara si baat pay yun rothna acha nahi hota

mohabat karnay walon mein

ghalat fehmi to ho sakti hai par jhagra nahi hota

main har ik baat keh deta

khalish bhi dur hojati

main uska hath thamay yunhi uska hum qadam rehta

woh agay hath to karta

wo mujh say baat to karta ..


Khud apnay ley beth kay

Khud apnay ley beth kay sochain gay kisi din

Yun hay kay tujhay bhool kay dekhain gay kisi din


Bhatkay hoay phirtay hain kaee lafz jo dil main

Duniya nay diya waqat tou likhain gay kisi din


Mohabbat Thair Jaati Hai Hum aksar

Mohabbat Thair Jaati Hai

Hum aksar yeh samajhtay hain

jisay hum piyaar kartay hain

usay hum bhool baithay hain

magar aisa nahin hota

mohabbat daimi such hai

mohabbat thair jaati hai !!!

hamari baat kay andar

mohabbat baith jaati hai

hamari zaat kay andar

magar yeh kam nahin hoti

kisi bhi dukh ki soorat mein

kabhi koi zaroorat mein

kabhi anjaan se gham mein

kabhi lehjay ki thandak mein

udaasi ki zaroorat mein

kabhi baarish ki soorat mein

hamari aankh kay andar

kabhi aab-e-rawan ban kar

kabhi qatray ki soorat mein

bazahir aisa lagta hai

usay hum bhool baithay hain

magar aisa nahin hota

magar aisa nahin hota....

yeh hargiz kam nahin hoti...

MOHABBAT THAIR JAATI HAI.. 


manzil na de charaaG na

manzil na de charaaG na de hausalaa to de

tinke kaa hii sahii tu magar aasaraa to de


mai.n ne ye kab kahaa ke mere haq me.n ho javaab

lekin Khaamosh kyuu.N hai tuu ko_ii faisalaa to de


baraso.n mai.n tere naam pe khaataa rahaa fareb

mere Khudaa kahaa.N hai tuu apanaa pataa to de


beshak mere nasiib pe rakh apanaa iKhtiyaar

lekin mere nasiib me.n kyaa hai bataa to de


Jo Dil jeet ly wo

Jo Dil jeet ly wo ada hum b rakhte hainJo Qatal krde wo Nazar hum b rakhte hainAap se Wada hai hamsha Muskrane kaWarna Ankh mein smandar hum b raktay hain...


kya aandaz hai kya jalwa

kya aandaz hai

kya jalwa hai

kya atyle hai

aur kya smile hai

call to karte nahi sirf miss call

aur garv se kehete ho ki mere pas

mobile hai.......


kya khoob shairee hai khiltee es

kya khoob shairee hai

khiltee es se zindagee hai


sms jo aap ne hai baija

hai ye phoolon kee kali hai


Zabt Ki Akhri Haduun Ko

Zabt Ki Akhri Haduun Ko Sar Kar Jana,

Zindagi Ghum Hi Sahi,

Hans K Basar Kar Jana,

Unchay Mehal Basanay Say Behter Hai,

Kisi K Dil Mein Chota Sa Ghar Kar Jana.


Apne dil ki bat Unse

Apne dil ki bat Unse keh nai sakte,

Bin kahe bhi HUM Gee nai sakte,

AE KHUDA aesi Takdir bana,

wo HUM se akar kahe 'HUM'

"AP K BINA REH NAI SAKTE "


hum ne kardi terey liye

hum ne kardi terey liye har intizar ki had,

Tum na samajh paye merey pyar ki had,

Har lamha tumhein dekha par pyass barti chali ghayee

iss bahaney hum ney bhi dekh li deedar ki had


chaha hai tughko chahongi her dam mar

chaha hai tughko

chahongi her dam

mar k b dil se

pyar na hoga kam


kash main tary hath main

kash main tary hath main mobile hota

jab tumhy cal ati tum mujhy apny honto kay kareb lati aur main khamoshi say tary hont chom lyta

kash main tary hath main mobile hota

jab tum sms kay liy apni nazuk onglean ghomati to main tary hathon main jhom jata..

kash main tary hath main mobile hota


Shme furkat dhlay hum nahi

Shme furkat dhlay hum nahi chatay,

Ghum se fursat mile hum nahi chahtay,

Pir naya dard sehne ko tyar hain,

To praishan rhay hum nahi chahtay,

Aaj aanso bhanay se mut rok,

Aaj barish thumay hum nahi chahtay,

Hum tery bad ujray hue he theek hain,

Ab tery bad kahin dil lage hum nahi chahtay,

Kis kader dil nasheen hai ye moujoun ka shour,

Ghum ka drya rukay hum nahi chahtay,

Is kadr pyar se pukara na ker,

Aag dil me lgay hum nahi chahtay.


Suraj dhalte dhalte koi pegham

Suraj dhalte dhalte koi pegham de gyaBujhte huwe ghamon ki koi shaam de gyaEk mithas si mere honton mein bus gaeeYe kon mere lab pe tera naam de gaya!!!


Meri mohabbat ki itni c

Meri mohabbat ki itni c kahani hai.tuti hoi kashti ruka hua pani hai.ek gulab unki kitab mein dam tor chuka hai.or unko yaad hi nahi k ye kis ki nishani hai


Tasawar tera jo mujhe choo

Tasawar tera jo mujhe choo jaye, meri har saans se teri hi khushbo aye, ye kis mor pa layee hai justaju teri, pani main aks mera ho or nazar tu aye.


Basa hay ankhome apka chehra

Basa hay ankhome apka chehra is tarhan.Gulab me khusbu basti hay jis tarhannamaz parhli ho or dua na mangi hoapki kami mahsus hoti hay kuch is tarhan..


mein tujh p jhano dill

mein tujh p jhano dill sey fida hoon, yeh na samajh k pyar karta naheen hoon, hamari muhabat k terey do bhai hain dushman, par tu ghabra na mein un se darta naheen hoon,

sirf aik hi mushkil hai iss muamlay mein,

barda bhai sakht hai aur chhote se mein baat karta naheen hoon


Phool bina.....Khushboo bekaar Chand bina.....Chandni bekaar Pyar

Phool bina.....Khushboo bekaar

Chand bina.....Chandni bekaar

Pyar bina.....Zindagi bekaar

Mere SMS bina.....Tumhara MOBILE bekaar!!!!!


Jab bhi kahayal aya to

Jab bhi kahayal aya to aap ka aya,

Ankhien bandh ki to Khuwab aap ka aya,

Socha yaad karlon kisi apney ko,

pal do pal hount khule to naam aap ka aya.


Khuwab dekha bhi nahi or

Khuwab dekha bhi nahi or toot gaya,

Wo hum sa mila bhi nahi or rooth gaya,

Hum jagtay rahe or duniya soti rahi,

ek akeli barish thi jo sath roti rahi....


Teri yadon sa dil hamkalam

Teri yadon sa dil hamkalam rehta hai,

laboon per naam tera Subha shaam rehta hai,

Jis trhan chand chamakta hai asmano per,

Nazron main meri tera wo maqam rehta hai.


Inkaar ko iqraar kehte hain, Khamoshi

Inkaar ko iqraar kehte hain,

Khamoshi ko Iszhar kehte hain,

Kya dastore hai is duniya ka yaar,

Ek dhokha hai jise sab pya kehte hain...!


Raat ghum sum hai magar

Raat ghum sum hai magar chaand Khamosh nahi,

Kesay keh doun aaj phir hosh nai,

Aisa douba teri is tara k bato ki gehrai main,

Haath ma jaam hai maga pinay ka hosh nahi.


Ek lamha jo bar bar

Ek lamha jo bar bar satata hai..

Na jaaney yeh dil kya chahata hai..

Kaash wo hote hamari nazroon k samne..

per yeh kaash hi raha jata hai.!;-)


na meri koi manzil hai

na meri koi manzil hai na kinara,

Tanhai meri mehfil or yaadien mera sahara

Usse bichar ker kuch yun waqt guzra,

Kabhi zindagi ko tarsay kabhi maut ko pukara.


Teri yadoon k Charagon ko

Teri yadoon k Charagon ko jalaya har sham,

teri batoon sa dil ko behlaya her sham,

Mangi hai Khuda sa teri Khushion ki Dua,

Beth kar tanhahathon ko uthaya har sham.


Mehfil mien kuch To sunana

Mehfil mien kuch To sunana parta hai,

Gham Chupa kay Muskerana parta hai,

Hum bhi kabhi Dost thay aap kay,

Aaj kal to aap ko yaad dilana padta hai.


Lamha lamha ghum me dhalte

Lamha lamha ghum me dhalte dekha hai,

Ma ne zakham dilko jalte dekh hai,

Woh jo kehta tha teray bin neend nhi ati,

Us bewafa ko neend ma chalte dekha hai.


Choti Choti baton pe takrar

Choti Choti baton pe takrar na kiya kro,

hamaray har mazak ko dil pe na liya kro pata sath hai or

kitna in palon ko dil se jiya kro.


Agaz hum ne kiya Ikhtatam

Agaz hum ne kiya Ikhtatam tum kar do,

Jab chaho mere Jazbon ko be Naam Tum ker do,

Baat agar Zarf ki hai tu yun karo,

Khud jeet jao haar mera naam tum ker do.


* Molvi Sab * Girl :

* Molvi Sab *


Girl : Molvi sab i am in love.


Molvi: Astegfirula,Noozbila,


Laholwala,Toba,Toba.........


Girl: No molvi sab...............


I am in love with u,


Molvi: MashaAllah,JazakAllah,


SubhanAllah,Wahh,Wahh,


Na pucho haqeekat mere fasane

Na pucho haqeekat mere fasane ki,

us k jane k baad badal gaye nazar zamane ki,

log ouchte hain main khush q nahi hon,

kia kahon meri to adat thi us k sang muskurane ki.


Manzil dur or safar bhut

Manzil dur or safar bhut hai,

Chotay sa dil ki fikar bhut hai,

Mar dalti kab ki ya duniya hamay,

Magar aap ki duaoon may asar bhut hai.

Post a Comment

0 Comments

Close Menu